Hi Friend,
Aaj hu es Post me Raksha Bandhan ke Baare me Janege. Es Post me mai Apne Knowledge ke hisab se Likhunga Raksha Bandhan ko le kar mera kya manna hai. Raksha Bandhan kyo mnaya jata hai. In Sab Chijo pe Aaj hm es Post me Baat karenge.
Dosto Raksha Bandhan ek Bhut hi Pavitra Tyohar hai. Ye Tyohar Pure desh Me mnaya jata hai Ye Tyohar Ek Bhen apne Bhai ko Rakhi bandh kar Uske Lambi umar ka Kamna karti hai. Or Apna Bhen ka Pyar Dikhati hai. Or Ek Ascha bhai Rakhi ke din Apne Bhen se Vada karta hai. Ki vo hmesa use Pyar karega or Uski Rakhsha karega. Raksha Bandhan wale din Sare Ladhkiya apne Bhai ko Rakhi Bandhne ko lekar bhut khush hoti hai.
Kyo Manaya Jata hai Raksha Bandhan ka Tyohar.
Dosto Aagur hm Itihas ko dekhe to Rakhi Festival ko lekar bhut sare Gatha hai. Lekin Sabse Jada Rani karavti or humayu ko or bhi Kai iske Kaaran hai Raksha Bandhan ke Tyohar ko lekar. Hm Yha kuche Raaj ke Baare me baat karenge.
1. Rani Karavti or Humayu:- Dosto kha Jata hai ki Jab Gujrat ke Sultan Bhadur Sah se khatra tha Chitod ki Rani Kaaravti ke Rajy ko to vo Rakhi Humayu ko bhej kar Ek Bhen ke naate use Sahayta mangi thi apne Rajy ko bachane ke liye or Humayu Use Rakhi ke Mehtva ka Nazar rakhte hue usne Rani ki Raksha ke liye tyar ho gya tha. Es din se ye Rakhi ka Tyohar manaya jane lga.
2. Raaja Bali Katha:- Kha jata hai ki Bhagvan Visnu ne Jab Raja Bali se tin Pag me Raaja Bali Se sab kuch le liya to Raaja Bali ne ek vardaan maanga. Ki Visnu bhagwan or mai Patal me rhenge fir Bhagvan ko Bali ke Sath Patal me rhena pada. Ye Dekh kar Mata Lakhmi ji ko bhut bura lga. Fir Vo Visnu Bhagvan ko Aajad karvane ke liye. Ek vridh Ladies ka Rup le kar Bali ke Pass Phuchi. Or Fir Mata Lakhmi ne Bali ko Rakhi bandha jab Bali ne Mata Lakshmi ko Uphar Mangne ko kha Mata ne Uphar me Visnu ko Patal se Aajad kar bekunt me bhejne ko kha Bali ne Apne Bhen ki Baat or Apne Vachan ke Karan Bali ko Visnu ko Bekunt Bhejna pada. Ek ye bhi Karan maana jata hai Rakhi ke Tyohar Mnane ke Piche.
3. Mahabharat Katha:- Mahabharat me Jab Bhagvan Krishan ne apne Chakre se Sisupaal ka sr kata diya or Vapus Jab Chakre Krishan ke Ungle pe Aa rha tha to Krishan Bhagvan Ka Unge Cut gya tha. Ungle cutta hu dekha to Dropti ne Apne Palu se Kapada far kar Krishan Bhagvan ko Bandha tha tab Krishan Bhagvan Ne Vachan diya ki Mai hmesa tumhari Raksha karunga. Fir jab Kourav ne Dropti ka Chirharan kiya to Krishan ji ne unko bachaya tha Kha Jata hai tabse Es Tyhar ko mnaya jata hai or bhi kai hai.
4. Santoshi Maa Sambandhit Katha:- Kha jata hai ki Visnu Bhagvan ke 2Bete the Subh or laabh Jinko Bhen n hone ki Bhut kami khalti thi to Fir Unhone Bhagvan Ganesh ji se Ek Bhen ki Maanu ki fir Kuche time baad Naard Bhagvan ne bhi Bhagvan Ganesh se Beti ke Visye me kaha. Bhagvan Ganesh ki 2Patni thi Ridhi or Sidhi. En do devi ke Divye Jyoti se Maa Santoshi ke Janam hua fir Bhagvan Visni ji ke dono Bete Maa Santoshi se Rakhi Bandhvane lge or Tab se Rakhi manaya jane lga.
5. Ym or yamuna katha:- Kha jata hai ki Jab Ym 12Saal tk Apni Bhen Yamuna ke pass Nhi gye to Yamuna bhut Pareshan hogi Vo apne Bhai Ym se Milne ke liye Maa Ganga se Milne gyi Jab Maa Ganga ko ye Baat pta chala to vo Bhagvan Ym ke Pass Sandesh Pahucha diye ki Unki Bhen Yamuna Unka 12Saal se Intazaar kar rhi hai. To Bhagvan Ym Ye Baat Sun kar Apni Bhen Yamuna se Milne aaye. Fir Yamuna ne Apne Bhai ke Aane ke Kushi me Bhut Badhiya Pakvan bnaya. Jise khaa Kar Ym Bhagvan Bhut Kush hue or Unhone Apni Bhen Yamuna se Kaha ki vo Mn Chaha Vardan Maang Sakti hai. Fir Unki Bhen Ne Ym se Vapus fir Aane ka Vardan Maanga. To Ym Apne Bhen ke Pyar se Kush ho kar Unhe Amrta ka Vardan Diya.
6. Sikandar Or Raja Porsh Katha:- ye Katha 326isvi phele Sikandar ne Bharat me Aaya tha tab ki hai. Sikandar ki Patni Rosaanakh ne Raja Porsh ko Rakhi Bheja tha or Raja Porsh se Uske Badle me Sikandar pe Jaanleva Hamla n karne ka Vachan liya. Fir jab udh Start hua to Raja Porsh ka Najar Rakhi Pe pada or fir Use Apne Diye hue Vachan yaad aagya or Raja ne Udh me Sikandar par Hamla nhi kiya.
Ye Sabhi Karan the Raksha Bandhan kyo mnaya jata hai. Or bhi kai Katha hai Raksha Bandhan ko lekar. Is Tyohar ke Baare me koi Pura thik se Nhi likh Sakta kyo ki Ye Tyohar Ek Pyar Se bhara Tyohar hai. Es liye Pyar ko Likhna Bhut hi Muskil hai.
Ok Friends Umid Karta hu Aap ko ye Post Ascha lga hoga. Aagur Aap Ko koi Problem ho to Please Mujhe Comment Kare or Aagur Aap ka koi Question ho to bhi Comment me Jarur likhe. Or es Post ko Apne Social Network pe Share Jarur kare.
Raksha Bandhan ka Tyohar kyo manaya jata hai.
Reviewed by Rishav Rai
on
August 06, 2017
Rating:
No comments: