Showing posts with label Social Site. Show all posts
Showing posts with label Social Site. Show all posts

Friday, 29 June 2018

Youtube Video Ke liye best Intro Video Kaise Banaye

Hello Friends,

Aaj hm es post me jaanege Youtube Video ke liye best Intro Video kaise banaye. Youtube Video ke liye best Intro Video banana bhut jaruri hai. Ye jo mai aap ko tricks btane ja rha hu youtube video ke liye intro video banane ke liye ye method bilkul free hai. Intro video hmare youtube video ke start hone se phele hona bhut jaruri hai. To chaliye Jante hai ki Youtube Video ke liye best Intro Video kaise banaye.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Intro video se pta chale jata hai ki video kitna best Chaanel se Reliase hua hai or kisne kiya hai. Intro Video me aap ko apne channel or aap ke channel pe kis chij ke bare me jada video publish hote hai uske bare me us video me hota hai. jise visitors ko pta chale sake ki aap ke youtube channel se kis chij ke bare me video published hota hai.

Youtube Intro Video Kya hai ?

Agur aap youtube channel chalate hai to aap ko apne youtube video se phele Intro video use karna chahiye ta ki aap ke video ka look best lage. Intro video aap ke Channel ke Introduction provide karne ke liye hota hai ye aap ke channel me kam se kam 10sec ya fir 15sec se jada nhi hona chahiye.

Agur aap Youtube se paise kamana chahte hai to aap ko apne video quality ko increase karte rhena chahiye or uske sath apne sound ko bhi baki to aap ko pta hi hai ki Content jitna best hoga aap utna jada paise kamayenge or aap channel bhi utna hi famous hoga.

Video ko agur aap ek ascha look dena chahte hai to aap apne video se phele Intro Video ka jarur use kare. Ta ki aap ke visitors aap ka video start hone se phele intro video dekhe to unhe Accha lage or unhe pta chale sake ki ye video kha se Published hua hai.


Intro video banane ke liye bhut sare Website or Software hai jo aap ko free me ya fir paise me aap ko intro video create karne ka facility provide karta hai. Mai aap ko sabse best or aasan tarike se Intro video banane wali website ke bare me btane ja rha hu jiske help se aap intro video bana sakte hai.

Youtube Channel Video ke liye Intro Video Kaise Banaye.

Step1:- Sabse Phele aap ko panzoid.com ke Website par jana hai. Vha pe aap ko bhut sare Intro Video milenge Edit ke liye aap unmese koi ek select kare.

Step2:- Ab aap ko Open In Clipmaker par click karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap ke samne ek new page open hoga usme aap ko 3 Step or follow karna hai. Aap image me dekh sakte hai.
suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele aap ko Object pe click karna hai.

2. Ab aap ko Add Object pe click karna hai.


www.suryarishavrai.blogspot.com

3. Aap ke Samne kuche option show hoga usme aap ko Text ke option ko select karna hai.

Step4:- Ab aap ke samne Text ke liye Edit Ka Option Open hua hoga Text Edit ke liye aap Image Ko Follow kare.

suryarishavrai.blogspot.com

1. Aap ke Samne jo bhi option hai aap scroll down kare jha pe bhi Text likha hoga aap us Option ko edit kar job hi aap name likhna chahte hai likh sakte hai. Aap image bhi dekh sakte hai. lekin maine sirf ek hi text ko edit kar dikhaya hai.

2. Ab aap job hi Text me likhna chahte hai likh de.

3. Ab mai samjhta hu ki aap ne sare text ko edit kar apne anusar se type kar liya hai. Ab Aap ko side me Play ka Button Show ho rha hoga aap use Play kar check kar sakte hai, ki aap ka editing best hai ya nhi agur aap ko firse koi word ko change karna hai to aap Uske text ko choose kar edit kar sakte hai or kjab aap ko ye lge ki aap ne ek perfect Intro video bna liya hai to aap ko 3 option pe click karna hai. Click karte hi aap ka Intro Video Download ho jayega.


Download karne se phele aap apne video ko bhut hi thik dhang se dekh le ta ki aap ko baad me problem n aaye. Aap ko isme bhut trhe ke Intro video mil jayega. Aap thorsa sa dusro ke bhi intro video dekhle jise aap ko kuche Idea mil jaye ki aap ko kaise Intro Video banana hai.

Ok Friends mai umid karta hu aap ko Youtube Ke liye Best Intro Video Kaise Banaye post aap ko pasand aaya hoga. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto Please aap Comment jarur kare mai aap ka pura help karunga or Apne Friends ke sath bhi ise share kare. Hmare Social Media Network ko bhi aap Jarur Like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Gmail Id ka Password Secure hai ya Nahi kaise Jaane
* Twitter Cards kya hai or ise kaise use kare 
* Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips 
* Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare

Friday, 9 February 2018

Gmail Id ka Password Secure hai ya Nahi kaise Jaane

Hi Friends

Aaj mai es Post me Gmail Id ka Password Secure hai ya Nahi kaise pta kare ke baare me btaunga. Agur aap ka Gmail Id hai  to aap ke liye ye Post bhut hi Important hai. Mai aap ko es post me ek Website btaunga jise ke jarirye aap apne Password ko Check kar sakte hai, Ki aap ka Password Kitna secure hai. Aap  ko ye Software bta dege ki aap ka Password Hack karna Aasan hai ya Muskil hai. Dosto Aap jaisa ki Jante hi honge ki aap koi Bhi Online Work kare Aap ko Apna Gmail Id kai Jaghe pe Dena hota hai. Ise liye aap ka Gmail Id Ka Password high or Secure hona bhut jaruri hai. Agur aap bhi jaanna chahte hai, To es Post ko suru se lekar last tk jarur padhe.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Hm apne Id ko Secure or Save rakhne ka sabse best tarika Password Strong hona chahiye. Agur hmara Password Strong hai, To use Id ko Hack karna bhut hi muskil hai. Vise to friends Har ek chij muskil jarur hota  hai. Par namumkin nhi ye to aap jante hi honge. Lekin Aagur aap Password Strong rakhenge to aap ka Password Hack karna thora Muskil hota hai.


Mai aap ko yha pe kuche Free Password Checker Web Service ke bare me btaunga jise ke jariye aap bhut hi aasani se check kar sakte hai, ki aap ka Password Strong hai ya nhi check kar sakte hai. Aap ko bs apna password type karna hai. Vo fir aap ko bta dega ki aap  ka Password Strong hai ya nhi aap yha pe Apne Password se Related Word Type kar Check kar sakte hai. Agur aap ko in Website pe bharosa n hoto.

Hmara Password Stong hai ya Nahi kaise jaane

Aap ka Password Strong hai ya nhi Check karne ke liye kuche jada lma Process nhi karna hai. Aap ko sirf apna Password ya use milta julta word type karna hai. Fir ye Website aap ko bta dega ki aap ka Password Strong ya secure hai ya nhi.

1. Password Strength Checker:- Ise Tools ke help se Aap ka Password Strong hai ya nhi check kar sakte hai. Ise ke sath aap ek Strong password bhi Generate kar sakte hai. Aap ko Strong Password Generate karne ke liye Ideas bhi diye hue hai. Aap ka Password Strong hai Ya nhi Percentage ke mutabik btata hai. Aap jha pe Password Type karte hai. Uske nhiche hi aap ko Percentage show hoga jise aap kop ta chale jayega ki aap ka Password kitna strong hai.

Aap ise tarike se apne Password ko Enter kar check kar sakte hai. Aap ka Password kitna secure hai. Agur aap ka Password Secure nhi hai, Show kare to aap apna Password ko ek heavy Password me change kare.

2. How Secure is My Password:- Strong Password Check karne ke liye Sabse phele howsecureismypassword.net Ise Website ke Home Page par aap ko Enter Password ke liye Option mile jayega. Aap yha par apna ya milta julta password bhar kar check kar sakte hai. Aap jaise-jaise aap Password type karenge Niche aaap ko btate jayega ki aap ka Password kitna secure hai or uske sath aap ko Niche btayega ki Ise Password ko Hack karne me Hackers ko kitna time lagega.


Aap Vha pe New Password ke liye bhi type kar check kar sakte hai Ki Aap jo Password rakhna chahte hai Vo Best Password hai ya nhi. Iske sath aap check kar sakte hai ki aap ne jo Password Rakha hai vo kitne din tk work karne ke baad Hack hoga. Ye bhut hi best tools hai aap ise use jarur kare.

3. Kaspersky Lab:- Kaspersky Lab Tools bhi best tools hai ye bhi aap ko Strong Password btata hai. Or uske sath aap ko Password ke baare me full details dedega ki ya Password ko Hack karne ke liye Hacker ko Kitna Time lagega ye Tools bhi aap ko Same Benifits Provide karta hai.

Agur aap ka Password Strong nhi hai to aap ise Web Service ke help se aap apne Password ko Strong kar sakte hai. Ye sare Website aap ko Free Service provide karta hai. Aap bhut hi Aasani se apne liye best Password Generate kar sakte hai.

Aap ise Website ke help se apne Password ko Strong kar sakte hai. Ya fir aap apne Password ka Details check kar sakte hai ki aap ka Password kitna Strong hai. Agur aap ka Password Strong nhi hai, To aap ek best Password bhi Generate kar sakte hai.

Ok Friends Post me Gmail Id ka Password Secure hai ya Nahi kaise pta kare Post me bs Itna hi. Agur aap ko Ye Post Pasand Aaye to Please Aap Comment or Share Jarur kare. Agur aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Comment jarur kare mai Aap ka Help Jarur karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur Kare.

Tuesday, 16 January 2018

Twitter Cards kya hai or ise kaise use kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege Twitter Cards kya hai or ise kaise use kare. Ye post blogspot pe Website chalane wale Blogger ke liye Bhut hi Important hai. Agur aap  nhi Jante Twitter Cards kya hai or Ise Kaise use kare. To aap ye Post suru se lekar Last tk jarur padhe. Hm jo Blogspot pe Website create karte hai, Agur usme hm Free Theme use karte hai to usme kuche Important code nhi hote hai. Jise hme thora se Nuksan ho jata hai. Lekin Agur aap Apne blog pe dhyan dete hai, To aap ko khi n khi se Ise Chij ke baare me pta chale hi jata hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Agur hm Best Paid Theme use karte hai, To unme code aap ko Best milte hai. Lekin kai baar Unme bhi kai Important Code nhi hote hai. Ise liye hme apne Jarurat ke hisab se Un Code ko Add karna hota hai. Isi Trhe Twitter card bhi hai. Ye kai Parkar ke hote hai.

Kai Person ne twitter pe dekha hoga ki unke Blog Post ke sath unka Thumbnail Image bhi show hota hai. Par is eke liye aap ko ya to best Paid Theme use karna hoga. Ya fir unhe Iska Code apne Blog ke sath Attached karna hoga. Kai log Apna Post Facebook pe Share karte hai, To uske sath Image Show nhi hota hai. Uska Reason ye Hota hai, ki unke me Open Graph Meta Tag  use nhi hota hai. Use Aap khud se bhi Add kar sakte hai.

Twitter Cards kya hai

Ye ek markup code hota hai Jab aap ya koi bhi Person aap ke post ko Social Media pe share karta hai. To aap ke post Summary ke sath Post Thumbnail bhi show hota hai. Ise ke liye Twitter Cards ke Code use kiye jate hai. Agur aap ke blog theme me ye markup code add nhi hai, To aap ke bhi Post me Image show nhi hoga.

Twitter Cards Blogger ke liye kyo jaruri hai

Twitter Card Blog me n use karne se hme bhut jada Problem hota hai. Agur hm bina Twitter card use kiye Apne Post ko Tweet karte hai, To hme sirf Post Summary Show hoga. Post ka Image Show nhi hoga ise liye hme Twitter Card ko blog me Add karna jaruri hai. Agur aap bina Twitter Card use kiye Share karte hai. To fir uspe jade click nhi hote hai. Fir aap ke blog pe Twitter se Traffic aana bhut hi muskil ho jata hai.

Agur hmare post ke sath Image bhi show hota hai. To hmare post ka Impression badhta hai. Agur aap ek best Image Lagte hai or aap ka Post Content perfect hai. To Visistors uspe click kar post ko Read kar leta hai. Aap ka Post image ise trhe ka hona chahiye jise aap ke visitors ko pta chale sake ki aap ka Post kis chij ke baare me hai. Ek Perfect Image aap ko Bhut sare Visitors de sakta hai. Aap ki Post kisi bhi chij ke baare me ho aap Ko ek ise parkar ka Image Lagana hai. Jise pta chale sake ki Aap ka Post kise chij ke baare me hai.

Blog Me Twitter card kaise use kare


Agur aap ke pass Blog hai or aap apne Blog me Twitter Cards use karna chahte hai. To aap mere btaye gye Step Ko thik se follow kare ta ki aap bhut hi Aasani se Ye code apne Blog me use kar sake.

Step1:- Sabse phele aap Blogger ke Website pe Login ho jaye.

Step2:- Ab aap ko vha pe Theme ka Option Show ho jayega. Aap Theme ke Option pe click karde.

Step3:- Ab aap ko New Page me Two Option show honge Customise or Edit Html ka aap Edit Html pe click karde. Ab aap ke Samne Blogger Theme Code Edit ho jayega ab aap ko isme Simple Ek code paste karna hai.

Step4:- Ab aap ctrl+f dabaye or fir aap ke Samne ek Search Box open hoga aap usme <head> Search kare.

1. Fir aap ke Samne <head> Match kar Html Code me Show ho jayega.

2. Ab aap ko <head> ke niche niche diya gya Code Copy kar Paste karna hai.

<meta content='summary_large_image' name='twitter:card'/>
<meta content='@rishavrai90' name='twitter:site'/>
<meta content='@rishavrai90' name='twitter:creator'/>
<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<meta expr:content='data:blog.pageName' name='twitter:title'/><b:else/>
<meta expr:content='data:blog.pageTitle' name='twitter:title'/></b:if>
<b:if cond='data:blog.metaDescription'>
<meta expr:content='data:blog.metaDescription' name='twitter:description'/>
<b:else/>
<meta expr:content='data:post.snippet' name='twitter:description'/></b:if>
<b:if cond='data:blog.postImageUrl'>
<meta expr:content='data:blog.postImageUrl' name='twitter:image'/><b:else/>
<meta content='#' name='twitter:image'/></b:if>
<b:if cond='data:blog.postImageThumbnailUrl'>
<meta expr:content='data:blog.postImageThumbnailUrl' property='og:image'/>
<b:else/><meta content='#' property='og:image'/></b:if>

3. Ab aap ko Code me diye gye 2 or 3 no. @rishavrai90 ke jghe par apna User Name Type karna hai. Jaise @Twitter User Name likhe de.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Step5:- Ab aap ko Apne Template Edit code ke Page pe Upar Save Theme Ka Button hoga aap uspe Click kar Template ko Save karde.

Ab aap ek baar check karle ki ye thik se work kar rha hai ya nhi. Ise ke liye aap ko Twitter Card Validation page pe Jaiye.

1. Ab aap ko vha pe Ek box show ho rha hoga. Aap vha pe apna Post Link paste karde or Preview pe click karde.

2. Ab aap ko Side me Aap ke post summary ke sath Aap ke post ka Thumbnail bhi show ho rha hoga.


www.suryarishavrai.blogspot.com

Ise parkar se Friend aap apne Post ko Tweet karne ke time Thumbnail ke sath show kra sakte hai. Ise ke liye aap Ise post ko thik se Read karna hai. Or apne blog me ise thik dhang se use kare.

Ok Friends Twitter Cards kya hai or ise kaise use kare Post me bs Itna hi. Agur aap ko Ye Post pasand Aaya hoto Please Aap es Post ko Share or Comment jarur kare. Aagur Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.

Friday, 29 December 2017

Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips. Jaisa ki aap ne ise Phele kai Social Media Network pe Post Share karne ke baare me suna hoga. Aaj hm Instagram pe Website Promote karne ke baare me jaanege. Google+, Facebook or Twitter se Related or bhi kai Social Media Network hai. Jise pe Hm apne Blog ko Promote kar sakte hai. Vo bhi bina kisi Problem ke. Yakin mane Friends Social Media Network Aap Website ko Search me Lane ke liye Bhut jada help karta hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Instagram me aap Sirf Image or Alphabet hi type kar sakte hai. Aap kisi bhi Parkar ka Website link share nhi kar sakte hai. Agur hm Image Published kare Instagram me to hme Clicks bhi Best nhi miltra hai. Ise chij ko Jaanne ke baad aap ko lge rha hoga ki fir hm apne Website ko Kaise Promote karenge. Or bhi kai Tarike hai Instagram pe Blog Promote karne ke. Hm es Post me Instagram me Website ko Kaise Promote kare ke baare me mai aap ko Full Knowledge dunga aap ko bs Mere btayegye gye Step se Apne Work ko Maintain karna hai.

Instagram Pe Website Promote Kaise kare

1. Instagram Kyo use kare:- Bhut se Blogger Instagram Pe Website Promote nhi karte hai. Kuki Intagram pe hm kisi bhi Parkar Website Link Share ya Promote nhi kar sakte hai. Lekin Friends jaruri nhi ki aap ko Website Promote karne ke liye sirf Link ki hi jarurat hai. or bhi kai tarike hai. Instagram pe Website Promote karne ke. Log Instagram pe Image ko Bhut share karte hai. Kai Person Image Click karane ke bhut soukhin hote hai. jo Instagram pe Photo Share karna bhut jada Pasand karte hai.


Statista Website ne Instagram ko lekar kha hai ki Instagram pe 800 Million se bhi jade User hai. Jo ki Instagram pe Active Rhete hai. To fir aap Soche sakte hai ki agur aap Instagram pe Apna Website Promote karte hai, To aap ko Kitna Profit hoga. Ise liye Aap Instagram ko Apne Website Promote ke liye use kar sakte hai.

2. Complete Your Profile:- Aap Sabse Phele apne Profile Details ko Thik kare. Aap jo bhi Name rakhe vo soach samajh kar rakhe.  Apne Website se milta julta hi rakhe ya fir aap apne Original Name bhi rakh sakte hai. Jise pta chale sake ki aap ke Profile me konse Images Milenge jise aap ko Views or Click mil sake. Agur aap Facebook, Google+ or Twitter me jo Profile name rakhe hai. Aagur aap vo rakhna chahte hai. To bhi aap rakh sakte hai. jise aap ke followers ko or aasani ho.


Aap jo bhi Profile me Image Lagaye use thora Dhyan se lagaye ta ki use dekhne pe pta chale ki aap ke Instagram Account kise chij se Related hai.Aap apne Profile ko thik se Maintain kare ta ki Aap ka Profile dekhne ke baad pta chale sake ki aap ka Profile kise chij se Related hai. Aap jab apna Profile Description likh rahe hai. Tab aap apne Profile Description me Apne Website ka Link type kar sakte hai.

3. Image Uploding System:- Ab aap ne apne Profile ko Thik se Maintain kar liya hai. Ab aap ka Instagram Account me Post Published ka Kaam Start karna hai. Aap ek chij ka dhyaan rakhe Aap jo bhi Post Published kar rhe hai. Vo aap ke Website se Related hi ho. Ta ki aap ko Views Mile sake or aap ka Website Promote ho sake. Aap apne Account me Faltu ke Image Published n kare nhi to aap ko Problem ho sakta hai.

Jaruri nhi ki aap ko Apne Website Post ko Promote karne ke liye New Image Bnane ki jarurat hai. Aap Apne Post me jo Main Image Use karte hai. Aap use bhi Instagram me Publish kar sakte hai. Bs dhyan rhe ki vo Image or kisi ka Use Kiya n ho. Aap ke khud ka Image ho. Aap Jabhi bhi Post Published kare use thik se dekh le ki vo image se pta chale sake ki aap ke website ka kya name hai. or use pe aap ne konsa Post Published kiya hai.

4. Post Publish Scheduling:- Aap Apne Post ko Published karne ke liye ek Time ko Choose kare. Aap Dhyan rakhe aap ka Jo Post hai. Vo Ek hi Time Pe Published ho Matlab ki Aap ek Perfect time Choose kare. Or Fir Daily Usi Time pe Post Ko Published kiya kare. ta ki aap ke Folowers ko aap ke Published kiye Post ek Time pe mil sake.


Kuche blogger Post ko Share karne ke liye kuche time tk bhut mhenat karte hai. Fir vo Post ko Share karna chode dete hai. Jise unko firse Traffic me Problem aane lagta hai. Aap Instagram me apne Post ko Image ke Jariye Share kare aap bhut hi Best Profit milega. Scheduling se Post Published karne ke Liye Automatic Published karne ke liye Software ka use kar sakte hai. Jise aap ka Post Set kiye time pe Automatic Published ho jayega.

5. Meet of Online:- Aap ko Apne Social Media Network pe Visitors ke Sath Online Chat karna chiye ya Unse aap ko hmesa apne Contact me rakhna chiye jaise aap apne New Post ke Baare me ray le sakte hai. Ki Aap Next Post kise chij pe Published kare. Aap ko Apne Visitors ke liye Thora Social Media Network pe bhi Time nikalna chahiye jise aap unke Problem ko Jaan sake.

Aap Agur Online Apne Followers ka Help karte hai, To Yakin maniye aap Ke Visitors bhut hi tezi se badhenge. Aap ko Week Ke 1Day Comment ke Reply dena chahiye agur aap ke Pass Time nhi hoi to time nikalna chahiye. Agur aap ke pass Time hai, To aap Apne Anusar jo Comment aap ko lgte hai. Iska Reply Aap ke Visitors ke liye faydemand hai, To aap uska Reply jarur de.

Ye the Friends mere kuche Point Instagram pe Website Promote karne ke Kuche Successful Point aap in point ko use kar apne Visitors grow karva sakte hai.

Ok Friends Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips Post me bs itna hi agur aap ko Post pasand aaya hoto Please aap es Post pe Comment jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka Koi Question hoto Please aap mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka pura help karunga. Hmare Social Media Network Ko like, Share or Join jarur kare.


Wednesday, 13 December 2017

Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege ki hm Apne Youtube Channel ko Adsense se Monetize kaise kare. Jaanne ke liye Friends aap es Post ko Pura or thik se Padhe. Ise phele bhi ye post ko kai logo ne likha hoga par mai aap logo ko es post me bhut hi aasan tarike se btaunga jise aap apne Youtube Channel ko Bhut hi aasaani se Monetize kar sakte hai. Aap ye To jaante hi honge ki Youtube se hm Paise kma sakte hai. Or Friends bhut se Youtuber Paise kama bhi rhe hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Youtube se Paise kamane Ke liye hme Youtube pe Video Upload karna hota hai, or Aap dhyaan rakhe aagur aap Video se Paise kamana chahte hai, To vo video Se Related Koi bhi chij Copy ki hui n ho. Youtube CopyRight Video pe aap ko Paise nhi deta hai. Or Account disable bhi kar sakta hai.  es liye aap Youtube Pe kisi  bhi parkar ka Wrong trick n use kare nhi to  aap ko Problem  aa sakta hai.


Aap Es Post ko thik se Padhe taki aap thik se Monetize On kar sake aap ko kisi bhi parkar ka problem n ho.

* Without Adsense se Paise kamane ke 5Tips
* ADSENSE PE ACCOUNT KAISE BANAYE
* Sabhi Post ke Bich me Adsense Ads Code Kaise Lagaye 

Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare.

Ab Friends aap mere btaye jane wale Step ko Thik se Follow kare.

Step1:- Sabse Phele aap www.youtube.com website pe jaye vha pe aap login kare. Agur nhi pta ki Youtube Channel kaise Create karte hai, To yha pe Click kare. or ek youtube channel create kare uske baad aap Login kare.

Step2:- Ab aap ko Sabse upar Right Side me apne Profile pe click karna hai. Fir aap ko My Channel ka Option de rha hoga aap vha pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap Video Manager pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Ab friends aap ke Saamne Video  Manager ka Page open ho jayega usme aap ke Upload kiye gye Sare Video Show ho rha hoga.


Aap ek chij ka or dhyan rakhe aap ke Channel pe 10000Views hone jaruri hai. Agur aap Monetize karna chahte hai to, Agur aap ke channel pe 10000Views nhi hai, To sabse phele aap apne 10000Views pure kare. fir aap aage ka Process Follow kare.

Step4:- Ab aap ko Channel pe Click karna hai. Aap ko Image ke Trhe Page open hoga aap Monetize pe Enable ke button pe click karde. Mera 10000Views se km hai es liye mera Enable ka Option nhi de rha hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step5:- Enable pe Click karne ke baad aap Monetize page pe aa gye honge ab aap ko Start ke Button pe Click karna hai.



Ab aap ke Channel ko Check kiya jayega. Agur aap ke video or Channel pe koi Problem nhi  hoga to  aap ka Youtube Channel 3Days ke under Approve kar dega.

Step6:- Ab aap firse video manager pe chale jaye. Vha pe aap ko ab dollar ka sign show ho rha hoga, lekin abhi aap ka Monetization sirf Enable hua hai. Abhi adsense se connect nhi hua hai.

Step7:- Ab aap ko Channel pe Click karna hai. Fir aap ko Monetization ka option dikh rha hoga vha pe click kar de. Or Next pe click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step8:-  Ab aap ke saamne Adsense se Connect karne ke liye page open hoga. Agur aap Adsense Account Create kar liye hai, To Yes Kare ya fir Agur Adsense Account Create karna hai. To Create New Account pe Click kare. Mai Yes kar deta hu mere pass Adsense Account hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step9:- Ab aap ko apna Adsense account ka Id or Passwortd fill karna hai. Or Login karna hai.

Step10:- Ab aap ke saamne Next Page Open hoga usme  aaap ko Apna Youtube Channel Link paste kare ya fir vo khud hi fill ho jayega.

1. Fir aap ko Content Language select karna hai.

2. Ab aap Continue pe Click karde.

Step11:- Ab aap ke Saamne Forum Open hoga aap us Form ko Thik se bharde vo jo bhi jankari mange use thik se bhare. Koi bhi Galat Information n bhare.

Jab aap Payment Mangavayenge to Aap ke Diye gye Address pe Verification Code aayega jise aap ko apne Adsense Account me fill karna hoga uske baad se hi aap payment apne Bank Account me Transfer kar sakte hai. es liye form thik se bhare or Submit pe Click karde.

Jab aap Submit My Application pe Click karenge aap ka Youtube Channel Monnetize ho jayega or  aap ka Earning Start ho jayega. Ab aap ke Video pe 24Hours ke under Ads Show hone lagega ab aap Youtube se Paise Earn karne lagenge.

Ok Friends Youtube Channel ko Adsense se Monetize kaise kare Post me bs Itna hi Agur Friends aap ko ye Post Ascha lga hoto Please aap es Post pe Comment jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto Please aap Mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka pura help karunga.  Or Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur  kare.

Wednesday, 29 November 2017

Mobile Screen Recording se hm Paise kaise Kamaye

Hi Friends,

Aaj hm es Post me Jaanege ki Mobile Screen Recording se hm Paise kaise kamaye. Friends Online Paise Kaman eke ab bhut se Raste aa gye hai. Aaj kal jiske pass Android Mobile Phone hai vo Mobile Phone se Per Mounth 200$ se bhi jade paise kama sakte hai. Aaj mai aap ko Ese hi Tips btaunga jise aap Mobile Screen Recording kar ke Paise kama sakte hai. Friends ise samye Online ka System hai. Ghar baithe Online ke help se bhut sare paise kama sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Android Mobile Phone Me bhut sare Apps aap ne dekhe honge jo aap ko kuche kaam karne ke Paise deti hai. ya fir unka kuche Task hote hai. Use Complete karne pe aap ko Paise milte hai. Ise trhe se aap ko Screen Recording apps ka Use karna hai. Or aap ko Video bna kar Upload karna hai Youtube pe ise trhe se bhi aap Paise kama sakte hai.

Mobile Screen Recording Kar ke Paise Kaise Kamaye.

Friends Jaisa ki Maine Kai Post likhe hai. Online paise kaise kamaye ise trhe ye Post bhi Online Paise Kaman eke liye hi hai. Ise ke liye aap ko Online Kuche Knowledge hona jaruri hai. Jise aap Bhut asche Paise kma sakte hai. iske liye aap ka ek Youtube Channel hona Chahiye Agur aap ke Pass Youtube Channel nhi hai to aap Yha Click kare. Or Aap ek Youtube Channel Create kare.


Ab aap Apne Itresr ke mutabik ek Channel Create kar liye honge. Ab aap ke mn me Question hoga ki aap ab kaise Video bnaye or kis chij pe Banaye. To mai aap ko bta du aap ko Net ya fir Youtube pe Search karna hai. Aap ne Jo name Se Channel bnaya hai. Ya fir aap jis chij se Related Video banana chahte hai. use Related aap Net pe Search kare or kuche Video dekhe jise chij se Related aap ko Video banana hai. Maan lo Aap Review se Related Video banana Chahte hai. To fir aap use Related video bana kar youtube pe Upload kar de.

Full Details Mobile Screen Recording se Paise kaise Kamaye.

Friends Hme Youtube Pe Work karne ke liye koi bhi Jade Paise Invest karne ki Jarurat nhi hai. bs aap ke Pass ek Mobile Phone, Screen Recording apps and Video Editor Apps hona chahiye. Ta ki aap ko kisi bhi parkar ka Editing karna ho video me to kar sake.

1. Sabse Phele aap ko Ek Youtube Channel Create karna hai. Agur aap ko nhi pta ki Youtube Channel kaise Create kare to yha Click kare.

2. Ab aap Ek Best Screen Recording Apps Download kare.Mai Mobizen Apps Use karta hu Aap es Apps ko PlayStore pe Download kar sakte hai.

3. Ab aap Screen Recording Apps Open kare or Start pe Click kare.

4. Ab aap ko Video bnana hai. Jis chij me Aap ko Knowledge Hai. use Related aap video bna sakte hai. Jaise aap ko Kine Master Video Editing ke Baare me Knowledge hai, To aap es Topic pe Video bna sakte hai. Iske Tools ke baare me kaise ye Work karte hai. Video Editing kaise kare. or bhi bhut si Video bana sakte hai.

5. Ab aap ko Agur lagta hai. Ki aap or kuche bhi Isme Edit karna chahte hai, To aap Edit kar sakte hai.

6. Aap Apne video ko ek baar dekh le or Youtube pe Upload kar sakte hai. Jise aap Paise kma sake.

7. Ab jab aap Apne Youtube Channel pe video upload kar denge to aap ko 10000Views jab Youtube pe mil jayega fir aap apne Youtube Channel ko Adsense se Monetized kar de. Fir aap ko Apne Channel se Income hone lgega.

Ise trhe se Friends aap Screen Recording kar ke Youtube se Bhut hi aasani se Paise kma sakte hai. Youtube Channel ko Adsense se Monetized kaise kare jaanne ke liye yha Click kare.

Ok Friends Mobile Screen Recording se hm Paise kaise kamaye Post me bs itna hi. Agur Friends aap ko Ye post pasand aaya hoto Please aap es Post pe Comment Jarur kare. Aap ka kisi bhi Parkar ka Problem ho ya koi Question hoto Please aap mujhe Comment jarur kare. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Saturday, 25 November 2017

Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise Pta kare

Hi Friends,

Aaj hm es Post me jaanege ki Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise pta kare. Friends jaisa ki jaante hi honge ki aajkal Aadhaar card Proof Hmare liye kitna jaruri hai. Ab aap koi bhi Work ke liye Apply kare ya kai Form bhare har jaghe pe aap ko Aadhaar card dena hi hota hai. Kyo ki Bina Aadhaar card ke Aap ko koi bhi job nhi Deta hai. Proof me sabse jada dimand Aadhaar card ka hi hai. Phele ek samye tha jab Voter card ke liye bhut hi paresaan hona padta tha lekin ab log Aadhaar card banva rhe hai. Kyo ki ab Aadhaar card Hmare liye bhut hi Important hai.

Aadhaar Card banane ke liye Government ne Harek area me Aadhaar card Camp lagaye the. Jise logo ko Aadhaar Card banvane ke liye Problem n ho. Government ne Ab har ek Purane or New Account ke sath Aadhaar card Link karvane ka Notice diya tha. To Friends Ise Phele Maine Post me btaya tha ki Aadhaar card ko Bank Account ke Sath kaise Link kare. Aap apne Aadhaar card me Diye Thumb ke Help se Paise Nikaal bhi Sakte hai.

Aadhaar Card Bank Account Se Link karne ke mai aap ko 3Triks btaunga jise aap bhut hi Aasani Se apne Aadhaar card ko Bank Account ke Sath Link kar sakte hai. Aap ko bs Thorasa Net ka Knowledge hona jaruri hai. Baki aap ka Help mera ye Post karega.

Aadhaar Card Bank Account ke Sath Link hai ya nhi Jaane.

Sabse Phele mai aap ko 1st Option UIDAI website ke help se kaise check kare ke baare me btaunga.

Step1:- Sabse Phele aap UIDAI website pe Jaaye jaane ke liye yha pe Click kare. 

1. Ab aap Scroll Down karenge to aap ko Aadhaar Service me Check Aadhaar & Bank Account Linking Status ka Option de rha hoga sabse Niche aap Image me bhi Dekh sakte hai. Uspe click kare.

Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise pta kare


Step2:- Ab aap ke Saamne ek Page Open hua hoga usme aap ko Ab Sabse Phele Apna Aadhaar details bharna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele Aap ko Apna Aadhaar Card Ka 12Digit fill karna hai.

2. Ab aap ko Vha diye gye Captha Code ko Fill karna hai.

3. Ab aap Niche dekhenge to aap ko Send OTP Ka Option de rha hai. Aap vha pe Click kar de.

Fill Aadhaar Details OTP Code


4. Ab aap ke Mobile Number par Ek OTP Code aaya hoga Aap vo bhar de or Verify Pe Click karde.
Ab aap ke Saamne Message show ho jayega ki aap ka Aadhaar konse Account ke Sath Joint hai

Triks 2.

Maine Phele Online Trick btaya tha ab Mai aap ko SMS ke jariye Kaise pta kare Aap ka Aadhaar Bank Account ke Sath link hai ya nhi.

Step1:- Sabse Phele Aap Apne Mobile Phone me Dilaer Open kare.

1. Ab aap ko vha pe *99*99#, *99*99*1# Type kar Call karna hai.

2. Ab aap ke Saamne Message Show hoga or Aap ko Option choose karna hoga.

Step2:- Ab aap ko Bhut Saare Option show honge.

1. Aap ka Aadhaar card Bank Account ke sath link hai ya nhi jaanna chahte hai, to 1 Option ko choose kare, or Ok pe click kare.


2. Ab aap ko 12Digit ka Aadhaar Card Number bharna hai, or fir Ok pe Click karde.

3. Ab aap ko ek baar firse Aadhaar number Confirm karne ko khega aagur sahi hai, to Confirm kare nhi to 2Option choose kar firse Aadhaar Number Fill kare, or Ok pe click kare.

Triks 3.

Ab aap ke pass dusra tarika hai. Apne bank ke branch me ja kar status jaan sakte hai. Aap ka Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya nhi.

Step1:- Sabse Phele aap ko Apna Aadhaar card or Bank Account Passbook lekar Bank jaana hai.

Step2:- Ab aap vha se Kisi se bhi puchele ki aap ko Check karna hai. Aap ka Aadhaar Card aap ke Bank Account ke Sath link hai. ya nhi To fir aap ko jha pe Btaya jaaye us Person ke pass jaaye or Apna Problem btaye vo aap ka  Pura help karenge.

Ise Parkar se friends Aap apna sare Problem solve kar sakte hai. Ye sab se Aasaan triks hai. Aap ka Bank Account Aadhaar Cards se link hai ya nhi Jaanne ke liye.

Aaj aap ne Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise pta kare Post me 3Triks jaane hai. Agur Friends aap ko ye Post Ascha lga hoto Please Aap es Post pe Comment jarur kare. Agur Friends aap ka kisi bhi parkar ka Question ho ya aap ko koi Problem ho To Please aap mujhe Comment jarur kare mai aap ka Pura help karunga. Hmare Social Media Network ko like, Share or Join jarur kare.


Wednesday, 22 November 2017

File Upload ke liye Dropbox Account Kaise Create kare

Hi Friends,

Aaj Hm es Post me Janege File Upload ke liye Dropbox Account Kaise Create kare ke Baare me. Agur Friends aap Online Work karte hai, To aap ko Kai baar Online Data Store karne ka Jarurat padta hoga. Par aap ko Upload Karne me bhi Problem aata hoga. Lekin aap Dropbox use Karte hai, To aap ko kisi bhi Parkar ka Problem nhi hoga kyo ki Friends ise use karne me bhut hi Easy hai. Isko Use Karne se Phele aap ko Dropbox Account Create karna hoga. Aap Dropbox ko File Share, Backup or Blog ke liye bhi use kar sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Dropbox Account hmare liye bhut hi fayde mand hai. Kyo ki Friends aap agur koi Blog banana chahte hai, To Aap ke Liye Dropbox Account bhut kaam ka hai. Aap apne Visitors ke liye Backup ye Provide ke liye File Apne Dropbox ke liye use kar sakte hai. Jise aap ka bhut jada fayda ho sakta hai. aap ko Apne Website ke liye Host lene ki bhi jarurat nhi Agur aap ke pass Dropbox Account hai, to Aap ko Apne Thore bhut kaam Dropbox se Bhi kar sakte hai. Aap apne file ko Es Website pe Apne Account ke Throuh Upload kar dete hai, to aap kisi bhi system pe login kar apne File pe Access le sakte hai.


Ye Website Aap ko Free Online Space Deta hai. Aap iska use Kisi bhi file Ko Share karne ke liye use kar sakte hai. Dropbox Website bhut hi Secure Website hai aap ko Ise Website se Koi Problem nhi  hoga.

Dropbox Account kaise Create kare.

Agur Friends aap Dropbox Website pe Account Create karna chahte hai, to aap Btaye gye Steps Ko Follow kare.

Step1:- Sabse Phele aap Dropbox Website pe jaye. Jaane ke liye yha Click kare.

Step2:- Ab aap ko Get DropBox Basic Ke Option de rha hoga aap vha pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Step3:- Ab aap ko Ek Form Bharna hai. Jisme aap ko Apne Related Information fill Karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele aap Apne Name likhe.

2. Fir Aap apna Last Name likhe.

3. Email Id fill kar dijiye.

4. Fir aap ko ek Password Choose Karna hai.

5. Ab aap I Acept Pe Click karna hai.

6. Ab aap Create An Account Pe Click karde.


Step4:- Ab aap ke Email Id pe Verification Link gya hoga use Aap verify pe Click kar Verify Karle.
Ab aap ka Dropbox Account create ho gya hai. Ab aap Dropbox Account use Kr sakte hai.

Dropbox Account Ko use Kaise kare.

Aap Agur apna Dropbox Account open karte ho to aap ko Left side me Upload Files ka Option de rha hoga aap vha pe Click kar koi bhi File Upload kar sakte hai.

Dropbox Profile pe Photo kaise Upload kare.

Step1:- Sabse Phele aap upar Left Side pe Mercy pe click kare.

Step2:- Ab aap Setting pe Click kare.

Step3:- Ab aap ko Photo ka Option show Ho rha hoga uske Saamne aap ko Edit pe Click karna hai.

Step4:- Ab aap Media pe Click kar Photo choose kare or Upload pe Click kare.

Is trhe se Aap Apne Photo ko Upload kar sakte hai.

Ok Friends Aaj ke File Upload ke liye Dropbox Account Kaise Create kare Post me bs itna hi agur Friends aap ka koi Question hoto Please Aap mujhe Comment jarur kare mai aap ka Pura help karunga. Agur aap ko Kisi bhi parkar ka Problem ho ya aap ka koi Question hoto Please Aap Mujhe Comment jarur kare mai aap ka Pura help karunga.

Tuesday, 21 November 2017

Apne Google Plus Profile Me Followers Badhane ke 5Killer Tips

Hi Friends,

Aaj hm es Post me Jaanege Apne Google Plus Profile Me Followers Badhane ke 5 Killer Tips. Dosto Aap jante lhi honge ki Koi bhi Promoter Google Plus pe Sabse jada Active Rheta hai. Kyo ki isme Aap ko kisi bhi Parkar ke Business ko Promote karne ka Ascha Tarika hai. Google Plus me Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem nhi hota hai. Isme aap ka Profile Correct hota hai. Aagur Google ko Thora bhi esa lagta hai ki Aap ka Profile Fake hai, To aap ko Turant Block karta hai. Yha pe bhut sare Person Active rhete hai. Or es Platform pe Active rhene wale log Time pass nhi karte vo apne Business se Related yha asche Work ke liye hi aate hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Google Plus Pe Aap agur apna Link Share karte hoto aap ko Bhut jada Fayda hota hai. Kyo ki yha pe Bhut sare Person Apne Busness ko Promote karte hai. Google Plus Kai Person ko Ascha nhi lagta hai. Kyo ki Yha pe aap ko Baat karne ka Suvidha nhi hai. Lekin Google Plus aap ko Paise Kaman eke kai Raste deta hai. Jise aap Bhut sare Paise kama sakte hai. Google Plus Social Media Network me sabse Aage aata hai. Agur Friends aap Mere Btaye gye Step ko Follow karte hai, To aap ko Bhut jaldi Profit hoga.

Apne Google Plus Profile ke followers Badhane Ke 5 Killer Tips

1. Profile Image:- Dosto Aap ka Agur Profile Image or Cover Photo best hoto Aap ko Jade log Pasand karenge. Isliyue aap hmesa Apna Profile or Cover Photo best lagaye kyo ki Friends Koi bhi Sabse Phele aap ke Profile Image ko  hi dekhta hai. Aap ka Image best hai. To vo aap ko Follow jarur karega. Aap ko Apne Profile Photo ek dam thik se Clear rakhna hai. Jise Aap ka Image dekh kar vo samajh sake.


2. Best Follow Ideas:- Agur Friends aap ka koi Business hai, To aap apne Business se Related Person ko Follow kare.Jaise Mera Blog hai Tips & Trick ke baare me to mai Tips & Trick se Related jade Follow karunga jise mere Follower Bhi badh jayenge or Mujhe Hmesa New trick or Update bhi milte rhenge. Aap Agur Istrhe se Work karte hoto aap ko Apne Website Pe PageViews bhi Asche milenge or Aap ke Website pe Aane wale sare Visitors Aap ko hmesa follow karenge Aagur aap Thik se Post Dalte hai To. Fir aap ko Bhut hi Jaldi Supper Result milega.

3. New Post:- Dosto Aap hmesa apne Google Plus par New Post dalte rhe jise Aap ke Followers Google Plus pe Active rhe. New Post ka Matlab ye nhi ki aap yha pe Jade Words me Blog jaisa Post dale. Aap bs kuche new Point pe kuche post likh de ya aap apne Blog pe jo New Post likhe use Google Plus pe Share jarur kare. Ta ki aap ke Followers aap ke Post ko Padhe kar Knowledge le sake.


4. Blog me Google Profile Link Add kare:- Agur Friends Aap ka Koi Blog hai, To aap apne Blog me Profile ka link Add kare. Jise aap ke Google Plus ke Followers Badh sake. Aap apne Profile Link ko Facebook Page Ya fir jo Famous Group hai. Usme Share kare. Jise aap kke Followers Badhe sake.

5. New Trick Information:- Friends Jaisa ki aap ne Kai baar Youtuber ke Muh se Suna hoga ki Hm Youtube Channel chod rhe hai. Or hme Google Pus ya Facebook Page pe Follow kare. Ise trhe bol dete hai. Jise fir inke Followers ine Dekhne ke liye Facebook Page Pe ya Google Plus pe Follow karte hai. Fir inka Facebook Page or Google plus Profile pe Inke Followers Badhne lge jate hai. fir Vo Kamane ke Liye or Koi Youtube Channel Start kar dete hai. Ye sab ek Trick hai. Jispe mai Aaj ek Video bhi banau.

Ye the Friends Kuche Tips Google Plus ke Followers Badhane ke liye. Aap ko Agur or Bhi Points Pta hoto Please Aap hmare Sath Share Jarur kare. Hm aap ke Name ke Sath us Post ko Likhenge.

Ok Friends Apne Google Plus Profile me Followers Badhane Ke 5 Killer Tips Post me bs Itna hi. Agur Friends aap ko ye Post Ascha lge to Please Aap es Post pe Comment Jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi Parkar Ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Mujhe Comment jarur kare. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare
* Business Ko Free me Promote Kaise Kare
* Youtube video Ka Views kaise Increase kare.

Saturday, 18 November 2017

Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare

Hi Friends,

Bhut samye baad ye Post mai apne Website pe Likh rha hu. Kyo ki Kuche dino tk mai apne Vilage me rha jha pe mai Post nhi likh saka fir mera tabyt kharab hone ke karan  main hi likh paya lekin mai ab koshis karunga ki aap logo ke liye Per day Post likh saku lekin Mere Paper bhi Start hone wale hai. Jise ke kaaran fir mai Papper ke Tyari me busy ho jaunga. Or Kya pta aap logo ke liye Post n likh pau. Lekin tension mt le fir bhi mai Koshis karunga ta ki aap ko kabhi Problem n ho. Aap jab bhi kisi chij ke baare me Post Chahiye ho aap Comment ya Message kare. Ab hm chalte hai Apne Post ki or.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Friends es Post me mai aap ko Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare ke baare me btaunga. Aap ko Ye System bhut jada help karega. Friends jab aap ko koi Business karna hai. Ya Aap ko koi business aage badhana hai. to fir Video aap ka Bhut help karega. Kyo ki Friends aaj kal log Padhne se best Sunna pasand karte hai. Aap ka bhi koi Business hai, To aap bhi apne Business se Related video bana kar Facebook pe aap Promotion bhut hi aasani se kar sakte ho.

Agur dekha jaye to Post write karne se Muskil hai. Video banana kyo ki video banane Adhik  samye or Material lagta hai. Or Post Write karne me utna muskil nhi hota hai. Es liye mai aap ko ek Aasan Method btaunga jise aap ko muskil nhi hoga Or aap bhut hi Aasani se Kam samye me Adhik video bana sakte hai.

Es Post me, Mai aap logo ko btaunga ki aap apne video ko Facebook Page par kaise Live Stream kar sakte hai. Kyo ki Aap Aagur jo Video Normal Upload karte hai. Uske Mutabik Live Stream Video jada Dekhe jate hai. Es liye aap Live Stream Jarur kare. Aap Kisi bhi Video ko Apne Facebook pe Live kar sakte hai.

Live Stream Video Download or Live kaise kare.


1. Sabse Phele aap ko Apne Facebook Page pe jaana hai. Aap ko vha pe Publishing Tools pe click karna hai.

2. Aap ko vha pe Video Library pe click karna hai. aap ko ek or Option show ho rha hoga live ka Uspe Click karde.

3. Facebook me Stream ko Hidden rakhe. Koi bhi Aap ke Post me Video Stream Karne ke liye Unka Use kar sakta hai. ( Ye Stream key 7Days tk Valid rheta hai.) Video ko Preview karne ke baad aap ko 5Hours milte hai live hone me. Aap ko or Time chahiye live hone me to aap . Firse Stream key create kar sakte hai.

4. Ab aap Next pe Click kare or Live video banaye. Screen ki niche dikhaye anusar dekhenge.

5. Ise video ko Close n kare Stream Software ko Confirm karne ke baad. Correct Screen ka use karenge.

Open Broadcaster Software ko Pre-Record Video Stream ke liye Configure karna hai.


1. Ab aap ko Open Broadcaster Software Download kare or Install karne ke baad use Open kare.

2. Ab aap ko Setting pe Click karna hai. Aap ko vha pe Stream pe Click karna hai. Vha pe aap ko Stream Key ke Box me Paste kare.

3. Ab aap Ok pe Click karde.

4. Ab aap +icon pe click kare or VLC Video Source pe click kare.

5. Ab aap Ek Playlist create kare. Ab aap es Playlist me ek Video se Adhik Video Add kar sakte hai Stream ke liye. Ab aap OK pe click kare.


6. Ab aap ko Screen par Configure karna chahiye ki aap Stream kaisa karna chahte hai. Aap agur + icon par Click kar ke or bhi Video Add kar sakte hai.

7. Ab aap Facebook Home Page pe jaye or Go Live pe click karde.

Aap hmesa Facebook Live Stream ko Manualy Tarike se End kare. OBS Live Stream Video ke liye sabse Best Free Solution me se ek hai.

Ok Friends Aaj ke es Post me bs itna hi Aagur friends aap ko es Post se related kisi bhi parkar ka Problem hoto Please Aap es Post pe Comment kare. Mai aap ka Pura help Karunga. Aap ke Liye ye Post helpful rha hoto Please aap es Post pe Comment kar ke btaye. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye bhi Padhe.
IBM.com website se dofollow backlink kaise banaye.
Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare.
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare.
* Ek Gmail ID se Multiple Youtube Channel Kaise Banaye.

Powered by Blogger.

Contact Form

Name

Email *

Message *

Search This Blog

Subscribe

Get Free Update Notification

Enter your email address