Showing posts with label History. Show all posts
Showing posts with label History. Show all posts

Friday, 1 September 2017

Google Kya Hai? Google ke Bare Me Full Information

Hi Friends

Friends Aaj hm es Post me jaanege Ki Google Kya Hai? Google ke Bare Me Full Information. Dosto aap ne Google ke Help se Apne bhut se kaam Pure kiye honge. To kya Friends Aap jaante hai ki Google kya hai? Or Vo kisne Banaya, Vo kaha bana, Use kisne kharida Aagur Aap ye Sab Nhi Jaante to Aap ye Post ko Pura or Thik Se Padhe Mai aap logo ko Es Post me In sab Chijo ke Baare me Btaunga. Dosto Aagur koi aap se Question kare ki Google kya hai? To Friends hmara Jawab Hota hai. Ki Google Ek Search Enginee Hai jha Pe Hm Kisi Bhi Chij ko Search karte hai. Or Google Hme Use Related Reply Deta hai. Par Friends Google Sirf Ek Search Enginee Hi nhi Ek Bhut Hi Bada Company hai. Jo ki Online Or Offline Bhut jade Paise Kama rha hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Dosto Kya Aap ne Kabhi Socha hai. Ki Ise Banane Ka Maksad kya tha or Ye Kitne Chote Se Kaam  ko lekar Banaya gya tha Par ab Friends Word me 70% Public Google ko Search Enginee ke tor Pe Use Karti Hai. Dosto Google Website Ek Bhut hi Traffic Wali Wabsite hai. Ye To Aap Jaante hi Honge. Google Sirf Apna Search Enginee Hi nhi Chalati Balki vo Kai Apps ko Apne Name Ke Under Me Chalata hai. Google company Dosto Abhi tk Ka Sabse Jada Paise Kamane Wala Online Company Hai. Jo Ki Har Mounth Bhut Paise Kma Rhi hai. Jiska Hm Aandaja bhi Nhi lga Sakte hai.

Google Ko Banane Ka Kaaran, Banane Wale Ka Name

Dosto Google Search Enginee Tyar ho Rha Tha Tb Iska koi Andaja nhi tha ki ye aage ja kar itna Popular Ho Jayega. Dosto Starting me Sirf Google ko 1996 Me File Ko Dhundhne Ke liye banaya gya tha Jiske Help se Hm Usme Rakhe File Ko Search kar Sake. Google ko California me Rhene Wale Larry Page, Sergey Brin ne Banaya tha Jo Stonford University me Ph.D. Kar Rhe the. Jo ki Internet pe Kai Parkar Ke Service Deta hai.

Google Ko Sell Karne ka Karn or Ye Kitne Ka Sell Hua

Par Larry Page, Sergey Brin Ko 2Years Baad Unhe Lga ki Vo Google ke Kaaran vo Apne Padhai Me Dhyaan Nhi de Pa rhe hai. Jiske kaarn unhe Problem ho rha hai. Es liye Unhone George Bell ko Google Bechane ke Liye Offer Kiya Jo ki Excite Company ke Ceo The Par Vo Tyar Nhi hue. Fir Vinod Khosla Jo ki Excite Company ke Venture Capitalist the Unhone Is Baat ko Lekar Vivad Suru kiya Kyo ki Unhone Google ko 7,50,000$ Me Buy karne Ka Baat kar liya tha. Lekin Us Time google sub Domain ke Name Pe Chalta tha. Fir Jab Espe Kaam Start hua to Ese 15September 1997 me Google.com Domain se Register Kiya gya. Or Fir 4Sep 1998 Me Eska Khud ka Company Banaya gya.

Google Rojgar Dene me Number 1 Company Kaise hai?

Dosto Jaisa ki Aap Jante hi Honge ki Koi Bhi Business Ka Kaam Karne me Bhut Se Person ka Jarurat hota hai. To fir Friends Aap to Google ko Smjhe hi Sakte hai. Ki ye Kitni Badi Company hai. To Fir Es Company ko Sambhalne ke Liye kam se kam 80,000 Above Person Work Karte honge. Or Dosto Google Or Bhi Kai Online Work Provide Karta hai. Jise log ghar baithe Bhut sare Paise Kma rhe hai. Dosto Adsense Bhi ek Google Se Sambandh rakhne wali Company Hai.Aap Apne Website pe Adsense Ke Ads Use kar ke Online Paise Kama Sakte hai. Vo Bhi Bhut Hi aasani se. Dosto Google ka Full Form bhi kafi jada Best hai.
·        G:- Global
·        O:- Organization of
·        O:- Oriented
·        G:- Groups
·         L:- Language
·         E:- Earth


Dosto google Ka Full Form Bhi kafi jada Soach Samajh Kar Rakha gya hai. Jo ki Bilkul Eske Kaam se Hi Related hai.

Google Hme Kon-Kon se Best Service Provide Karta hai.

1. Google Search:- Dosto Sabse Phele To vo Hme Search Enginee Provide Karta hai. Hme Koi bhi Chij Internet pe Search karne Ke liye.

2. Gmail:- Dosto google Hme Online File Transfer karne Ke Liye Gmail Service Deta hai. Jise Aap 1Baar me 30Mb Tk Ka Data Send Kar Sakte hai.

3. Google+:- Dosto Google+ bhi ek Social Networking Site hai. Jo ki Google Ke Tref se Provide Ki gyio Service hai.

4. Google Adsense:- Dosto Google Adsense Ek Ads Provide Karane Wali Company hai. Jiske Help se Website Admin Apne Website pe Adsense ke Ads Lagate hai Or Paise Kamate hai.

5. Blogger:- Dosto jo Website pe Work Karte Honge Unhe Pta hi Hoga ki Blogger Kya Hota hai. Blogger Website ke Help se Aap Apna Website Bna Sakte hai.

6. Google Analytics:- Dosto Google Analytics Ke Help se Blogger or Websiter Apne Website ka Performance Check Kar Sakte hai.


7. Google Chrome:- Ye ek Internet browser hai. Jispe Aap koi bhi bhi Chij Search ya Download kar sakte hai.

8. Google Drive:- Dosto Google Drive Ek Bhut hi Badhiya Online Data Storage hai. Jispe Aap Koi bhi Chij Online Save Kar Sakte hai.

9. Google Map:- Dosto Google Map Ek Bhut hi Best Apps Hai Jispe Aap Friends Koi bhi Place Search kar Sakte hai. Google Map Me Dosto AAp ko Pure Word Ka Map Mil Jata hai.

10. Google PlayStore:- Dosto google PlayStore Sare Android Phones Me hote hai. Jise Aap apne Mobile Ke Capacity Anusar Koi bhi Application Download kar sakte hai.

Dosto Or Bhi Kai Apps Google Hme Provide Karta hai. Jise hm Bhut sare Work Kafi Aasani se Kar Sakte hai. Dosto Google Itna Jada Popular Ho gya hai. Ki Hme AAgur koi bbi problem hota hai. to hm Google ka Help lete hai. Dosto Google pe Roj 1000Se Bhi jade Website tyar Hote hai. or Apne Post ke Jariye Aap logo ki Help lkarte hai. or Paise kamate hai Aagur Friends ap bhi Online Paise kamana Chahte hai. to Hmare Niche Diye gye Kuche Important Post Padhe.

Ok Friends Google Kya Hai? Google ke Bare Me Full Information Post Me Bs Itna Hi Aagur Friends Aap ko Mera Ye post Pasand aaya hoy a Aap ka Koi Question ho to Please Aap Mujhe Comment Ke Jariye Btaye. Or Friends Aap Hmare Social Media Network Ko Like or Share Karna N Bhule.

* 1500Rs Me Jio Phone Kaise Kharide.
* ATM Card Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye.
Online Money Transfer ke liye Beneficiary kaise Add kare.
* How to Open Online Netbanking Account
* Google Pe Apna Photo kaise Upload Kare
* 5 Most Important Apps Student Lifel
* Perfect Success Pane ke liye Blog ko Maintain Kaise kare

Sunday, 6 August 2017

Raksha Bandhan ka Tyohar kyo manaya jata hai.

Hi Friend,

Aaj hu es Post me Raksha Bandhan ke Baare me Janege. Es Post me mai Apne Knowledge ke hisab se Likhunga Raksha Bandhan ko le kar mera kya manna hai. Raksha Bandhan kyo mnaya jata hai. In Sab Chijo pe Aaj hm es Post me Baat karenge.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Dosto Raksha Bandhan ek Bhut hi Pavitra Tyohar hai. Ye Tyohar Pure desh Me mnaya jata hai Ye Tyohar Ek Bhen apne Bhai ko Rakhi bandh kar Uske Lambi umar ka Kamna karti hai. Or Apna Bhen ka Pyar Dikhati hai. Or Ek Ascha bhai Rakhi ke din Apne Bhen se Vada karta hai. Ki vo hmesa use Pyar karega or Uski Rakhsha karega. Raksha Bandhan wale din Sare Ladhkiya apne Bhai ko Rakhi Bandhne ko lekar bhut khush hoti hai.

Kyo Manaya Jata hai Raksha Bandhan ka Tyohar.

Dosto Aagur hm Itihas ko dekhe to Rakhi Festival ko lekar bhut sare Gatha hai. Lekin Sabse Jada Rani karavti or humayu ko or bhi Kai iske Kaaran hai Raksha Bandhan ke Tyohar ko lekar. Hm Yha kuche Raaj ke Baare me baat karenge.

1. Rani Karavti or Humayu:- Dosto kha Jata hai ki Jab Gujrat ke Sultan Bhadur Sah se khatra tha Chitod ki Rani Kaaravti ke Rajy ko to vo Rakhi Humayu ko bhej kar Ek Bhen ke naate use Sahayta mangi thi apne Rajy ko bachane ke liye or Humayu Use Rakhi ke Mehtva ka Nazar rakhte hue usne Rani ki Raksha ke liye tyar ho gya tha. Es din se ye Rakhi ka Tyohar manaya jane lga.

2. Raaja Bali Katha:- Kha jata hai ki Bhagvan Visnu ne Jab Raja Bali se tin Pag me Raaja Bali Se sab kuch le liya to Raaja Bali ne ek vardaan maanga. Ki Visnu bhagwan or mai Patal me rhenge fir Bhagvan ko Bali ke Sath Patal me rhena pada. Ye Dekh kar Mata Lakhmi ji ko bhut bura lga. Fir Vo Visnu Bhagvan ko Aajad karvane ke liye. Ek vridh Ladies ka Rup le kar Bali ke Pass Phuchi. Or Fir Mata Lakhmi ne Bali ko Rakhi bandha jab Bali ne Mata Lakshmi ko Uphar Mangne ko kha Mata ne Uphar me Visnu ko Patal se Aajad kar bekunt me bhejne ko kha Bali ne Apne Bhen ki Baat or Apne Vachan ke Karan Bali ko Visnu ko Bekunt Bhejna pada. Ek ye bhi Karan maana jata hai Rakhi ke Tyohar Mnane ke Piche.


3. Mahabharat Katha:- Mahabharat me Jab Bhagvan Krishan ne apne Chakre se Sisupaal ka sr kata diya or Vapus Jab Chakre Krishan ke Ungle pe Aa rha tha to Krishan Bhagvan Ka Unge Cut gya tha. Ungle cutta hu dekha to Dropti ne Apne Palu se Kapada far kar Krishan Bhagvan ko Bandha tha tab Krishan Bhagvan Ne Vachan diya ki Mai hmesa tumhari Raksha karunga. Fir jab Kourav ne Dropti ka Chirharan kiya to Krishan ji ne unko bachaya tha Kha Jata hai tabse Es Tyhar ko mnaya jata hai or bhi kai hai.

4. Santoshi Maa Sambandhit Katha:- Kha jata hai ki Visnu Bhagvan ke 2Bete the Subh or laabh Jinko Bhen n hone ki Bhut kami khalti thi to Fir Unhone Bhagvan Ganesh ji se Ek Bhen ki Maanu ki fir Kuche time baad Naard Bhagvan ne bhi Bhagvan Ganesh se Beti ke Visye me kaha. Bhagvan Ganesh ki 2Patni thi Ridhi or Sidhi. En do devi ke Divye Jyoti se Maa Santoshi ke Janam hua fir Bhagvan Visni ji ke dono Bete Maa Santoshi se Rakhi Bandhvane lge or Tab se Rakhi manaya jane lga.

5. Ym or yamuna katha:- Kha jata hai ki Jab Ym 12Saal tk Apni Bhen Yamuna ke pass Nhi gye to Yamuna bhut Pareshan hogi Vo apne Bhai Ym se Milne ke liye Maa Ganga se Milne gyi Jab Maa Ganga ko ye Baat pta chala to vo Bhagvan Ym ke Pass Sandesh Pahucha diye ki Unki Bhen Yamuna Unka 12Saal se Intazaar kar rhi hai. To Bhagvan Ym Ye Baat Sun kar Apni Bhen Yamuna se Milne aaye. Fir Yamuna ne Apne Bhai ke Aane ke Kushi me Bhut Badhiya Pakvan bnaya. Jise khaa Kar Ym Bhagvan Bhut Kush hue or Unhone Apni Bhen Yamuna se Kaha ki vo Mn Chaha Vardan Maang Sakti hai. Fir Unki Bhen Ne Ym se Vapus fir Aane ka Vardan Maanga. To Ym Apne Bhen ke Pyar se Kush ho kar Unhe Amrta ka Vardan Diya.

6. Sikandar Or Raja Porsh Katha:- ye Katha 326isvi phele Sikandar ne Bharat me Aaya tha tab ki hai. Sikandar ki Patni Rosaanakh ne Raja Porsh ko Rakhi Bheja tha or Raja Porsh se Uske Badle me Sikandar pe Jaanleva Hamla n karne ka Vachan liya. Fir jab udh Start hua to Raja Porsh ka Najar Rakhi Pe pada or fir Use Apne Diye hue Vachan yaad aagya or Raja ne Udh me Sikandar par Hamla nhi kiya.

Ye Sabhi Karan the Raksha Bandhan kyo mnaya jata hai. Or bhi kai Katha hai Raksha Bandhan ko lekar. Is Tyohar ke Baare me koi Pura thik se Nhi likh Sakta kyo ki Ye Tyohar Ek Pyar Se bhara Tyohar hai. Es liye Pyar ko Likhna Bhut hi Muskil hai.

Ok Friends Umid Karta hu Aap ko ye Post Ascha lga hoga. Aagur Aap Ko koi Problem ho to Please Mujhe Comment Kare or Aagur Aap ka koi Question ho to bhi Comment me Jarur likhe. Or es Post ko Apne Social Network pe Share Jarur kare.
Powered by Blogger.

Contact Form

Name

Email *

Message *

Search This Blog

Subscribe

Get Free Update Notification

Enter your email address