Showing posts with label Tips & Trick. Show all posts
Showing posts with label Tips & Trick. Show all posts

Monday, 3 March 2025

Mutual Funds se Crorepati banane ka tarika

 Hello Friends,

Aaj ke time me financial freedom sabhi chahte hain! Agar aap bhi crorepatio ki list me apna naam likhwana chahte hain, to Mutual Funds ek zabardast option hai. Bhut se log Mutual Funds ke jariye sahi Knowledge ka use karke Crorepati ban chuke hai. Agur aap bhi Croreopati banana chahte hai to ise post ko pura padhe

Mutual Funds ek yesa Plan dete hai jisme aap per month kuche paise save karke multiple company me invesat kar sakte hai. Kyo ki mutual funds bhut sare logo ka paisa ek place pe ikatha karke fir bhut sare best company me invest karte hai jha pe unhe ye lagta hai ki in company se invester ko ek ascha profit ho sakta hai. Aap ko bs har month SIP set karna hai or fir automatic per month aap ke set kiye gye amount aap ke bank account se deduct honge or fir vo paise invest karenge or uske badle me aap ko use mutual funds ke kuche units milenge

Mutual Fund Kya Hai?

Ek tarah ka investment plan jisme aap apna paisa professional fund managers ke through stocks, bonds aur other financial instruments me invest karte hain. Ye long-term me accha return generate karne me madad karta hai.


Mutual Fund Ke Best Types:

Equity Funds:- High returns ke liye (long-term ke liye best hai Investment Apne Risk par kare)

Debt Funds :- Low risk aur stable returns

Hybrid Funds:- Equity + Debt + Gold ka mixture

Index Funds:- Market index ko follow karne wale funds

Pharma and HealthCare Funds:- Pharma and HealthCare Funds investment ke liye kafi best hai kuche salo me Small cap or baki kuche sector se badhiya return diya hai.

Mutual Fund Ke Jariye Crorepati Banane Ki Strategy.

1. Jaldi Start Karo:– Jitna Agar aap jaldi investment start karte ho, to aapko Compounding ka faayda milta hai. Compounding ka matlab hota hai "byaj par byaj" milna. Jitna lamba time hoga, utna zyada paisa grow karega.

2. SIP (Systematic Investment Plan) Karo:– SIP ek aisa tareeka hai jisme aap har mahine ek fixed amount Mutual Fund me invest karte ho. Yeh chhote investors ke liye kaafi useful hota hai aur long-term me bada fund banane me help karta hai.

Agar aap 20 saal tak har mahine ₹10,000 SIP me invest karte ho aur 12% ka average annual return milta hai, to 20 saal baad aapka total fund ₹1 crore se zyada ho sakta hai.

3. Sahi Fund Choose Karo:– Agar aapka goal crorepati banna hai, to aapko aise funds me invest karna hoga jo long-term tak accha return de sake. Kuch acche plan jo aap consider kar sakte hai.



NIFTY 50 Plan

BankNifty Plan

Pharma Fund Plan

BlueChip Fund Plan

Technology Fund Plan

Flexi Cap Fund Plan

Us Based Fund Plan

Pharma Healthcare and Diagnostics Fund Plan

Gold Fund Plan

Small cap Fund Plan

Multi cap Fund Plan

Aap kisi bhi Mutual Fund Features Provide karne wale app me jaiye or check kare apne hisab se ki konsa mutual fund aap ke mutabik ,thik hai. Kyo ki alag – alag company ke funds ke alag- alag Expense ratio hoga. Different Min Sip Amount Hoga. Exit Load Condition sabhi funds ke alag – alag honge.

Kisi bhi Mutual Funds me Invest karne se phele use funds ke bare me sabhi jankari check karle taki aap ko baad me koi problem nhi ho. Kyo ki bhut se funds ke expense ratio bhut jada hota hai. To funds ke sabhi charges ko thik se dekh karke hi invest kare. Mai yha kisi bhi funds ka naam use nhi karunga taki aap khud se check kar sake ki konsa company ka fund aap ke liye best hai.

Mai yha un app ka naam lunga jin app ka use mai karta hu Mutual Fund Investment ke liye or Share Market me Invest karne ke liye.

1. Groww App

2. Zerodha

Ye mere Refer Link hai agur aap in app ka use karke investment karte hai to ise kuche commission mujhe bhi milega jise ise post ko likhne or aap ke sath knowledge share karne ka vo mera fees ho jayega.

Mutual Funds se Crorepati banane ka tarika ye post likhne ka mera ek hi karan hai jo mai kar rha hu vo aap ke sath bhi mai share kar saku.

Mutual Funds me aap Grow fund wale fund me invest karne se vo fund management jin company me invest kar rakhi hai agur vo company dividend ya kuche or benefit deti hai to fund management house use paise ko fir usi fund me invest kar deti hai. Ise aap ke paise par interest pe interest milta hai. Ise aap ka paisa or jaldi grow hota hai.

 Mutual Funds se Crorepati banane me ye tarika bhut kaam aayega. Mutual Funds se Crorepati banane ke liye aap ko Interest pe Interest milta hai to aap ka paisa agur kal 110Rs tha aap ka portfolio value to one percentage aaj increage hoga to aaj ka portfolio value 1.10 Rs add ho karke 111.10Rs ho jayega. Ise Interest pe Interest milna bolte hai.

Sahi fund ka selection aapke wealth creation journey me ek important role play karega.

4. Lambi Avdhi Tak Invest Karo:– Mutual Funds se crorepati banne ke liye dhairya (patience) bohot zaroori hai. Agar aap 15-20 saal tak invest karte ho, to aapko bada profit mil sakta hai.

Short-term investment me risk zyada hota hai aur compounding ka pura benefit nahi milta. Isliye jitna lamba invest karoge, utna bada return milega

5. Market ke utar-chadhav se ghabrayein nahi:- Share Bazaar hamesha utar-chadhav bhara hota hai. Lekin agar aap long-term investor ho, to market ki volatility (asthirata) se ghabrane ki zaroorat nahi hai.

  • SIP lagataar chalu rakho
  • Short-term girawat ko ignore karo
  • Market ke long-term growth par focus karo

History bhi proof karti hai ki share market lambe samay me hamesha grow karta hai.

6. Dhire - Dhire Investment Amount Increase kare:- Agar aapki income badh rahi hai, to Investment amount bhi badhayein.

  • ₹5,000 SIP se shuru karein, phir har saal 10% badhayein.
  • Jitni zyada investment or jitney lambe time ke liye invest karenge, utna jaldi crorepati banne ka chance rahega.
  • Step-up SIP ka fayda uthayein – Compounding aur growth dono milega.

Thoda-thoda increment bhi aapke financial goals ko fast-track kar sakta hai.

Diversification Karo:– Sirf ek fund pe depend mat raho, large-cap, mid-cap aur small-cap funds ka combination rakho, aap ko alag – alag sector ke bhi fund mile jayenge jaise pharma or gold ise bhi related fund me invest kare.

1 Crore Ka Fund Banane Ka Formula(Mutual Funds se Crorepati banane ka tarika)

₹10,000 per month invest karo for 20 years at 12% return ₹1+ Crore

₹5,500 per month for 25 years ₹1+ Crore

₹25,000 per month for 10 years ₹1 Crore

Mutual Funds se crorepati banna possible hai, bas discipline aur long-term approach chahiye. Aaj hi investment start karo aur apne financial goals achieve karo. Mai ise post ko sirf knowledge ke liye likh rha hu Mutual Funds se Crorepati banana ya nhi banana ye aap ke knowledge pe depend karta hai. Mai yha kisi bhi parkar ke specific mutual fund me Investment Karne ka salah nhi de rha hu. Mai kisi bhi parkar se SEBI se register nhi hu. Investment karna ya nhi karna ye aap ki isha hai.

Mutual Funds se Crorepati banane ka tarika ke ise post me bs itna hi agur aap ko ise related or post chahiye to aap mujhe comment kar sakte hai. Agur aap ko koi help chahiye to aap comment kar sakte hai mujhe aap ka help karne me bhut ascha lagega.

Friday, 21 February 2020

Sarkari Naukri ke liye vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare

Hi Friends,

Aaj hm ise post me jaanege Sarkari Naukri vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare. Dosto bhut se log Sarkari Naukri ke liye apply karne ke liye vo shop pe jate hai. Bhut se logo ko nhi pata ki hm sarkari naukri ke liye apply kaise kare. Agur aap ko bhi nhi pata ki hm Sarkari Naukri vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare. To aap ise post ko suru se lekar last tk jarur padhe.

Agur Dosto aap bhi sarkari naukri check karna chahte hai. Ki hme sabhi sarkari naukri kaha se checkkare to maiise post me sarkari naukri ko lekar sabhi jankari aap ko dene ka koshish karunga. Agur dosto aap bhi sarkari naukri pane ke liye ya fir form bharne ke liye paresan hai to aaj mai aap ka paresani dur karne ka koshish karunga.

Sarkari Naukri ke liye vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare

Dosto Agur hum baat kare Sarkari Naukri vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare. To sarkari naukri ko lekur bhut se website updates provide karte hai. Lekin bhut se website galat ya fir full details nhi provide karte hai. Jise hai baar kai chijo ka problem face karna padta hai.

Ise liye friends mai aap ko yha pe sabse best website bataunga jiske jariye aap sarkari naukri se related best jobs or aap unke result bhi check kar sakte hai. Sabse best website Sarkari naukri ko lekar sarkariresult.com website hai. Aap yha pe sarkari naukri bhi search kar sakte hai. Agur aap apna result check karna chahte hai. Jo aap ne 2020 ke baad apply kiya tha uska result aap sarkariresult.com ke website pe check kar sakte hai.

To dosto ab hm Sarkari Naukri ko lekar or jyada jante hai. Points ke sath – sath ta ki hme Sarkari Naukri vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare. Ke bare me or bhi best jankari jaan sake. To dosto chaliye ab hm best points ke bare me jante hai.

Sarkari Result kya hai


Sarkari Result ek best website hai. Jo ki hme Sarkari Jobs se related bhut se information provide karte hai. Jaise Latest Sarkari Naukri Vacancies. Sarkari Naukri Old Exam Syllabus, Patterns or Exams date etc . Or bhi bhut se sarkari nakuri ke bare me aap yha jaan sakte hai.

Dosto aap ko ise website ke jariye Notification bhi aap ke phone pe aata rheta hai. Jo bhi unka updates hota hai. SarkariResult website apne website pe every sec ka news provide karti hai. Sarkari Naukri se related Jobs etc. Harek parkar ka news sarkariresult ke team provide karte hai.

Sarkari Result 2020 portal pe provide kiye jane wale Information


Dosto Sarkari Result 2020 portal pe sarkari naukri se related sabhi jankari provide hai. Phele sarkari naukri ke website pe aap ko information thik se nhi milta tha. Lekin ab aap ko problem nhi hoga.

Kyo ki Sarkari Result aap ko harek parkar ka information provide karta hai. Jisme aap ko Latest Jobs Updates, Sarkari Results 2020, Syllabus, Admit Card etc or bhi kai chijo ka information provide karta hai. Ab hm inke bare me full information jante hai. Ta ki hm iske bare me or bhi jankari jaan sake.

1. Latest Jobs Updates


Aap ko ise portal pe harek parkar ka government job mile jayega. Agur aap kisi bhi parkar ka government job ke liye apply karna chahte hai. to aap ise portal pe ja kar search kar apne pasand ka job search kar sakte hai.

Aap ko ise portal pe Online Apply karne ka bhi facilities mile jayega. Aap ise portal se bina kisi problem ke bhut hi aasani se apply kar sakte hai. Aap ko Jobs ka alert bhi mile jayega. Jo bhi updates hota hai. Aap ko uska notification bhi mile jayega.

Aap category wise job ko search kar sakte hai. Ise portal pe aap ko jobs search karne me koi paresani nhi hoga. Aap ko categories wise sabhi jobs ise portal pe mile jayenge.

2. Syllabus


Dosto agur aap ko kisi bhi sarkari jobs ko lekar koi bhi syllabus chahiye to aap ko Sarkari Results ke website pe mile jayega. Sarkari Results website sabhi papers ka syllabus apne website pe provide karta hai.

Aap ko Sarkari Results ke website pe jo bhi syllabus diye jate hai. Vo best syllabus hote hai. Aap ko or bhi kai website pe syllabus milenge lekin vo jaruri nhi ki vo website best syllabus provide kare. Lekin kai website aap ko best syllabus bhi provide karte hai. Usi me se ek best website Sarkari Results Website hai.

Aap Sarkari Results website ke post me ja kar aap sabhi sarkari jobs se related post me se syllabus ka pdf format download kar sakte hai. Aap ko Sarkari Results ke website pe job hi syllabus mile use aap thik se revise kare. Kyo ki har ek parkar ke job ke liye aap ko tyari karna padta hai. To aap Sarkari jobs ke liye tyari karne ke liye ise website se pdf file download karke tyari kar sakte hai.

3. Admit Card


Dosto ab aap ko admit card ke liye bhi paresan hone ki jarurat mhi hai. Ab aap ko Sarkari Results ke website pe hi Admit Card download karne ka bhi options milta hai. Phele aap ko admit card ke liye bhut paresani hota tha lekin ab sarkari results website ne ise paresani ko khatam kar diya hai.

Ab agur aap ko kisi bhi sarkari jobs ke liye admit cards ka jarurat hai, to aap sarkari results ke website pe ja kar download kar sakte hai. Aap ko first page pe hi Admit cards downloads ka link show hoga aap uspe click karke. Categories select karke download kar sakte hai.

4. Sarkari Results


Dosto ab aap ko Sarkari Results ke liye kisi bhi website pe jane ki jarurat nhi hai. Ab aap ko harek sarkari jobs ka results sarkari results ke website pe mile jayega. Dosto Sarkari Results website ab sarkari jobs pane walo ke liye bhut hi best system provide kar rhi hai. Ab aap ek hi website pe sarkari jobs se related harek chij paayenge.

Ab aap ko Sarkari Jobs se Related kisi bhi parkar ka paresani nhi uthana padega. Ye website aap ko ek hi link pe har ek parkar ka knowledge provide karega. Aap ko ab ise website pe ape problem ko lekar har ek parkar ka solution mile jayega.

5. Question ka Answer


Dosto aap jab Kisi bhi Sarkari Jobs ka paper dete hai, to uska result aane ke baad aap ko kai parkar ke question hote hai. Aap ne jo question kaa answer diya hai. Vo kitna sahi tha or kitna galat tha. Uske liye bhi aap Sarkari Results ke website pe jakar apne question dhundh kar answer pa sakte hai.

Dosto ab aap ko ye website aap ke paper me aaye hue sabhi question ka answer provide karti hai. Agur aap ko kisi bhi answer ka galat hone ka sak hai to aap check kar sakte hai.

Sarkari naukri ke liye apply kaise kare?


Dosto Agur aap Sarkari naukri ke liye apply karna chahte hai. to aap ko pata hona chahiye ki aao Sarkari naukri ke liye kaise apply kare. Sarkari naukri ke liye apply karne ke liye sirf 2 Method available hai. 1. Online Method or 2. Offline method. Aap koi bhi Sarkari naukri ke liye Online ya fir offline method ka use kar sakte hai.

Kuche Sarkari naukri me aap ko Online form fill ka suvidha milta hai Kuche me Offline ka. Ye bhut hi kam Sarkari naukri jobs me hota hai. ki sirf aap ko single method hi mile Sarkari naukri ke jobs ke liye apply karne ke liye adhiktar aap ko Sarkari naukri ke liye dono hi method milte hai. Apply karne ke liye.

Sarkari Naukri ke liye Online Kaise Apply kare?


Sarkari naukri ke liye apply karna bhut hi aasan hai. Ek baar aap apply kar denge fir aap ko koi bhi problem nhi hoga. Aap ko jab Sarkari naukri ke liye notification aayega usi ke niche hi aap ko Sarkari naukri ke liye apply link show hoga. Ab Aap jaise hi uspe click karenge. Aap registration page me pahuche jayenge.

Ab aap ko use page par mange jane wale sabhi detail ko thik se bharna hai. Jab aap sara details thik se bhar denge to vo aap se document ka copy upload karne ko khega. Aap mange gye documents ka photo khiche kar upload karde. Aap jab document upload kar denge. Fir aap niche Submit/Next ke button pe click kare. Fir aap se vo Registration fees ke liye khega. Aap registration fees bhar de or fir aap ko payment karne ke baad wait karna hai.

Ab kuche time baad aap ko Admit card Sarkari Naukri ke website pe mile jayega. Aap ko Notification ke through sabhi jankari provide kar denge. Aap uspe click karke full details check kar sakte hai.

Sarkari Naukri ke liye Offline Kaise Apply kare?


Aap Sarkari naukri ke liye offline bhi apply kar sakte hai, aap ko sarkari naukri ke liye website se form ko download kkarna hota hai. Form download ka link bhi aap ko isi website pe mile jayega. Aap use download kare or fir use form ko thik se bhare. Form bharne ke baad sabhi jaruri document jo use form ke liye mange gye hai. Aap use form ke sath attach karke diye gye address pe send karde. Bhejne ke baad aap ko admit card kuche time baad de diya jayega.

Ok Friends aaj ke post Sarkari Naukri ke liye vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare post me bs itna hi. Agur aap ko Sarkari Naukri ke liye vacancies kaha se check kare or Online form kaise fill kare post se related kisi bhi parkar ka problem hoto aap ise post pe comment jarur kare. Agur aap ka koi question hai. To aap apna question comment ke through bhi puche sakte hai. Or hmare Social Media Network ko bhi Join jarur kare.

Tuesday, 18 February 2020

Telegram se paise kaise kamaye

Hi Friends,

Aaj hm ise post me janege Telegram se paise kaise kamaye. Dosto aap ne ise phele bhi Telegram se paise kaise kamaye se related bhut se post padhe honge. Lekin mai aaj aap ko Telegram se paise kaise kamaye post me or bhi kuche baat batana chahta hu.

https://suryarishavrai.blogspot.com/

Agur aap koi business karna chahte hai. To aap telegram ke help se Business start kar sakte hai. Ya fir aap ne koi business start kiya hai. Ab aap use Online bhi income karna chahte hai. To aap Telegram ke help se bhut ascha paisa kama sakte hai. Telegram se paise kaise kamaye post me mai aap ko kuche ideas or kuche tips dunga jise aap ka Telegram se paise kaise kamaye ke question ka reply mile jayega.

Dosto aap apne product ko telegram ke through bhi sell karke paise kama sakte hai. Ye karna bhut aasan hai. Bs aap ko kuche chijo ka dhyan rakhna hai.

Telegram ko aap whatsapp ke trhe hi use kar sakte hai. Telegram me aap ko Groups, Channels, Bots or Stickers jaise or bhi kai featurs mile jaate hai. Aap ne kai logo ko whatsapp se bhi business karte dekha hoga.

Dosto Online Market ek khajana hai. Ise line me bhut paisa hai bs aap ko paise lene wala banna hoga. Online log bhut se trike se paise kamate hai. Usi me se ek hisa Telegram bhi ban chukka hai. Maine bhut se logo ko telegrsm ke through knowledge dekar paise kamate hue dekha hai.

Telegram se aap kai parkar se paise kama sakte hai. Mai aap ko unmese hi kuche tarike btaunga jiske through aap paise kama sakte hai. To dosto ab hm chalte hai. Apne main points  ki or Telegram se paise kaise kamaye. Telegram se paise kaise kamaye ko lekar kuche best tarike.

Telegram se paise kaise kamaye

Dosto jo mai tarika batane jar ha hu kya pata aap ko ye phele se hi pata ho. Ya fir aap ispe kaam bhi karte honge par iska aap ko result nhi milta hoga. Dosto jaise blogging hai bhut  se log karte hai. Par income bhut se kam log hi thik se kar pate hai. Kyo ki vo regular update nhi karte apne blog ko.

Ya fir vo blogging ke bare me jante to honge ki blogging kya hai par vo kaise kaam karta hai. Ye bhut se logo ko nhi pata hai ki. Blogging se paise kamane ke liye kya tarike hai. Dosto agur mai baat karu Telegram ka to bhut se log ispe kaam karte hai. Lekin vo thik se kaam nhi karte jiske karan unhe problem hota hai. Income Generate karne me.

To dost ab hm chalte hai. Apne points ki or ki Telegram se paise kamane ke kya tarike hai. Or hm kya kare ki Telegram se paise kama paye.

1. Sell Knowledge


Dosto agur aap ko kisi bhi parkar ka knowledge hai. To aap Telegram ke jariye Apne knowledge ko share karke uske liye kuche charge kar sakte hai. Aap ne youtube pe bhi ye dekha hoga.

Bhut se youtube creator phele bhut hi basic knowledge dete hai. Or fir khete hai. Ki aap ise or thik se janna chahte hai. To aap hmare premium course ko ya fir Telegram ke channel ko join kar sakte hai. Fir vo uska link dete hai. Or use Join karne ke liye kuche paise lelete hai.

Ise unhe ek income milta hai. Aap bhi phele ek public channel create kar or fir uspe kuche followers le aaye or fir channel pe kuche time tk best knowledge share kare. Or fir ek private channel create kare or uske badleme kuche fees charge kar uska subscription dede or aap public channel par bhi knowledge share karte rhe.

2. Product Advertisement

Dosto agur aap ke channel pe followers aa jate hai to aap bade brand ke sath deal bhi kar sakte hai. Unke brand ko advertise karne ke liye. Bhut se Telegram ke channel ke admin ko maine brand ko advertise karte hue dekha hai.

Aap agur unka product apne link ke through sell karvate hai, to aap ko uske badleme kuche percentage commission bhi milta hai. Aap product advertisement ke liye phele followers jarur badhaye. Or fir aap ko unke demand ke mutabik hi advertisement show karna hai.

3. Own Product Selling and Services

Dosto bhut se log apne product or services ko telegram ke jariye bhi sell karte hai. Aap ko kisi chij ka knowledge hai. To aap use knowledge ko use karke ek course banaye. Or fir jab aap ko lage ki ab aap ke channel pe followers asche aa chuke hai, To  aap apne product ko apne followers ko bata  kar unhe use course ka kuche details batade.

Jaise use course me unhe kya milega. Aap ne use course me job hi topic pe course create kiya hai. Uske bare me full details bata  de. Or fir unhe bole ki agur unhe in sab chijo ke bare me or janna hai to vo aap ka couse buy kar sakte hai.

Aap apna service or bhi kai place par sell kar sakte hai. Telegram ke through telegram ek bhut hi bada platform bante jar ha hai. Online earning ka ye ek best source ban rha hai.

1. Agur aap ek teacher hai to aap apne knowledge ko telegram channel par share karke bhi paise kama sakte hai. Jab aap ka demand badhe to aap apne kuche log jo aap se sach me kuche sikhna chahte hai. Aap unhe kuche paise pe apna service provide kar sakte hai.

2. Dosto bhut se freelancer pe work karne wale bhi telegram channel chalate hai. Jisme vo apne knowledge ke anusar hi knowledge share karte hai. Maine bhut  se freelancer ka telegram  channel use karte  dekha hai.

3. Agur aap ko Treading karne aata hai. Ya aap kisi chij me investment karte hai. Vo bhi apne Market knowledge ka use karke to aap apne market tips ko bhi apne telegram channel par share karke paise kama sakte hai. Maine ise field me bhi bhut se creator ko  dekha haid telegram ka use karke apna services provide karke paise kamate hue.

4. Donation through income karna

Dosto maine bhut se logo ko Donation ke through bhi income karte dekha hai. Aap apne knowledge ko share kare or fir aap donation ke liye khe sakte hai. ki agur aap ko hmara jankari pasand aaye to aap donation bhi kar sakte hai. Aap ye donation kisi bhi Madhya se lesakte hai.

Dosto bhut se log Apne knowledge ko share karne ke kai madhyam se paise lete hai. Bhut se log Apne Youtube channel par advertisement nhi karte hai. Ta ki unhe kisi bhi parkar ka fake information denepe majbur n kare. Ise liye vo donation lete hai. Ta ki unka kaam bina kisi paresni ke chalte rhe or apne viewer tk best knowledge pahuchate rhe.

5. Paid Short Post Write

Dosto bhut se log Paid Short Post bhi likh kar paise kamate hai. Bhut se Advertiser Apne product ke review ke liye vo paise dete hai. Ta ki aap unke review apne channel par share kare. Jiske vo paise dete hai. Istrhe se aap ko click pe bhi vo offer karte hai. Agur koi product buy karta hai. To uspe aap ko commission bhi milta hai.

Aap kuche website ko contact bhi kar sakte hai. Small Paid post ke liye bhut se website apne website pe traffic ke liye ya fir apne product ka sell badhane ke liye vo kai website ya promoter ko hire karte hai. Jiske va asche paise dete hai.

To dosto or bhi bhut se tarike hai. Telegram se paise kamane ke liye. Aap ko job hi pasand ho vo aap use kar sakte hai. Ye sirf maine telegram ke liye hi nhi bataya hai. Aap jo bhi social media network use karte hai. aap uske jariye bhi ise related work karke paise kama sakte hai.

Ok Friends Telegram se paise kaise kamaye. Post me bs itna hi agur aap ko Telegram se paise kaise kamaye post se kisi bhi parkar ka problem hoto aap ise post pe comment jarur kare. Telegram se paise kaise kamaye me or bhi aap bhut se tarike se paise kama sakte hai.  Agur aap ko ye post pasand aaya hoto aap ise post pe comment jarur kare.  Or hmare social media Network ko bhi follow jarur kare.

Saturday, 15 February 2020

Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye Latest Tricks

Hi Friends,

Aaj hm ise Post me jaanege Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye Latest Tricks. Agur dosto aap bhi Jaanna chahte hai ki Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye. To aap Youtube Video Ko Kaise Rank Karaye post ko last tk jarur padhe.

https://suryarishavrai.blogspot.com

Dosto Youtube Video Ko Online Rank Karana koi muskil nhi hai  aap ko kuche chijo ka dhyan rakhna hota hai. Mai aap ko Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye post me full guide karunga.

Dosto vaise to Youtube Video ko rank karana koi jyada muskil nhi hai or Youtube Video rank karane ke liye koi method hmesa kaam nhi karta hai. Aap ko time ke according apne Youtube Video ko lekar Experiment karte rhena chahiye ta ki aap ko pata chale sake ki aap ke channel ke video kise karan se high views generate kar rha hai.

Vaise mai aap ko kuche chije ise post me bata rha hu taki aap ko Youtube Video ko kaise rank karaye ke bare me kuche jankari mile sake jo hmesa 50% to 60% kaam karta  hai. Isme jaldi koi changes nhi hota hai.

Agur ham baat kare Youtube Video ko rank karane ke kya benefit hai, to Jab aap ka koi bhi video rank karta hai to, aap ke video pe tabhi Views aate hai. Or fir aap ka earning Start hota hai. Youtbe ke video rank karane se aap ke earning pe sidha asar dikhta hai. Or agur aap ka video ek baar viral ho gya to fir aap ka video rank hote jayega. Ek time baad vo bhi down ho jayega. Kyo ki tab tak aap ka competidors aap se best kaam kar aage nikal jayega.

Mai aap ko last me Youtube ke kuche sach bataunga. Jise aap ko Yotube ke bare me or sach pata chale jayega. Ki Youtube pe kise trhe se kaam karte rhena chahiye. Youtube Video ko Rank karane ke liye mai kuche method use karta tha. Mera matlab hai ki phele mai Youtube pe bhi work karta tha abhi bhi karta hu par utna nhi. Par ha abhi bhi mere 1Mounth me 2 se 3 Video High level Rank kar jate hai. Jise Mujhe Fayda hota hai. Mai sabse jyada Blog pe kaam karta hu.

Jaise ki ye Blog hai par mai ise bhi jyada English Blog pe Work karta hu. Jo ki mera high income generate source hai. Ab hm chalte hai apne main topic ki or.

Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye Latest Tricks.

Dosto Youtube Video ko Rank karane ke liye aap ko Youtube pe hi sirf kaam karne ki jarurat hai. Kyo ki Aap ko kai logo ne kai parkar ke tools use karne ko bole honge. Par unka koi fayda nhi hai. Kyo ki dosto use aap hmesa ke liye use nhi kar sakte hai. Mai yesa nhi bolta ki vo tools kaam nhi karte hai. Ha bhut se yese tools hai jo best perform karte hai. Lekin aap agur khud hi experiment kare to jyada best hai.

Aap apne Youtube Channel or video ko rank karane ke liye. Khud hi experiment kare ta ki aap ko uske bare me thik se pata chale sake. Ab hm baat karenge apne main point ke bare me Youtube Video Ko Online Kaise Rank Karaye Latest Tricks ke bare me.

1. Dosto aap ko sabse phele to Yotube Channel name ka dhyan rakhna hai. ki use bhi pata chale sake ki aap ke channel pe kise type ke video milte hai. Ta ki aap ke channel ko Youtbe bhi samajh sake.

2. Dosto Uske baad se aap ko Youtbe channel pe Image or Description bhi dena hai jisme aap ke bare me or aap ke channel ke bare me aap likh de jise logo ko pata chale sake ki aap ke channel pe unhe kya milega.

3. Ab hm baat karenge Aap jo video banayege usme kya dhyan rakhna hai. Ya fir Youtube pe aap jo bhi video upload kar rhe hai. Uska description, Video ka Thumbnail or Title kaisa hona chahiye.

Video banate time aap ko kya dhyan rakhna hai.

1. Agur aap apna face dikha rha hai. To sabse phele aap starting me apna face n dikhaye baki depend karta hai. Aap ka Video or channel kise topic pe hai. Agur aap apna face dikha sakta hai. to jarur dikhaye  ye aap par depend karta hai.

2. Aap apne video me agur intro lagana chahte hai. To ek best intro or bhut hi small intro clicp use kare ta ki logo ko ascha bhi lage or aap bhi iska fayda  utha sake.

3. Ab baat karte hai main video ka jisme aap ko bhut hi khash dhyan rakhna hai. Dosto aap jab video banaye to starting me aap job hi bata rhe hai. Uske bare me kuche point bata de ki aap use video me kise chij ke bare me batayenge uske points batade.

Ta ki logo ko pata chale jaye ki aap ke ise video se unhe kya sikhne ko milega. Dosto aap agur bina kisi jhut ke sahare agur video banayenge to aap ka video famous jarur hoga. Fir aap apne best andaj me video banaye. Jo ki logo ko thik se samajh bhi aaye or aap job hi bataye vo pura or asche tarike se samjhaye. Par dhyan rakhe ki aap video ko jyada lamba bhi mat banaye.

Agur aap ke video me best knowledge nhi hua to vo chale jayenge. Pr fir vo kabhi nhi aayenge Aap ke channel pe. Ise liye aap apne video me use topic ke bare me full details de ta ki vo jise chij ko pane ke liye video dekh rhe the vo chij unhe mile.

4. Ab aap ka video to ban gya ab aap use edit kare video ko edit karte time jyada modify mt kare or na hi cut kare. Jha pe aap ko lagta hai ki yha cut karna hai vahi cut kare. Aap ke topic ke sabhi points thik se show ho.

5. Ab aap ne video edit bhi kar liya ab aap ko video ko upload bhi karna hai. Video upload karne ke baad aap. Video ka Title, Thumbnail or Description ka jarur dhyan rakhe.

Youtube Video Ko Online Rank karane ke liye Title kaise likhe.

1. Dosto iska jawab khud aap ke pass hai. Aap jab koi video search karte hai kisi topic ko lekar to aap best video apne topic se related kaise dekhte hai. aap sabhi video ko Start karke nhi dekhte honge. Aap sabse phele ye check karte hai ki video ke title me kya likha hai. Kya vo title aap ke topics se milta hai.

Agur aap ko yesa lagta hai ki aap jo search kar rhe the use related hi title hai to aap use video ko open karte hai. or aap use video ko dekhte hai. Lekin aap ko usme lagta  hai  ki jo title me likha tha vo knowledge nhi hai usme  to aap video ko cancel kar next video dekhne lagte hai. Ise liye aap title bhi video se related hi rakhe or apne video me title se related full details ke sath video published kare.
Aap ko apne title me apne topic se related perfect word ka use kare jise aap ke video ka title bhi sahi lage or title padhne se visitors ko bhi thik se samajh aa jaye.

Youtube Video Ko Online Rank karane ke liye Thumbnail kaisa lagaye.

Dosto Youtube video ko Online Rank karane ke liye Thumbnail bhi best use karna hai. Jise vo image dekh kar bhi samajh jaye ki use aap ke ise video me kise chij se related knowledge milega. Aap Thumbnail original hi use kare. Aap ko apne video ke title or thumbnail me vahi details show karna hai jo sahi me use video me bataya gya ho.

Youtube Video Ko Online Rank karane ke liye Description kaise likhe.

Dosto Youtube Video Ko Online Rank karane ke liye Description bhi aap ko best likhna hoga. Aap video ke description me video se related kuche knowledge bata de. Jaise aap ne jo video banaya hai. Usme kise chij ke bare me bataya gya hai. Or aap video ke description me kuche important word bhi likhe jise aap ko bhut jyada fayada hoga.

Dosto aap ko video ka frontant bhut hi aasan or simple rakhna hai. Aap apne video ko viral karne ke liye galat topic or galat idea ka use n kare aap video me vahi dikhaye jo sach hai vahi bole jo sach hai. Vahi title likhe jo aap ke video ke liye thik ho. Aap jhut ka sahara nhi le.

Aap ko jise trhe ki chije pasand hai vaise hi bhut se logo ko pasand hoga.

Last me mai aap se yahi kahunga ki aap apne harek chij ko time ke according change karte rhe. Kyo ki koi bhi Idea hmesa kaam nhi karta hai. Aap Youtube pe agur sach ke sath kaam karenge to hi aap Youtube pe bhut hi lambe time tk kaam kar payenge.

Ok Friends aaj ke Youtube Video Ko Online Rank kaise karaye post me bs itna hi. Umid karta  hu aap ko Video Ko Online Rank kaise karaye post pasand aaya hoga. Agur aap ka kisi bhi parkar ka question ya koi problem hoto aap ise post pe comment kar sakte hai. Aap hmare social media ko bhi follow jarur kare.

Ye Bhi Padhe:-
* Kisan Samman nidhi Yojana ke liye Online Aavedan Kaise Kare
* Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Without Reset Unlock kaise kare

Sunday, 23 June 2019

Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Without Reset Unlock kaise kare

Hi Friends,

Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Unlock kaise kare – Mobile  Phone ko Without Password Unlock kaise kare. Dosto Aaj bhut time baad ye post ise blog par published ho rha hai. Umid karta hu aap ko ye post pasand aayega. Or aap ke liye ye post helpful sabit hoga.


Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Without Reset Unlock kaise kare


Dosto kai baar aap koi chij achanak se bhul jate hai. Ya fir aap apne mobile phone ka password change karte hai. or fir aap bhul jate  hai. Aap ne kya password rakha tha. Fir aap ko Mobile phone unlock karne me problem hota hai.

Lekin dosto aaj aap ko mai ise post me kuche method bataunga. Jiske help se aap apne Mobile Phone ke password ko Unlock karne ka koshish kar sakte hai. Dosto Aap apne mobile phone ko Without Format ke bhi Unlock kar sakte hai. Dosto Agur aap ko nhi pata ki Without Format ke Mobile Phone ko kaise Unlock kare to aap ise post ko suru se lekar last tk padhe sakte hai.


Dosto aap ko jo mai mobile phone ko Without Format ke bhi Unlock kaise karte hai. Method bata rha hu ye thora sa muskil hai. Par aap mere bataye jane wale step ko thik se follow kare. Aap bhut hi easy tarike se apne phone ko Unlock kar payenge. To dosto ab hm chalte hai apne main topic ki or.

Mobile Phone ka Password Bhul jane par Mobile ko Unlock kaise kare.

Dosto mai aap ko Mobile Phone ka password bhul jane par Mobile Phone ko unlock kaise kare ka pura process bata rha hu step by step aap mere bataye jane wale step ko thik se follow kare. Aap ko fir Mobile phone ko Without Password ko unlock karne me koi problem nhi hoga.

Mai aap ko Mobile Phone ko Without Password Unlock karne ka 2Methods bataunga inmese kuche Method me aap ko condition bhi dhyan me rakhna hai. jise me se aap ko jo sahi lage. Aap use try kar sakte hai.

1. Android Device Manager


Mobile Phone ko Without Password Unlock karne ke liye Android Device Manager ka hm use karenge lekin ye method tabhi work karega. Jab aap ke mobile phone me Android Device manager Enabel ho. Agur aap ke mobile phone ke PlayStore me aap ka mail id login hai to Android Device manager apne aap On ho jata hai.

Agur aap ne Device Manager ko Manually disable nhi kiya hoto. Aap hmesa apne Android Device Manager ko On karke rakhe kyo ki Aap ko iske kai fayde hai.

Ab hm maan lete hai ki aap ka mobile phone ka Internet on hai. Aap ka Android Device Manager bhi On hai. Ab aap Apne Mobile phone ke password ko bhut hi asani se Unlock kar sakte hai.

Mobile Phone ka Password Android Device Manager ke jariye kaise Unlock kare.


Dosto Android Device Manager ke help se Mobile Phone ko Unlock karne ke liye step by step follow kare.

Step1:- Dosto Sabse phele aap Android Device Manager Mobile Phone me open kare.

Step2:- Ab aap jise Mobile Phone ko Unlock karna chahte hai. Use ke PlayStore me jo gmail Id hai. Use Gmail Id se aap login kare.

Step3:- Ab aap jaise hi Gmail Id ke Through Login karenge. Aap ko Display pr 3Option show honge. Ab aap ko vha pe Lock ka option bhi show hoga.

Step4:- Ab aap Lock ke option pe click karde. Ab aap ke samne 4 Blank Box page open hoga. Ab aap starting ke 2box me new password dale. Or baki ke jo 2blank box bachenge use blank hi rhene de. Vha pe vo likha bhi hoga.

Step5:- Ab aap ke Mobile Screen pe vo password ke jo aap ne starting me 2blan ko password ke liye fill kiya tha use digits ko aap fill karde. Or ab aap jaise hi ok karenge aap ka Mobile phone unlock ho jayega.

2. dr.fone Unlock Software


Ise Method ke liye aap ke pass Laptop ya Computer hona chahiye. Aap Without Computer ya Laptop ke jariye ise process ko follow nhi kar sakte hai.

Step1:- Aap ko sabse phele Laptop ya Computer me dr.fone software install karna hai. Agur aap dr.fone software install karna chahte hai. to aap yha dr.fone download pe click kare.

Step2:- Ab aap jise Mobile phone ko Unlock karna chahte  hai use aap USB ke through Computer ya Laptop  ke sath Attach kare.

Step3:- Ab aap jaise hi Dr.fone Software Open karenge usme aap ko lock screen removal ka Option dikhayi dega us par aap click kare.

Step4:- Ab aap ko Software me hi aage ka step Show hoga aap use follow kare. Aap ko ab start ka option show hoga. Aap uspe click karde.

Step5:- Ab aap ka phone Software or Computer ke sath pure tarike se attach ho jayega. Ab vo aap se aap ke mobile ka Brand, Device name or Device Model mangega aap vo fill karde.

Step6:- Ab aap ko niche Next ke button pe click karna hai. Ab vo aap se confirm karne ke liye ek message show karega. Aap Box me Confirm likh kar Confirm ke button pe click karde.

Step7:- Ab aap ke display par aage ka process show hoga. Aap apne phone ko USB se disconnect karde or Downloading mode me lekar jaye. OR firse USB se connect karde ab aap ko display par blue colour ka line Move hoga last tk or Start ke button pe click karde.

Step8:- Ab aap ka phone Unlock karne ke process me Restart bhi ho sakta hai. Aap ko Downloading mode me lagan eke baad USB me jab aap lagade uske baad aap apne phone me kuche bhi n kare. Jab tk vo khud hi On nhi ho. Jab aap ke Computer display par Complete Successfully ka option show ho jayega. Uske baad aap ka mobile khud hi Unlock ho jayega.

Dosto Aap ise process ko apne risk me hi kare. Agur aap isme kuche galti karte hai. To aap ka mobile phone me bhi problem aa sakta hai. Maine ye post sirf study or knowledge ke liye hi likha. Agur Aap ko kisi bhi parkar ka problem hota hai.

Ise process ko karne me aap ka phone damage ho jata hai ya fir kuche bhi hota hai. To iske jimedar aap khud honge. Aap ise process ko apne Risk par hi kare. Agur aap ko koi bhi problem hota hai. To iske jimedar or koi nhi hoga. Aap khud hi iske jimedar honge.

Ok Friends Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Unlock kaise kare post me bs itna hi. Agur dosto aap ko kisi bhi parkar ka problem hota hai. Ise process ko karne me to aap ise post me comment kar sakte hai. Mai aap ka pura help karunga. Or aap hmare Social Media Network ko bhi like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* SBI IFSC Code kaise Check kare
* Download Top Responsive Blogger Template 2019 - in Hindi 
* State Bank of India (SBI) me Cadre Officers ke job ke liye form Release(Without Test) 
* Blog banakar paise kaise kamaye-2019 Latest Method

Powered by Blogger.

Contact Form

Name

Email *

Message *

Search This Blog

Subscribe

Get Free Update Notification

Enter your email address