How to Open Online Netbanking Account

Hi Friends,
Aaj hm es Post me jaanege ki hm Online NetBanking Account kaise Open kare. Or ye Post Sirf SBI Account ke liye hai. Dosto hme Online NetBanking Account Rakhna Bhut jaruri hai kyo ki Dosto aap log jante hi honge ki Ab Digital India System chale gya hai. Aap ko bhi Transaction Digital Suvidha se Kar sakte hai. Jaise Debit Card, Credit Card, Online Payment or bhi kai System hai. Jose aap Payment kar sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

NetBanking ka Jarurat har koi Person ko hota hai. Jo bhi Bussiness man hai. Ya Jise kisi bhi Parkar ka Transaction karna hai. Iska Sabse jada fayda Note jab band hue the tab Digital Suvidha ka jada use kiya gya tha. Kisi bhi Parkar ke len den me NetBanking bhut hi Ascha System hai iske liye Koi Card ki Jarurat nhi bs Aap ko User Id or Password Yaad Rakhne ki Jarurat hai. Ab Hm Chalte hai Apne Topic ki or.

NetBanking Account kaise Open kare SBI Bank me.

Sabse Phele aap yha Click kare.

Ab aap SBI ke Online System me Pahuche gye honge. Ab aap ko Image jisa show ho rha ho ga.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele Aap New Registration User pe Click Kare Fir Ok pe.

2. Aap Forum ko Thik se Padh kar Bhare. Aap Image me bhi dekh Sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

* Sabse Phele Aap apna Account No. Bhare.

* Fir CIF No. Jo ki aap ke Passbook pe likha hoga.

* Branch Code daale Apne bank ka jo ki 5No. Ke honge.

* Country Select Kare.

* Registration Mobile No. Bhare jo aap ne Bank me Account ke Sath Link karvaya hai.

* Facility Required pe Aap Full Transaction Select kare ya aap apne mutabik bhi Select kar sakte hai.

* Last me Aap ko No. Show ho rha ho ga aap vo Uske upar wale Box me Bhare.

* Submit pe Click kar de.

3. Submit pe Click karne ke baad aap ke Registration Mobile No. Pe ek Message gya ho ga Jisme OTP Code aaya ho ga. Vo aap bhar de or Submit pe Click kar de.

4. Ab aap ke Samne 2Option hoga aap Unme se koi ek Select kare. Vaise mai Suggest karunga ki Aagur Aap ke Pass ATM Card hai to aap Sabse Phela ATM Card wale Option ko Choose kare taki aap ko Bank n Jana Pade.

5. Ab aap ko ATM Card Verify karne ke liye aap ko 1Rs ka Transaction karna hoga.

* Card No. Enter kare.

* Card Expiry Date daale

* Card Holder Name daale yani ki jiske name pe Card hai Uska Name daale.

* Card PIN Daale

* Ab Aap ko nhiche kuche no. Show ho rhe honge vo Uske Upar Wale Box me daalde.
Or Submit Pe Click Kare.

6. Ab yha pe Aap ke Card ka Pura detail aa jayega or fir Pay pe Click kar de.

7. Ab aap ka Login Id Generate hoga. Or Sath me Aap ko Apna Password Create karna hai. Sabse Phele Login Password Bhare jo aap rakhna Chahte hai or Same Password Confirm Password wale jghe pe bhare or Submit pe Click kar de.

8. Ab aap ka Sbi Id Generate hogya hai lekin sirf temporary aap ke Mobile No. Pe bhi Message aa gya hoga Id or Password ka.

9. Ab aap jab First time Login karna hoga to aap ko Confirm User Id Generate karna hoga.
Uske liye aap Login Lite pe click kar ke kar sakte aap ek baar Confirm UserId Generate kar lete hai to aap ko Fir Problem nhi aayega.

Ab hm Next Post me Janege ki Beneficiary kaise Add Karte hai. Money Transfer Karne ke liye kyo ki Aap jab Money Transfer karenge to aap ko First Time Beneficiary Add karna hoga.

Ok Friend ab aap ka Online NetBanking ka Suvidha Start ho gya hai ab aap ese Use kar sakte hai. Dosto aap ko Aagur kisi bhi chij ka Problem ho to Please Mujhe Comment kare mai aap ka Pura Help Karunga.

How to Open Online Netbanking Account How to Open Online Netbanking Account Reviewed by Rishav Rai on October 28, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.