Mutual Funds me Paise kaise Invest kare

Hi Friends,


Aaj hm es Post me jaanege ki Mutual Funds me Paise kaise Invest kare. Ye bhi ek Saving Account ki trhe hi hota hai. Par isme aap ko apne Anusar Invest or Percentage lene ka Mouka milta hai. Jo Bank ke Apne Saving Accounts hote hai. usme aap ko Bank decide karta hai. Ki vo aap ko kitna Percentage dena Chahta hai. Par Friends Mutual Funds me aap ko khud se Percentage lene ka Pura hak hai. Aap ko apne liye Future Time ke liye Paise Saving karna jaruri hota hai. Ta ki aap ko Baad me Paiso ki jarurat pade to aap in paiso ka profit le sake.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Aap ne Abhi tk Bhut se Company ka Add dekha hoga ya Aap ne suna hoga Ki aap es Company me Paise Invest karo aap ko Profit milega. Mai aap ko yahi Suggest karunga ki aap Paise Lagane se Phele Check karle ki Uska Performance kaisa hai. Uske abhi tk Kitna % Profit apne Invester ko Diya hai. Sab kuche Check karne ke baad hi aap Invest kare.


Mai aap ko Suggest karunga SBI Mutual Fund me Paise Invest karne ko Daale. Maine Eska Performance Check kiya hai. Abhi tk isne kabhi Dhokha nhi diya hai. Ye kjha pe Bhi Invest karte hai. Profit bhi hi Ascha milta hai. Isne 24% tk Profit diya hai. Maine ISme jade to nhi par Fir bhi 1Year ke Mutabik maine 12000Rs Invest kiye the jise Mujhe bhut hi Ascha Profit hua tha. Mai aap ko yha Suggest karunga ki aap Apne Paise SBI Mutual Fund me Invest kare. Aap ko  Bhut hi Ascha Result milega.

Mutual Fund Me Paise Invest Kaise Kare.

Mutual Funds me Paise Invest Karne se Phele aap Advisor se Salah  le sakte hai. Mai aap ko Suggest Karunga ki Aap koi Best Bank se Salah le Sakte hai. Maine jab apna Paise Invest kiya tha to Fir SBI Bank ke Branch Manager ne Mujhe Advice diya tha or Mai uske khene pe Work kiya tha or Mujhe bhut hi ascha Profit hua tha. Aap bhi kkoi bvhi Bank Manager se ya fir Financial Or bhi bhut se Advisor hai. jinse aap knowledge  le kar paise invest kar sakte hai.


Aap ko Company bhi bhut se mil jate hai. Jha aap khud se bhi Paise Invest kar sakte hai. Mai aap ko khunga ki Aap Mutual Funds Advisor ke Through hi Paise Invest kare. ta ki Aap ko Profit ho. Or Invest karne se Phele uska Profit Rate bhi Check kare. ki usne abhi tk kitne Percentage tk Profit Diya hai. Aap Invester ke hi jariye Paise Invest kare. Or Aap koshis kare ki Bank ke hi jariye invest kare. Kyo ki vo Bhut hi Expirence wale hote hai. Aap unke Help se Paise Invest kare.

Mutual Funds me Aap bhut hi Asche Profit le sakte hai, Or apne Paise Loss bhi karva sakte hai. Vaise to SBI Mutual Funds  Ne abhi tk to sirf Profit hi diya hai. Loss nhi diya or Umid hai. Vo Future me bhi Best Performance Dilvayega Invester ko. Aap Paiso ko Risk pe Hi lagaye or Paise Long Term ki liye hi lagaye.

Mutual Funds me Paise Kaise lagaye.

Mai aap ko yahi kahunga ki aap phele dekh le ki aap ke pass kitne Rupees Mounth me bachate hai. Fir aap vo paise Nikal le or Fir use Mutual Funds ke liye Safe karle. Jise aap ko Profit bhi hoga or Aap ko Problem bhi nhi aayega.vaise Friend Mutual Fund me Paise Vahi Invest karna jise aap ko Problem n ho agur aap ko nuksaan bhi ho jaye to. Vaise to SBI Ke Mutual Funds Wale jo Member hai. Vo bilkul dhyan se aap ke paise Invest karte hai. Baki hmare or Company ke Kismat pe Depend karta hai.

Mutual Funds me Paise Invest karne ka Kuche Condition bhi hai. jisme aap ko 500Rs ya use jaada ka Amount aap Invest kar sakte hai. Isme bhi aap ko kai System mil jate hai. Invest me aap ko 2System me 5000Rs Starting Investment Amount Ka Condition hota hai. Aap ko yha pe 2Parkar ke System hai. 1. Long Term 2. Short Term.


Mai aap ko Suggest karunga ki Agur aap ko Dar lag Rha hai, To aap Long Term me kam Paise Invest kare. Agur aap Short Term me Paise Invest karna chahte hai, To Paise Daale or Jaise hi Rate Up ho aap  use Nikal le. Jise aap ko Profit bhi ho jaye or Loss hone ka koi Dar bhi nhi.

Mutual Fund se hme Profit kaise Hota hai.

Aap Jitne Paise Invest karte hai. USke aap ko Unit milte hai. Unit Rate Kabhi Fix nhi hote hai. Inke Price Badhte or Ghatte Rhete hai. Isliye Jaruri nhi ki aap ko Hmesa Ek hi rate me Profit ho. Jaise hi Unit ka Rate Badhega aap ko Profit bhi Hoga. Jab aap Ise Sale karenge to Aap  ko Utne Paise Milenge Jitne Us Samye 1Unit ke Value honge. Marcket Unit Rate  ke Hisaab se hi Invester ko Paise Diye jaate hai. Hm Agur Koi Business Start karte hai.Usme Agur Hme Paiso Ki jarurat Hai, To Hm Invester  Dhundhte hai. Ya fir Hm apne Company ke Sale Nikalte hai. Fir Invester Sale Buy Karte hai. Or Paise hme Mil jate hai. Isi Parkar Se Ye Bhi kaam karte hai.

Note:- Aap jis Company me Paise Invest kar rhe hai uska Performance Check karle ki vo Apne Invester ko kitna Percentage Profit de rha hai. Aap jabhi bhi Paise Invest kare Phele Company ke baare me Jaan le. Paise Invest karne ke time Advise jarur le. Aap jo bhi Paise Invest kare use Long Term ke liye Invest kare. Aap kabhi bhi Jald baji me Paise n lagaye. 2 se 3 Company me Paise Invest kare. Jise Ek Company me Koi Problem aaye to aap ke Baki Ke 2Company me lagaye gye Paise Safe or Profit badhiya dede.

Ye the Kuche Mere raaye jise aap ko Padh kar kuche Knowledge mile or aap ko bhi Agur lagta hai, ki aap bhi Paise Invest karna chahte hai. To aap Apne Bank Manager se Salah le ya koi Advisor se bhi Salah le sakte hai or fir Paise Invest kare.

Ok Friends Aaj ke Mutual Funds me Paise kaise Invest kare Post me bs itna hi agur Aap ko Post Pasand aaya to Please Comment jarur kare. Friends Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya aap ka koi Question hoto Please Aap mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help karunga. hmara Social Media Network Like, Share or Join jarur kare.


Mutual Funds me Paise kaise Invest kare Mutual Funds me Paise kaise Invest kare Reviewed by Rishav Rai on December 17, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.