Showing posts with label Mobile Tricks. Show all posts
Showing posts with label Mobile Tricks. Show all posts

Sunday, 23 June 2019

Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Without Reset Unlock kaise kare

Hi Friends,

Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Unlock kaise kare – Mobile  Phone ko Without Password Unlock kaise kare. Dosto Aaj bhut time baad ye post ise blog par published ho rha hai. Umid karta hu aap ko ye post pasand aayega. Or aap ke liye ye post helpful sabit hoga.


Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Without Reset Unlock kaise kare


Dosto kai baar aap koi chij achanak se bhul jate hai. Ya fir aap apne mobile phone ka password change karte hai. or fir aap bhul jate  hai. Aap ne kya password rakha tha. Fir aap ko Mobile phone unlock karne me problem hota hai.

Lekin dosto aaj aap ko mai ise post me kuche method bataunga. Jiske help se aap apne Mobile Phone ke password ko Unlock karne ka koshish kar sakte hai. Dosto Aap apne mobile phone ko Without Format ke bhi Unlock kar sakte hai. Dosto Agur aap ko nhi pata ki Without Format ke Mobile Phone ko kaise Unlock kare to aap ise post ko suru se lekar last tk padhe sakte hai.


Dosto aap ko jo mai mobile phone ko Without Format ke bhi Unlock kaise karte hai. Method bata rha hu ye thora sa muskil hai. Par aap mere bataye jane wale step ko thik se follow kare. Aap bhut hi easy tarike se apne phone ko Unlock kar payenge. To dosto ab hm chalte hai apne main topic ki or.

Mobile Phone ka Password Bhul jane par Mobile ko Unlock kaise kare.

Dosto mai aap ko Mobile Phone ka password bhul jane par Mobile Phone ko unlock kaise kare ka pura process bata rha hu step by step aap mere bataye jane wale step ko thik se follow kare. Aap ko fir Mobile phone ko Without Password ko unlock karne me koi problem nhi hoga.

Mai aap ko Mobile Phone ko Without Password Unlock karne ka 2Methods bataunga inmese kuche Method me aap ko condition bhi dhyan me rakhna hai. jise me se aap ko jo sahi lage. Aap use try kar sakte hai.

1. Android Device Manager


Mobile Phone ko Without Password Unlock karne ke liye Android Device Manager ka hm use karenge lekin ye method tabhi work karega. Jab aap ke mobile phone me Android Device manager Enabel ho. Agur aap ke mobile phone ke PlayStore me aap ka mail id login hai to Android Device manager apne aap On ho jata hai.

Agur aap ne Device Manager ko Manually disable nhi kiya hoto. Aap hmesa apne Android Device Manager ko On karke rakhe kyo ki Aap ko iske kai fayde hai.

Ab hm maan lete hai ki aap ka mobile phone ka Internet on hai. Aap ka Android Device Manager bhi On hai. Ab aap Apne Mobile phone ke password ko bhut hi asani se Unlock kar sakte hai.

Mobile Phone ka Password Android Device Manager ke jariye kaise Unlock kare.


Dosto Android Device Manager ke help se Mobile Phone ko Unlock karne ke liye step by step follow kare.

Step1:- Dosto Sabse phele aap Android Device Manager Mobile Phone me open kare.

Step2:- Ab aap jise Mobile Phone ko Unlock karna chahte hai. Use ke PlayStore me jo gmail Id hai. Use Gmail Id se aap login kare.

Step3:- Ab aap jaise hi Gmail Id ke Through Login karenge. Aap ko Display pr 3Option show honge. Ab aap ko vha pe Lock ka option bhi show hoga.

Step4:- Ab aap Lock ke option pe click karde. Ab aap ke samne 4 Blank Box page open hoga. Ab aap starting ke 2box me new password dale. Or baki ke jo 2blank box bachenge use blank hi rhene de. Vha pe vo likha bhi hoga.

Step5:- Ab aap ke Mobile Screen pe vo password ke jo aap ne starting me 2blan ko password ke liye fill kiya tha use digits ko aap fill karde. Or ab aap jaise hi ok karenge aap ka Mobile phone unlock ho jayega.

2. dr.fone Unlock Software


Ise Method ke liye aap ke pass Laptop ya Computer hona chahiye. Aap Without Computer ya Laptop ke jariye ise process ko follow nhi kar sakte hai.

Step1:- Aap ko sabse phele Laptop ya Computer me dr.fone software install karna hai. Agur aap dr.fone software install karna chahte hai. to aap yha dr.fone download pe click kare.

Step2:- Ab aap jise Mobile phone ko Unlock karna chahte  hai use aap USB ke through Computer ya Laptop  ke sath Attach kare.

Step3:- Ab aap jaise hi Dr.fone Software Open karenge usme aap ko lock screen removal ka Option dikhayi dega us par aap click kare.

Step4:- Ab aap ko Software me hi aage ka step Show hoga aap use follow kare. Aap ko ab start ka option show hoga. Aap uspe click karde.

Step5:- Ab aap ka phone Software or Computer ke sath pure tarike se attach ho jayega. Ab vo aap se aap ke mobile ka Brand, Device name or Device Model mangega aap vo fill karde.

Step6:- Ab aap ko niche Next ke button pe click karna hai. Ab vo aap se confirm karne ke liye ek message show karega. Aap Box me Confirm likh kar Confirm ke button pe click karde.

Step7:- Ab aap ke display par aage ka process show hoga. Aap apne phone ko USB se disconnect karde or Downloading mode me lekar jaye. OR firse USB se connect karde ab aap ko display par blue colour ka line Move hoga last tk or Start ke button pe click karde.

Step8:- Ab aap ka phone Unlock karne ke process me Restart bhi ho sakta hai. Aap ko Downloading mode me lagan eke baad USB me jab aap lagade uske baad aap apne phone me kuche bhi n kare. Jab tk vo khud hi On nhi ho. Jab aap ke Computer display par Complete Successfully ka option show ho jayega. Uske baad aap ka mobile khud hi Unlock ho jayega.

Dosto Aap ise process ko apne risk me hi kare. Agur aap isme kuche galti karte hai. To aap ka mobile phone me bhi problem aa sakta hai. Maine ye post sirf study or knowledge ke liye hi likha. Agur Aap ko kisi bhi parkar ka problem hota hai.

Ise process ko karne me aap ka phone damage ho jata hai ya fir kuche bhi hota hai. To iske jimedar aap khud honge. Aap ise process ko apne Risk par hi kare. Agur aap ko koi bhi problem hota hai. To iske jimedar or koi nhi hoga. Aap khud hi iske jimedar honge.

Ok Friends Mobile Phone ka Password Bhul jaane par Mobile Phone ko Unlock kaise kare post me bs itna hi. Agur dosto aap ko kisi bhi parkar ka problem hota hai. Ise process ko karne me to aap ise post me comment kar sakte hai. Mai aap ka pura help karunga. Or aap hmare Social Media Network ko bhi like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* SBI IFSC Code kaise Check kare
* Download Top Responsive Blogger Template 2019 - in Hindi 
* State Bank of India (SBI) me Cadre Officers ke job ke liye form Release(Without Test) 
* Blog banakar paise kaise kamaye-2019 Latest Method

Friday, 26 October 2018

Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare

Hi Friends,

Dosto Aaj hm es post me jaanege Factory Reset Karne ke Baad Mobile Data Kaise Recover kare. Factory Reset karne ke baad data ko kaise recover kare iske bare me bhut se friends jaanna chahte the isliye friends aaj mai is post me btaunga ki Factory Reset Karne Ke baad Mobile Data Kaise Recover karte hai. Mobile Data Recover karne ka jarurat sabhi Android user ko hota hai.


Dosto Agur aap apne Mobile Ko Factory Reset karna chahte hai, to sabse phele aap Mobile Phone ke Data ko Recover karle. Kuche log bina Mobile Phone ke data ko backup liye bger hi Reset kar dete hain or baad me data recover nahi kar paate hai.


Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare

Is Problem se bachane ke liye aap logo ko mai ek tips de rha hu. Jise aap log apne mobile phone ko reset karne ke baad bhi apna data recover kar sakte hai. Sabse phele hm ye jaane lete hai ki factory reset hota kya hai or ye kyu kiya jata hai. Dosto Factory Reset ek bhut hi kaam ka chij hai. Iska use aap bhut aasani se kar sakte hai.

Factory Reset Kya hai

Dosto Jab aap kisi Mobile Phone ko Factory Reset karte hai, to vo Mobile Phone bilkul new ho jata hai. Dosto Mobile Phone ko Reset karne ka option sabhi Android Mobile Phone me hota hai. Agur aap ke Mobile Phone me Koi Setting Problem hai aap ko samajh me nhi aa rha ki vo problem kya hai, to  aap use Factory reset karde setting problem sahi ho jayega. Lekin Factory Reset karte hi aap ke Mobile Phone ka data bhi reset ho jaayega. Is liye Backup ka option diya jata hai or Backup ka bhi option lagbhag sabhi Android mobile Phone me hota hai.


Aap Jaise hi Factory Reset karte hai aap ke mobile phone ke 60% problem to mobile phone reset karte hi solve ho jate hai. Agur aap ke Mobile Phone ka speed slow hai, to aap reset karke thik kar sakte hai. Kai baar dosto aap ke mobile phone me koi unjana apps install ho jata hai or aap use uninstall kar rhe hote hai to vo uninstall nhi hota hai iske liye aap Mobile Phone ko Factory Reset karke hata sakte hai.

Factory Reset karne ke baad Mobile data Recover karne ke 2 tarike

1. First Method

Dosto Ye method un logo ke liye hai jinka Mobile Phone google account ke sath sync hai. Dosto Android Mobile Phone Google Account ke sath sync rhene se Aap ka sabhi data aap ke google Account me save rheta hai. Aap jab chahe apne google account ke jariye data ko apne Mobile me store kar sakte hai.

Agur aap ka mobile phone reset ho jata hai to aap apne google account ke jariye sara data recover kar sakte hai. Iske liye aap niche bataye jane wale process ko follow kare.

* Sabse Phele aap ko Apne Mobile Phone ke setting me jaana hai.

* Ab aap ko Asse ka option dikhega aap us option pe click kare or scroll down kare.

* Aap ko ab backup & reset ka option dikhega aap uspe click kare.

* Aap Backup ke option pe click kare agur ab aap kuche setting karna chahte hai, to aap kar sakte hai. Jaise aap apne pasand ke apps ka data daily backup ke liye auto select karna chahte hai, to aap uska bhi setting kar sakte hai.

* Ab aap keg mail Id pe daily backup milega. Aap chahe to khud se bhi backup le sakte hai. Is ke liye aap ka gmail Id Sync hona chahiye.

Dosto ye method aap Reset karne se phele use kar sakte hai. Backup liye bger reset karde fir aap purana data ka backup lena chahe to nhi mil payega. ISke liye aap Second Method ka use kare.

2. Second Method

Dosto agur aap ne galti se bina data ka backup liye hi reset kar diya hai, to uske liye aap ye second method ko thik se follow kare.

* Sabse Phele aap Gihosoft Android recovery software app ko Download karke install kare.

* Ab aap ko Open kare or Program ko run kare or aap data ko select kare jo data ko aap recover karna chahte hai.

* Ab aap Mobile Phone me USB debugging on karke mobile ko usb cable se connect karde. Iske baad start button press karde.

* Ab aap ka mobile phone scan hona start ho jayega. Scan complete hone ke baad aap ko lost data show honge, Ab aap jis data ko recover karna chahte hai use select kare or Recover pe click kare.
Dosto aap is trhe se es software ke help se data ko recover kar sakte hai. Isme aap ko koi bhi dikat nhi aayega. Lekin aap ab ek chij ka dhyan rakhiye ki aap hmesa apne data ka backup lete rhe, ta ki aap ko kabhi bhi problem ka samna n karna pade.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Factory Reset karne ke baad Mobile Data Kaise Recover kare post pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko ye post pasand aaya ho ya ye Post aap ke liye helpful hoto aap is post ko apne Friends or Relatives ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap is post pe comment jarur kare mai aap ka jarur help karunga. Aap hmare Sath jude rhene ke liye social Media Page or Group ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye bhi Padhe.
 * Mobile Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye
* Top 8 Best Mobile Selfie Android Apps 

Sunday, 14 October 2018

Mobile Phone ko Fast charge kaise kare

Hi Friends,

Aaj hm es post me jaanege Mobile Phone ko Fast charge kaise kare. Dosto Agur aap Mobile Phone me lagatar 2Hours ka Movie dekh lo to aap ka Mobile Phone ka Battery Agur 2200Mah hai to samajh lo ki vo ek movie dekhte khatam ho jayega. Or koi chote Mobile Phone me High Battery lagana bhi khatarnak hai. Mobile Company Low Price Phone ke sath Low Battery bhi Provide karta hai. Agur aap ka Battery Charge khatam ho jaye to use charge karne me 2hours – 3 hours to lge hi jata hai. Agur aap ke pass Original Charger hai to bhi 1:30 hours to 2hours to lge hi jate hai.

Mobile Phone ko Fast charge kaise kare


Agur aap us charger se charge karo to aap ka time bhut jada lage jata hai. Agur aap khi pe jar he ho aap ka mobile phone ka battery dad ho gya ab aap ko mobile phone charge karna hai or aap ke pass sirf 30minute hai to aap kya karoge or aap ka backup battery bhi dad hoto ye aap ke liye bhut muskil hai. ISliye mai aap ke liye ye post likh rha hu jise aap ka battery dad ho jaye to aap jald se jald jada battery charge kar sake. Dosto Hmare Mobile Phone ke battery usage ko check kare to hmara kamse kam to 3 to 4 hours to mobile usage to hai. Agur aap koi business man hoto fir aap ka Mobile Usage to or jada ho jata hai. Ya fir aap traveling ka soukh rakhte hai to.



Agur aap ka bhi Mobile Phone Charge hone me time jada lagta hai or aap Mobile Phone jaldi charge karna chahte hai, to aap ye post pura jarur padhe. Mai aap ko btaunga ki Mobile Phone Kaise jaldi charge kare.

Mobile Phone fast Charge kaise kare ?

Agur aap bhi Mobile Phone fast charge karna chahte hai, to aap is post me btaye jane wale tips ko follow jarur kare.

1. Use Original Charger

Dosto Aap hmesa Mobile Phone ke sath jo company charger provide karti hai hmesa aap vahi charger use kare. Kabhi bhi aap dublicate charger n use kare. Mobile phone ko hmesa original charger se hi charge kare. Aap kabhi bhi agur market se charger purchase karte hai. Phele check karle ki uska voltage or AMPH baki chije original wale charger jaisa hi ho agur aap ko market ka charger use different AMPH ka hoto aap use apne Mobile Phone me n use kare.

Aap hmesa Original hi charger use kare mai aap ko yahi salah dunga. Aap kabhi bhi chainese ya local charger ka use n kare. Original charger hmesa aap ke Mobile Phone ko dhyan me rakh kar hi company charger banati hai. Aap paise bachane ke chakar me Mobile Phone ko Local Charger se charge n kare. Kuche log jab charger kharab ho jata hai, to vo dublicate charger ka use karte hai jise unka Battery Backup kam ho jata hai.

2. Mobile Phone Not Use Charging Time

Dosto kai baar log Mobile Phone Charge me laga kar Mobile Phone chalate hai. Istrhe Mobile Phone ko Use karna aap ke liye khatrnak ho sakta hai. Kai log Mobile Phone Charge pe laga kar Game khelte hai ya fir Mobile Phone pe baat karte rhete hai. Istrhe me mobile phone fast charge bhi nhi hoga or Mobile Phone ko Blast bhi ho sakta hai.

Iske sath or bhi kai chote problem bhi ho sakte hai. Mobile Phone charge pe laga kar Game khelne ya fir mobile pe kaam karte rhene ke kaaran. Aap ke mobile phone jaldi charge nhi hoga. Aap ka Mobile ka Battery Backup bhi down ho jayega. Agur aap ka Mobile Phone jaldi heat hota hai to aap apna mobile phone cheak kare kahi battery ke problem ke kaaran to heat nhi ho rha n. Agur aap ko kabhi bhi battery ka problem lage to turant use change kare nhi to aap ka Phone Battery ke kaaran blast ho sakta hai.

3. Switch off Mobile Phone

Dosto agur aap ne Original charger use kar ke check kar liye hai, fir bhi aap ka Mobile Phone Fast Charge nhi ho rha hai to aap jab Mobile Phone ko charge me lagaye use phele aap  Mobile Phone ko Switch off karde uske baad aap Charge me lagaye. Switch off kar Mobile Phone Charge karne se aap ka Mobile Phone jaldi charge ho sakta hai. Switch off karke se aap ka Mobile ke Background sare service stop ho jate hai is liye aap ka Mobile Phone Fast Charge ho sakta hai.

4. Turn On Mobile Phone Airplane Mode

Agur aap Mobile Phone Switch off nhi karna chahte hai, to aap Airplane Mode On kar sakte hai. Jise aap ka All Connectivity pure trhe se close ho jate hai. Jise aap ke Mobile Phone me battery usage thora km ho jata hai or aap ke Mobile Phone ka Battery fast charge hone lge jata hai.

5. Clear BackGround Apps

Dosto Kai baar hm kais are apps ko On kar dete kaam hone ke baad Minimize kar ke chod dete hai. Vo fir hmare Background me run hota rheta hai or hmare Mobile Phone ka Battery counsume hota rheta hai. Jise hmara Battery Charging jaldi se Dad hota hai. Kabhi bhi aap ek sath kais are app ko run na kare ise aap ka Ram bhi jaldi down hota hai. Aap ke Mobile Phone me hanging Problem bhi aa sakta hai. Aap jaise hi kisi app ko use kar lete hai, to aap use Clear karde ta ki aap ka Battery jada consume n ho. Agur aap Background me chale rhe app ko clear karke charge klarte hoto aap ka battery fast charge hoga.

Dosto umid karta hu aap ko ye post padhne ke baad pta chale gya hoga ki aap ko battery charge karne ke time kya karna chahiya or kya nhi kyo ki dosto aap ko battery ka bhut dhyan rakhne ka jarurat hai. agur aap battery pe dhyan nhi rakho ge to aap ko bhut problem ho sakta hai.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Mobile Phone Fast Charge kaise kare Post pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap koi question hoto aap is post pe comment kar sakte hai. Mai aap ka jarur help karunga Agur aap ke liye ye post helpfull rha hoto please is post ko share jarur kare, ta ki aap ke friends or family ko bhi pta chale sake ki battery ko fast charge kaise karte hai. Aap hmare Social Media Network ko bhi like, share or Join jarur kare.

Saturday, 6 October 2018

FREE APPS SE PAISE KAISE KAMAYE.

Hi Friend,
  Aaj mai aap ke liye bhetrin apps laya hu ta ki aap bhut Aasani se Paise Kma sake vo bhi. Bina koi Investment ke. Or Ye Apps or Ye Trick 100% work kar rha hai.
      Mai aap ko New 3Apps ke baare me bataunga.
              Old koi apps nhi hoga aap ise Post ko thik se padhe Please.
            Apps se Paise kise kamaye.
1. Cash Ninja: Ye apps aap ko Install karne ke 25Rs deti hai or vo bhi bina koi Problem ke or Bhut hi aaram se Ise apps me isa kujhe nhi jise aap ka Phone hang ho ya aap ke Paise Install karne pe n de.
      Ye apps aap ko Payment karne me koi bhi bhana nhi bnayi hai.
        Aagur aap ko ye apps Install karna hai to niche Links pe Click kar. PlayStore se Install kare. Cash Ninja Apps Download karne ke liye Yha pe click kare.     ye hai links Please download.
2. Free Recharge: Ye apps First Time Register karne pe bhi aap ko Paise deti hai. Use ke baad aap apps me diye apps ko bhi Download karne pe aap ko paise milenge jitna use apps Ka Rate Likha ho ga. Or Aap Whatsapp and Facebook pe Refer kar ke bhi Paise kma sakte hai.
3.Mobikwik: Ye apps me paise to thore kam milte hai par ise apps me Paise Idhar udhar hone ka koi Chance nhi hota hai. Matlb kai apps hote hai jo bolte to hai ye target pura karo to aap ko itne Paise milenge par vo bhir milte nhi hai. Par ye apps me milte hai. Ise apps se paise kamane ke kai tarike hai. Aagur aap kisi ka recharge karte ho to aap ko Cashback offer bhi milta hai. Kai baar 100% discount bhi milte hai. Ye apps bhi Paise kamane ke liye bhetrhe apps hai.
Aap ko aagur Paise kamane ke baare me pr koi jankari Chahiye to aap mujhe Comment kare ya bhir Contact forum bhare.
Aap ko ye Post kisa lga Please Comment kar ke bataiye.

Friday, 19 January 2018

Mobile Phone me use hone wale Secret code

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege Mobile Phone me use hone wale Secret code ke baare me. Hm Aaj tk kai Phone use kiye honge par hme Phone me use hone wale kai Code ke baare me nhi pta. Aaj mai koi se post me Secret use hone wale kai Code ke baare me btaunga or hm yha pe 5Mobile Phone ke Secret Code ke baare me baat karenge. Ye Secret Code jaanna bhut jaruri hota hai. Kyo ki hm in Secret Code se Apne Mobile Phone ke kai Service ko Check kar sakte hai. Jaise Phone IMEI No., Service Menu, Battery Status, Camera Check or Display etc Service Check. Hm in Secret Code se Kai Service ko check kar sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Agur aap ko bhi Apne Mobile Phones ke liye Best Service Provide Codes Jaanna hai. To aap es Post ko suru se lekar last tk jarur padhe. Mai aap ko yha pe Mobile Phones ke Top Secret Code btaunga jise aap apne Mobile Phones ke kai chijo ka Status check kar sakte hai. Jha tk ki agur aap Kisi bhi Company ko call karte hai. Camera ya headphone jaise kisi bhi Mobile Phone Problem ko lekar to vo yahi code ka Use kar aap ke Problem ko Solve karte hai. ya btate hai ki aap ke Mobile Phone me kya Problem hai.

5Mobile Phones ke Company me use Hone wale Secret Code

Aap incode ko thikse use kare nhi to aap ka Phone lock bhi ho sakta hai. Agur aap ne code ko thik se use nhi kiya to. Aap ko yha pe 5Mobile Phone ke Secret Code btaunga. Jise aap use kar apne Mobile Phone ka Hardware Test kar sakte hai.

1. Samsung:- Ye code Mobile Phone ke kai  Secret Funtion ko show karte hai. jise  aap apne Mobile Phone ko Perfect rakh sakte hai. Vo kisi bhi Service ko use karke ho rhi Service related Problem ko Solve kar sakte hai.

1. *#06#:- Ye code ka use kar apne Mobile Phone ka IMEI Number dekh sakte hai.

2. *#0228#:- ise code ka use kar aap apne Mobile Phone ke Battery Information check kar sakte hai.

3. *#8999*837#:- Ye hmare Mobile Phone ke Hardware version ko show karta hai.

4. *#9998*842#:- Ye hmare Mobile Phone ke Screen Debug Show karta hai.

5. *#9998*842#:- Ye hmare Mobile Phone ke Vibration ko Test karne me help karta hai.

2. Xiomi Redmi:-Aap ko ise Mobile Phone me ek Code se hi kai chijo ko Maintainn kar sakte hai. or isme sabse jade service provide kiye gye hai.


1. *#06#:- Ye code Mobile Phone ke IMEI Number ko Check karne ke liye hai. Ye code IMEI Check karne ke liye Sabhi Mobile Phone ke Same Code hote hai.

2. *#*#273282*255*663282*#*#*:- Ye code Mobile Phone ke Backup lene ke liye Best hai. Aap ke Mobile Phone Data ka Backup bhut hi Aasani se leleta hai.

3. *#*#7780#*#*:- Ye Code hmare Mobile Phone ke data ko Reset karne me help karta hai.

4. *2767*3855#:- Ye Code hmare Mobile Phone Factory Format ko reinstall Phone firmware karne me help karta hai.

5. *#7465625#:- Ye Code hmare Mobile Phone ka Lock Status btata hai.

3. Vivo:- Vivo Mobile Phone ka bhi IMEI Code Same hai baki Sabhi Mobile Phone ke trhe.

1. *#*#273282*255*663282*#*#*:- Ye code aap ke Mobile Phone ke Media Files Ko backup lene me help karta hai.

2. *#*#4636#*#*:- Ye code use karne pe aap ko 4Option milenge aap vha pe Phone Information or Battery Information dekne ko mil jayega.

3. *#*#7780#*#*:- Ye code Factory Data Reset ke liye use kiya jata hai.

4. *2767*3855#:- Ye code hmare Mobile Phone Factory Format ko reinstall Phone firmware karne me help karta hai.

5. *#*#34971539#*#*:- Ye code Camera ke Information ko check karne ke liye hai. Isme aap ko 4Option milenge aap Check kar dekh sakte hai.


4. HTC:- HTC ke bhi Bhut sare Secret Code hai. Aap ke pass Agur HTC Mobile Phone hai to aap in code ko jarur use kare.

1. *#*#0842#*#*:- Aap apne Mobile Phone ke Vibration or Flashlight ko Test karne ke liye use kar sakte hai.

2. *#*#*0*#*#*:- Ise code ka Use MobilePhone me LCD Test ke liye use kiya jata hai.

3. *#*#232337#*#*:- Ye code Bluetooth information show karta hai. Ki vo Perfect hai ya nhi.

4. *#*#2664#*#*:- Ye code ka use Mobile Phone ke Touch Screen ko Test karne ke liye use kiya jata hai.

5. *#*#3264#*#*:- Ye code se Mobile Phone ke Specification RAM Ke baare me pta chalta hai.

5. Nokia:- Nokia ke secret Code ko lekar bhut se log puchete hai. To aap mere btaye gye in code ko use kar check kar sakte hai.

1. *#0000#:- Aap agur ise code ka use karte hai, To aap ko apne Mobile Phone ke sare Information ko check kar sakte hai.

2. *#92702689#:- Ye code aap ko Total kiye gye call Duraction ko btata hai.

3. *#7780#:- Phone ke setting ko Restore karne ke liye aap ise Number ko dial kar sakte hai.

4. *#7370#:- Ye code aap apne Mobile Phone ke Data ko Format karne ke liye use kar sakte hai.

5. *#2830#:- Ye code ka use aap apne Mobile Phone ke Bluetooth Service ko Check karne ke liye kiya jata hai.

Ye the Friends Kuche Mobile Phone ke Secret Code jise aap apne Mobile Phone me Test ke liye check kar sakte hai. Ye code aap ke liye bhut fayemand hai. Aap in code se apne Mobile Phone ke Hardware or Software test kar sakte hai. Jise aap ko kisi bhi Parkar ke ho rhe Problem ke baare me pta chalta hai.

Ok Friends Phone me use hone wale Secret code Post me bs itna hi. Agur aap ko Post pasand aaya hoto Please ise Post ko Share or Comment jarur kare. Agur aap ka Kisi bhi Parkar ka Question ho ya aap ko koi Problem hoto Aap mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help karunga or Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Mobile Number ke Owner ka Name or Location kaise Check kare

Powered by Blogger.

Contact Form

Name

Email *

Message *

Search This Blog

Subscribe

Get Free Update Notification

Enter your email address