Kisan Samman nidhi Yojana ke liye online aavedan kaise kare

Hi Friends

Jaisa ki aap logo ko pata hoga ki Government ke tref se ek Scheme chalaya ja rha hai jise ke mutabik kisan ko per year 6,000 Rs diya jayega. Ise facility ke liye aap ko form apply karna hoga. Jab aap ka application submit ho jata hai or aap ke sabhi document correct honge to aap ko per year 6,000 Rs milna start ho jayega.

https://suryarishavrai.blogspot.com

Aaj hm ise post me isi ke bare me janege ki hm Online Kisan Samman nidhi yojana ke liye online kaise apply kare. Dosto agur aap ise application ko offline jama karne gye honge to aap ko kai village ke office me application ko submit karane ke liye paise bhi charge karte honge. Par kai village me free bhi hai.

Agur hm baat kare government ise application ke liye kita charge  kar rhi hai. to mai bata du government iske liye koi bhi charge nhi kar rhi hai. Or iske liye kai log paise de kar karvaye bhi hai. Or kuche log abhi tk paise ke karan vo application submit nhi karvaye hai. To aaj aap ise post ke help se apne application ko online submit kar sakte hai.

PM Kisan Samman Nidhi Yojana me Online Aavedan ke liye Jaruri Document

Dosto aap ko agur PM Kisan Samman Nidhi Yojana me Online Aavedan karna chahte hai to aap ke pass kuche jaruri document hona chahiye.

1. Aap ke pass Aadhaar card hona chahiye.

2. Aap ke pass bank account bhi hona jaruri hai.

3. Aap ka aadhaar card aap ke bank account se attach hona chahiye.

4. Aap jab form submit kare to aap ke pass aap ke khet ka khasra sankhya or khatoni ka nakal hona jaruri hai.

PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke liye Online Aavedan kaise kare.

1. PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke liye Online Aavedan karne ke liye sabse phele aap ko PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke website pe jana hoga. PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke website pe direct jaane ke liye aap yha pe click kare.

2. Ab aap jaise hi next page pe jayenge aap ko menu me Farmers Corner naam se ek option dikhega aap image me bhi dekh sakte hai. aap uspe click kare.

https://suryarishavrai.blogspot.com

* Ab aap ko New Farmer Registration pe click karna hai.

https://suryarishavrai.blogspot.com

* Ab aap ko next page pe apna Aadhaar No. Or Image Text (Captcha Code) fill karna hai. Fill karne ke baad aap Click here to continue ke button pe click karna hai.

* Ab aap ke samne ek form open hoga jise aap ko fill karna hai aap apna sabhi details thik se bhare ta ki aap ke form ko approve karne me problem nhi ho.

https://suryarishavrai.blogspot.com

* Aap ke samne do parkar ke form honge sabse phela form Farmer Personal Details ke naam se hoga jisme aap ko apna full details fill karna hai.

* Second form me aap ko Farmer Other Details me bhi apne se related kuche jankari fill karna hai.

https://suryarishavrai.blogspot.com

* Aap apne khet ka Khata No. Or Khasra No. Add karna hai. Aap ek baar Save karne se phele apna sara details dekh le ki aap ka details thik hai ya nhi agur aap ka details thik hoto aap use Save karde.

3. Dosto Form ko save karne ke baad aap ko aage ka process khud hi karna padega. Aap aage ke process ko khud hi kare. Agur aap ko nhi pata chale to aap ise post ke niche comment kare mai aap ko mail ke through guide kar dunga.

Maine Online Form abhi fill nhi kiya hai. Isliye mai aap logo ka help nhi kar sakta hu. Ise Post ke through jaise hi mai koi form submit karta hu Online to mai ise Post ko Update jarur karunga. Jise aap logo ko bhut hi aasani se help mile sake.

Ok Friends PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke liye Online Aavedan kaise kare post me bs itna hi. Agur aap ko ise post se related kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi question hoto aap comment jarur kare mai aap ka jarur help karunga.

Ye Bhi Padhe.
* उत्तर प्रदेश के 2018 राशन कार्ड लिस्ट कैसे देखे
* मध्य प्रदेश के मुख्यमंत्री अविवाहित पेंशन योजना |
* Goa Homestead गार्डन स्कीम
* विधवा पेंशन योजना के लिए Online आवेदन कैसे करे
Kisan Samman nidhi Yojana ke liye online aavedan kaise kare Kisan Samman nidhi Yojana ke liye online aavedan kaise kare Reviewed by Rishav Rai on November 17, 2019 Rating: 5

1 comment:

Powered by Blogger.