Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare

Hi Friends,

Dosto Aaj hm es post me jaanege Factory Reset Karne ke Baad Mobile Data Kaise Recover kare. Factory Reset karne ke baad data ko kaise recover kare iske bare me bhut se friends jaanna chahte the isliye friends aaj mai is post me btaunga ki Factory Reset Karne Ke baad Mobile Data Kaise Recover karte hai. Mobile Data Recover karne ka jarurat sabhi Android user ko hota hai.


Dosto Agur aap apne Mobile Ko Factory Reset karna chahte hai, to sabse phele aap Mobile Phone ke Data ko Recover karle. Kuche log bina Mobile Phone ke data ko backup liye bger hi Reset kar dete hain or baad me data recover nahi kar paate hai.


Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare

Is Problem se bachane ke liye aap logo ko mai ek tips de rha hu. Jise aap log apne mobile phone ko reset karne ke baad bhi apna data recover kar sakte hai. Sabse phele hm ye jaane lete hai ki factory reset hota kya hai or ye kyu kiya jata hai. Dosto Factory Reset ek bhut hi kaam ka chij hai. Iska use aap bhut aasani se kar sakte hai.

Factory Reset Kya hai

Dosto Jab aap kisi Mobile Phone ko Factory Reset karte hai, to vo Mobile Phone bilkul new ho jata hai. Dosto Mobile Phone ko Reset karne ka option sabhi Android Mobile Phone me hota hai. Agur aap ke Mobile Phone me Koi Setting Problem hai aap ko samajh me nhi aa rha ki vo problem kya hai, to  aap use Factory reset karde setting problem sahi ho jayega. Lekin Factory Reset karte hi aap ke Mobile Phone ka data bhi reset ho jaayega. Is liye Backup ka option diya jata hai or Backup ka bhi option lagbhag sabhi Android mobile Phone me hota hai.


Aap Jaise hi Factory Reset karte hai aap ke mobile phone ke 60% problem to mobile phone reset karte hi solve ho jate hai. Agur aap ke Mobile Phone ka speed slow hai, to aap reset karke thik kar sakte hai. Kai baar dosto aap ke mobile phone me koi unjana apps install ho jata hai or aap use uninstall kar rhe hote hai to vo uninstall nhi hota hai iske liye aap Mobile Phone ko Factory Reset karke hata sakte hai.

Factory Reset karne ke baad Mobile data Recover karne ke 2 tarike

1. First Method

Dosto Ye method un logo ke liye hai jinka Mobile Phone google account ke sath sync hai. Dosto Android Mobile Phone Google Account ke sath sync rhene se Aap ka sabhi data aap ke google Account me save rheta hai. Aap jab chahe apne google account ke jariye data ko apne Mobile me store kar sakte hai.

Agur aap ka mobile phone reset ho jata hai to aap apne google account ke jariye sara data recover kar sakte hai. Iske liye aap niche bataye jane wale process ko follow kare.

* Sabse Phele aap ko Apne Mobile Phone ke setting me jaana hai.

* Ab aap ko Asse ka option dikhega aap us option pe click kare or scroll down kare.

* Aap ko ab backup & reset ka option dikhega aap uspe click kare.

* Aap Backup ke option pe click kare agur ab aap kuche setting karna chahte hai, to aap kar sakte hai. Jaise aap apne pasand ke apps ka data daily backup ke liye auto select karna chahte hai, to aap uska bhi setting kar sakte hai.

* Ab aap keg mail Id pe daily backup milega. Aap chahe to khud se bhi backup le sakte hai. Is ke liye aap ka gmail Id Sync hona chahiye.

Dosto ye method aap Reset karne se phele use kar sakte hai. Backup liye bger reset karde fir aap purana data ka backup lena chahe to nhi mil payega. ISke liye aap Second Method ka use kare.

2. Second Method

Dosto agur aap ne galti se bina data ka backup liye hi reset kar diya hai, to uske liye aap ye second method ko thik se follow kare.

* Sabse Phele aap Gihosoft Android recovery software app ko Download karke install kare.

* Ab aap ko Open kare or Program ko run kare or aap data ko select kare jo data ko aap recover karna chahte hai.

* Ab aap Mobile Phone me USB debugging on karke mobile ko usb cable se connect karde. Iske baad start button press karde.

* Ab aap ka mobile phone scan hona start ho jayega. Scan complete hone ke baad aap ko lost data show honge, Ab aap jis data ko recover karna chahte hai use select kare or Recover pe click kare.
Dosto aap is trhe se es software ke help se data ko recover kar sakte hai. Isme aap ko koi bhi dikat nhi aayega. Lekin aap ab ek chij ka dhyan rakhiye ki aap hmesa apne data ka backup lete rhe, ta ki aap ko kabhi bhi problem ka samna n karna pade.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Factory Reset karne ke baad Mobile Data Kaise Recover kare post pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko ye post pasand aaya ho ya ye Post aap ke liye helpful hoto aap is post ko apne Friends or Relatives ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap is post pe comment jarur kare mai aap ka jarur help karunga. Aap hmare Sath jude rhene ke liye social Media Page or Group ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye bhi Padhe.
 * Mobile Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye
* Top 8 Best Mobile Selfie Android Apps 
Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare Factory Reset Karne Ke Baad Mobile Data Kaise Recover Kare Reviewed by Rishav Rai on October 25, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.