Hi Friends
Aaj hm es Post me jaanege ki hm Apne Youtube Channel ko
Adsense se Monetize kaise kare. Jaanne ke liye Friends aap es Post ko Pura or
thik se Padhe. Ise phele bhi ye post ko kai logo ne likha hoga par mai aap logo
ko es post me bhut hi aasan tarike se btaunga jise aap apne Youtube Channel ko
Bhut hi aasaani se Monetize kar sakte hai. Aap ye To jaante hi honge ki Youtube
se hm Paise kma sakte hai. Or Friends bhut se Youtuber Paise kama bhi rhe hai.
Youtube se Paise kamane Ke liye hme Youtube pe Video Upload
karna hota hai, or Aap dhyaan rakhe aagur aap Video se Paise kamana chahte hai,
To vo video Se Related Koi bhi chij Copy ki hui n ho. Youtube CopyRight Video
pe aap ko Paise nhi deta hai. Or Account disable bhi kar sakta hai. es liye aap Youtube Pe kisi bhi parkar ka Wrong trick n use kare nhi to aap ko Problem aa sakta hai.
Aap Es Post ko thik se Padhe taki aap thik se Monetize On
kar sake aap ko kisi bhi parkar ka problem n ho.
* Without Adsense se Paise kamane ke 5Tips
* ADSENSE PE ACCOUNT KAISE BANAYE
* Sabhi Post ke Bich me Adsense Ads Code Kaise Lagaye
* Without Adsense se Paise kamane ke 5Tips
* ADSENSE PE ACCOUNT KAISE BANAYE
* Sabhi Post ke Bich me Adsense Ads Code Kaise Lagaye
Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare.
Ab Friends aap mere btaye jane wale Step ko Thik se Follow
kare.
Step1:- Sabse Phele aap www.youtube.com
website pe jaye vha pe aap login kare. Agur nhi pta ki Youtube Channel kaise
Create karte hai, To yha pe Click kare. or ek youtube channel create kare uske
baad aap Login kare.
Step2:- Ab aap ko Sabse upar Right Side me apne Profile pe
click karna hai. Fir aap ko My Channel ka Option de rha hoga aap vha pe Click
kare.
Ab friends aap ke Saamne Video Manager ka Page open ho jayega usme aap ke
Upload kiye gye Sare Video Show ho rha hoga.
Aap ek chij ka or dhyan rakhe aap ke Channel pe 10000Views
hone jaruri hai. Agur aap Monetize karna chahte hai to, Agur aap ke channel pe
10000Views nhi hai, To sabse phele aap apne 10000Views pure kare. fir aap aage
ka Process Follow kare.
Step4:- Ab aap ko Channel pe Click karna hai. Aap ko Image
ke Trhe Page open hoga aap Monetize pe Enable ke button pe click karde. Mera
10000Views se km hai es liye mera Enable ka Option nhi de rha hai.
Step5:- Enable pe Click karne ke baad aap Monetize page pe
aa gye honge ab aap ko Start ke Button pe Click karna hai.
Ab aap ke Channel ko Check kiya jayega. Agur aap ke video or
Channel pe koi Problem nhi hoga to aap ka Youtube Channel 3Days ke under Approve
kar dega.
Step6:- Ab aap firse video manager pe chale jaye. Vha pe aap
ko ab dollar ka sign show ho rha hoga, lekin abhi aap ka Monetization sirf
Enable hua hai. Abhi adsense se connect nhi hua hai.
Step7:- Ab aap ko Channel pe Click karna hai. Fir aap ko
Monetization ka option dikh rha hoga vha pe click kar de. Or Next pe click
karde.
Step8:- Ab aap ke
saamne Adsense se Connect karne ke liye page open hoga. Agur aap Adsense
Account Create kar liye hai, To Yes Kare ya fir Agur Adsense Account Create
karna hai. To Create New Account pe Click kare. Mai Yes kar deta hu mere pass
Adsense Account hai.
Step9:- Ab aap ko apna Adsense account ka Id or Passwortd
fill karna hai. Or Login karna hai.
Step10:- Ab aap ke saamne Next Page Open hoga usme aaap ko Apna Youtube Channel Link paste kare
ya fir vo khud hi fill ho jayega.
1. Fir aap ko Content Language select karna hai.
2. Ab aap Continue pe Click karde.
Step11:- Ab aap ke Saamne Forum Open hoga aap us Form ko Thik
se bharde vo jo bhi jankari mange use thik se bhare. Koi bhi Galat Information n
bhare.
Jab aap Payment Mangavayenge to Aap ke Diye gye Address pe
Verification Code aayega jise aap ko apne Adsense Account me fill karna hoga
uske baad se hi aap payment apne Bank Account me Transfer kar sakte hai. es
liye form thik se bhare or Submit pe Click karde.
Jab aap Submit My Application pe Click karenge aap ka
Youtube Channel Monnetize ho jayega or aap
ka Earning Start ho jayega. Ab aap ke Video pe 24Hours ke under Ads Show hone
lagega ab aap Youtube se Paise Earn karne lagenge.
Ok Friends Youtube Channel ko Adsense se Monetize kaise kare
Post me bs Itna hi Agur Friends aap ko ye Post Ascha lga hoto Please aap es
Post pe Comment jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho
ya aap ka koi Question hoto Please aap Mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka
pura help karunga. Or Hmare Social Media
Network ko Like, Share or Join Jarur
kare.
Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare
Reviewed by Rishav Rai
on
December 13, 2017
Rating:
No comments: