Youtube Video Ke liye best Intro Video Kaise Banaye

Hello Friends,

Aaj hm es post me jaanege Youtube Video ke liye best Intro Video kaise banaye. Youtube Video ke liye best Intro Video banana bhut jaruri hai. Ye jo mai aap ko tricks btane ja rha hu youtube video ke liye intro video banane ke liye ye method bilkul free hai. Intro video hmare youtube video ke start hone se phele hona bhut jaruri hai. To chaliye Jante hai ki Youtube Video ke liye best Intro Video kaise banaye.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Intro video se pta chale jata hai ki video kitna best Chaanel se Reliase hua hai or kisne kiya hai. Intro Video me aap ko apne channel or aap ke channel pe kis chij ke bare me jada video publish hote hai uske bare me us video me hota hai. jise visitors ko pta chale sake ki aap ke youtube channel se kis chij ke bare me video published hota hai.

Youtube Intro Video Kya hai ?

Agur aap youtube channel chalate hai to aap ko apne youtube video se phele Intro video use karna chahiye ta ki aap ke video ka look best lage. Intro video aap ke Channel ke Introduction provide karne ke liye hota hai ye aap ke channel me kam se kam 10sec ya fir 15sec se jada nhi hona chahiye.

Agur aap Youtube se paise kamana chahte hai to aap ko apne video quality ko increase karte rhena chahiye or uske sath apne sound ko bhi baki to aap ko pta hi hai ki Content jitna best hoga aap utna jada paise kamayenge or aap channel bhi utna hi famous hoga.

Video ko agur aap ek ascha look dena chahte hai to aap apne video se phele Intro Video ka jarur use kare. Ta ki aap ke visitors aap ka video start hone se phele intro video dekhe to unhe Accha lage or unhe pta chale sake ki ye video kha se Published hua hai.


Intro video banane ke liye bhut sare Website or Software hai jo aap ko free me ya fir paise me aap ko intro video create karne ka facility provide karta hai. Mai aap ko sabse best or aasan tarike se Intro video banane wali website ke bare me btane ja rha hu jiske help se aap intro video bana sakte hai.

Youtube Channel Video ke liye Intro Video Kaise Banaye.

Step1:- Sabse Phele aap ko panzoid.com ke Website par jana hai. Vha pe aap ko bhut sare Intro Video milenge Edit ke liye aap unmese koi ek select kare.

Step2:- Ab aap ko Open In Clipmaker par click karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap ke samne ek new page open hoga usme aap ko 3 Step or follow karna hai. Aap image me dekh sakte hai.
suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele aap ko Object pe click karna hai.

2. Ab aap ko Add Object pe click karna hai.


www.suryarishavrai.blogspot.com

3. Aap ke Samne kuche option show hoga usme aap ko Text ke option ko select karna hai.

Step4:- Ab aap ke samne Text ke liye Edit Ka Option Open hua hoga Text Edit ke liye aap Image Ko Follow kare.

suryarishavrai.blogspot.com

1. Aap ke Samne jo bhi option hai aap scroll down kare jha pe bhi Text likha hoga aap us Option ko edit kar job hi aap name likhna chahte hai likh sakte hai. Aap image bhi dekh sakte hai. lekin maine sirf ek hi text ko edit kar dikhaya hai.

2. Ab aap job hi Text me likhna chahte hai likh de.

3. Ab mai samjhta hu ki aap ne sare text ko edit kar apne anusar se type kar liya hai. Ab Aap ko side me Play ka Button Show ho rha hoga aap use Play kar check kar sakte hai, ki aap ka editing best hai ya nhi agur aap ko firse koi word ko change karna hai to aap Uske text ko choose kar edit kar sakte hai or kjab aap ko ye lge ki aap ne ek perfect Intro video bna liya hai to aap ko 3 option pe click karna hai. Click karte hi aap ka Intro Video Download ho jayega.


Download karne se phele aap apne video ko bhut hi thik dhang se dekh le ta ki aap ko baad me problem n aaye. Aap ko isme bhut trhe ke Intro video mil jayega. Aap thorsa sa dusro ke bhi intro video dekhle jise aap ko kuche Idea mil jaye ki aap ko kaise Intro Video banana hai.

Ok Friends mai umid karta hu aap ko Youtube Ke liye Best Intro Video Kaise Banaye post aap ko pasand aaya hoga. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto Please aap Comment jarur kare mai aap ka pura help karunga or Apne Friends ke sath bhi ise share kare. Hmare Social Media Network ko bhi aap Jarur Like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Gmail Id ka Password Secure hai ya Nahi kaise Jaane
* Twitter Cards kya hai or ise kaise use kare 
* Instagram Pe Website Promote karne ke Successful Tips 
* Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare

Youtube Video Ke liye best Intro Video Kaise Banaye Youtube Video Ke liye best Intro Video Kaise Banaye Reviewed by Rishav Rai on June 29, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.