Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me janege Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare. Friends Kai New Youtuber ke ye Question hote hai. Ki Mai Ek youtube Channel Start karna chahta hu. Par mai kis Topic pe Karu mujhe Samajh me nhi aa rha hai. Youtube kon-kon se Topic pe Video Accept karta hai. Kis Topic se Related Youtube pe Jada Search hota hai. To dosto Aaj mai es Post me Youtube Channel Create karne se Related Aap ke Sare Question ka Jawab Bilkul Clear kar dunga.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Dosto Jab ek Youtuber Topic Choose karne me Galti kar deta hai. Fir use Ascha Result nhi milta hai. Or uske Dimag me Negative Vichar chale rhe hote hai. Jise ke kaaran mvo Youtube chod deta hai. Par Friends aap ko Esa nhi karna chahiye. Ab aap ke Pass bhut sare solution hai. Aap ko bs Thora sa Dhyaan dene ki jarurat hai. Ab Youtube Walo ne Kai asche System nikale. Aagur aap ke Youtube Channel ka Name thik nhi hai, To aap use Edit kar change kar sakte hai. Aap ek hi Gmail Id Se Kai Youtube Channel create kar sakte hai.
Friends Youtube Channel Start karne se Phele aap uske Baare me Full information check kar le ki Vo kaam kaise Karega. Aap jise Topic se Related Youtube Channel Start karna Chahte hai. Phele aap us Topic se related Youtube pe Search kare ki Unka Youtube Channel kaisa Chale rha hai. Kitne Samye me kitna Grow ho rha hai.

Youtube Channel Create karne se Phele aap Ye Check kare. Ki Aaj ke Samye me konse Topic pe jada PageViews aa rhe hai. jab aap ko Pta chale jaye to Aap Check kare ki kya aap use Topic se Related Video bana sakte hai. Aagur ha to aap banaye Agur nhi to Aap dekhe ki aap ko kise chij ke baare me jada Knowledge hai. Knowledge ke Mutabik aap ek Topic Choose kare or fir Aap ek Perfect or Ascha Ek Youtube Channel ka Name rakhe. Or fir aap Apne Topic se Related Video Daale.

Youtube Channel ke liye Topic kaise Choose Kare


Friends mai yha pe Topic ke Name btaunga ki aap kis Topic se Related Video bana sakte hai. Lekin aap Topic vahi Choose kare jise ke baare me aap ko jada knowledge ho. Kyo ki Friends ab Youtbe Chaanel pe Bhi Compedission jada hai. Kyo ki Friends ab Youtube pe Har Topic se Related bhut  sare Youtube Channel aa gye hai.

Es liye aap Ko rukna nhi hai aap bs Mhenat kare thik se Aap ko Success Bhut jaldi mil jayega. Kyo ki Friends Phele hm kuche bhi daal dete the Views or Earn bhut jaldi ho jata tha lekin ab aap ko Kafi Problem ke Sath Work karna hoga. Jab tk aap ke 10,000 Views nhi ho jate hai.

* Gaming:- Friends Aap agur Game ke Soukhin hai, To aap Game se Related Video bana sakte hai. Aap kisi bhi Game ko Lekar uska Review de sakte hai.  Koi mission ke Baare me bta  sakte hai. Ki aap Mission ko Kaise Complete kare. Aap Game ke Cheat code bhi bta sakte hai. Or bhi kai Chij ke baare me aap Discuss kar sakte hai Game se Related Topic pe.


* Fashion:- Agur Friends aap Fashion me Jada Soukh rakhte hai, To aap Fashion ke Topic pe Video bna sakte hai. Jisme aap Design ya fir Makup or Bhi kai chijo ke Baare me bta sakte hai. Aap Fashion se Related Review bhi kar sakte hai. Kisi Product ko lekar. Jise Aap ko Jade Views or Money mil sakte hai.
* Sports:- Aap Agur Sports ke Baare  me Jada Knowledge rakhte hai, To Aap Sports se Related bhut sare  Video bna sakte hai. Kisi bhi Khel ke baare me Knowledge de sakte hai. ki es Khle ko kaise khelte hai. Ya fir aap ko Sports me Bhi kai Product mil Jate hai. Jise ka Aap Review de sakte hai. Es topic pe bhi aap ko Bhut se Views Or Money milne ke Chance hai.

* Kitchen Items:- Aap agur ke Cooking ke Soukhin hai, To ye Topic aap ke liye hi hai. Aap es Topic pe bhut sare Video bna  sakte hai. vaise ab dhire-dhire es topic pe bhi Channel jade hote ja rhe hai. lekin aap chahe to es Topic pe bhi Video bna sakte hai. Aap ko Safalta jarur hasil hoga.

* Commedy:- Friends vaise to Commedy Topic pe bhi Bhut sare Youtube channel hai. Par aap ka  kuche best hai, To comedy topic esa topic hai. Jispe aap ko Profit Jarur milta hai. Kyo ki Commedy video sare visitors dekhna pasand karte hai. Aap ko agur es chij ke baare me Knowledge hai, to aap bhut paise Kma sakte hai.


* Editing:- Aap ko Agur kisi bhi parkar ka Editing ka soukh hai. To aap use se Related Video bna sakte hai. jaise How to edit video, How to edit image or bhi es parkar ke kai video bna sakte hai. Editing Topic pe bhi aap kafi jade PageViews le sakte hai.

* News:- Aap Chahe to News se Related bhi Video bna sakte hai. Jispe Aap bhut sare Video bna sakte hai. Vo bhi bina kisi muskil ke Topic bhi News se le sakte hai. Ya fir aap apne Najdik ho rhe hadse ke Baare me Youtube pe bta sakte hai.

* Technology:- Agur hm baat kare technology Topic pe to Friends es Topic pe To Youtube Channel pe Bhare pade hai. Par es Topic pe Growth bhi bhut jaldi hota hai. Agur aap esme kuche new Knowledge de sakte hai, To aap es Topic ko Choose Kare.

* Tips & Trick:- Agur Friends aap ko Kisi bhi Chij ko lekar Tips & Trick ke baare me ascha knowledge hai, To aap Tips & Trick se Related bhi Video bna kar Youtube pe daal sakte hai. es Topic pe bhi aap ko Ascha Profit ho sakta hai.

* Health:- Friends aap ko Agur Health se Related thora bhi Knowledge hai, To aap jaldi se Es Topic pe Video daalna suru kare kyo ki friends aap ko  Es Topic pe Bhut sare views or Money mil sakta hai. Kyo ki Friends es Topic pe sabhi Video logo ke liye helpful rheta hai. or Log bhi dekhna pasand karte hai. kyo ki sabhi apna Health thik rakhna chahte hai.

Ye the friends kuche Topic ke name aap ko jis topic ke baare me jada gyan ho aap us topic pe video bna kar youtube pe daalna start kare. or Success ke sath Paise bhi kamaye.

Ok Friends Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare Post me bs itna hi. Agur friends aap ko ye post ascha lga ya aap ke liye ye Post Helpful rha hoto Please aap es Post pe Comment jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka Problem ho ya aap ka koi Question hoto Please aap Mujhe Comment jarur kaare. Mai aap ka Pura Help karunga. Or Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare
* Youtube video Ka Views kaise Increase kare.
* Online Pan Card ka Status Kaise Check Kare
* Aadhar Card ka Status Kaise Check kare.
* Youtube Video ke Liye Custom Thumbnail kaise Enable Kare 

Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare Reviewed by Rishav Rai on October 19, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.