Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips. Jaisa ki aap ne ise Phele kai Social Media Network pe Post Share karne ke baare me suna hoga. Aaj hm Instagram pe Website Promote karne ke baare me jaanege. Google+, Facebook or Twitter se Related or bhi kai Social Media Network hai. Jise pe Hm apne Blog ko Promote kar sakte hai. Vo bhi bina kisi Problem ke. Yakin mane Friends Social Media Network Aap Website ko Search me Lane ke liye Bhut jada help karta hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Instagram me aap Sirf Image or Alphabet hi type kar sakte hai. Aap kisi bhi Parkar ka Website link share nhi kar sakte hai. Agur hm Image Published kare Instagram me to hme Clicks bhi Best nhi miltra hai. Ise chij ko Jaanne ke baad aap ko lge rha hoga ki fir hm apne Website ko Kaise Promote karenge. Or bhi kai Tarike hai Instagram pe Blog Promote karne ke. Hm es Post me Instagram me Website ko Kaise Promote kare ke baare me mai aap ko Full Knowledge dunga aap ko bs Mere btayegye gye Step se Apne Work ko Maintain karna hai.

Instagram Pe Website Promote Kaise kare

1. Instagram Kyo use kare:- Bhut se Blogger Instagram Pe Website Promote nhi karte hai. Kuki Intagram pe hm kisi bhi Parkar Website Link Share ya Promote nhi kar sakte hai. Lekin Friends jaruri nhi ki aap ko Website Promote karne ke liye sirf Link ki hi jarurat hai. or bhi kai tarike hai. Instagram pe Website Promote karne ke. Log Instagram pe Image ko Bhut share karte hai. Kai Person Image Click karane ke bhut soukhin hote hai. jo Instagram pe Photo Share karna bhut jada Pasand karte hai.


Statista Website ne Instagram ko lekar kha hai ki Instagram pe 800 Million se bhi jade User hai. Jo ki Instagram pe Active Rhete hai. To fir aap Soche sakte hai ki agur aap Instagram pe Apna Website Promote karte hai, To aap ko Kitna Profit hoga. Ise liye Aap Instagram ko Apne Website Promote ke liye use kar sakte hai.

2. Complete Your Profile:- Aap Sabse Phele apne Profile Details ko Thik kare. Aap jo bhi Name rakhe vo soach samajh kar rakhe.  Apne Website se milta julta hi rakhe ya fir aap apne Original Name bhi rakh sakte hai. Jise pta chale sake ki aap ke Profile me konse Images Milenge jise aap ko Views or Click mil sake. Agur aap Facebook, Google+ or Twitter me jo Profile name rakhe hai. Aagur aap vo rakhna chahte hai. To bhi aap rakh sakte hai. jise aap ke followers ko or aasani ho.


Aap jo bhi Profile me Image Lagaye use thora Dhyan se lagaye ta ki use dekhne pe pta chale ki aap ke Instagram Account kise chij se Related hai.Aap apne Profile ko thik se Maintain kare ta ki Aap ka Profile dekhne ke baad pta chale sake ki aap ka Profile kise chij se Related hai. Aap jab apna Profile Description likh rahe hai. Tab aap apne Profile Description me Apne Website ka Link type kar sakte hai.

3. Image Uploding System:- Ab aap ne apne Profile ko Thik se Maintain kar liya hai. Ab aap ka Instagram Account me Post Published ka Kaam Start karna hai. Aap ek chij ka dhyaan rakhe Aap jo bhi Post Published kar rhe hai. Vo aap ke Website se Related hi ho. Ta ki aap ko Views Mile sake or aap ka Website Promote ho sake. Aap apne Account me Faltu ke Image Published n kare nhi to aap ko Problem ho sakta hai.

Jaruri nhi ki aap ko Apne Website Post ko Promote karne ke liye New Image Bnane ki jarurat hai. Aap Apne Post me jo Main Image Use karte hai. Aap use bhi Instagram me Publish kar sakte hai. Bs dhyan rhe ki vo Image or kisi ka Use Kiya n ho. Aap ke khud ka Image ho. Aap Jabhi bhi Post Published kare use thik se dekh le ki vo image se pta chale sake ki aap ke website ka kya name hai. or use pe aap ne konsa Post Published kiya hai.

4. Post Publish Scheduling:- Aap Apne Post ko Published karne ke liye ek Time ko Choose kare. Aap Dhyan rakhe aap ka Jo Post hai. Vo Ek hi Time Pe Published ho Matlab ki Aap ek Perfect time Choose kare. Or Fir Daily Usi Time pe Post Ko Published kiya kare. ta ki aap ke Folowers ko aap ke Published kiye Post ek Time pe mil sake.


Kuche blogger Post ko Share karne ke liye kuche time tk bhut mhenat karte hai. Fir vo Post ko Share karna chode dete hai. Jise unko firse Traffic me Problem aane lagta hai. Aap Instagram me apne Post ko Image ke Jariye Share kare aap bhut hi Best Profit milega. Scheduling se Post Published karne ke Liye Automatic Published karne ke liye Software ka use kar sakte hai. Jise aap ka Post Set kiye time pe Automatic Published ho jayega.

5. Meet of Online:- Aap ko Apne Social Media Network pe Visitors ke Sath Online Chat karna chiye ya Unse aap ko hmesa apne Contact me rakhna chiye jaise aap apne New Post ke Baare me ray le sakte hai. Ki Aap Next Post kise chij pe Published kare. Aap ko Apne Visitors ke liye Thora Social Media Network pe bhi Time nikalna chahiye jise aap unke Problem ko Jaan sake.

Aap Agur Online Apne Followers ka Help karte hai, To Yakin maniye aap Ke Visitors bhut hi tezi se badhenge. Aap ko Week Ke 1Day Comment ke Reply dena chahiye agur aap ke Pass Time nhi hoi to time nikalna chahiye. Agur aap ke pass Time hai, To aap Apne Anusar jo Comment aap ko lgte hai. Iska Reply Aap ke Visitors ke liye faydemand hai, To aap uska Reply jarur de.

Ye the Friends mere kuche Point Instagram pe Website Promote karne ke Kuche Successful Point aap in point ko use kar apne Visitors grow karva sakte hai.

Ok Friends Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips Post me bs itna hi agur aap ko Post pasand aaya hoto Please aap es Post pe Comment jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka Koi Question hoto Please aap mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka pura help karunga. Hmare Social Media Network Ko like, Share or Join jarur kare.


Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips Reviewed by Rishav Rai on December 29, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.