Punjab Me Electricity Bill Kaise Pay Kare

Hi Friends,

Aaj ke es post me hm janege Punjab Me Electricity Bill kaise Pay kare. Jaisa ki aap jante hi honge ki aaj kal bhut se third party Application aa chuke hai Electricity Bill Payment karne ka Facility le kar jo ki aap ko Payment Karne ka facility Provide karte hai vo bhi bilkul free or kai Application to aap ko cashback bhi provide karte hai. Par aap dhyan rakhe ki Jo Cashback de rha hai vo ek best company ho ta ki aap ko kisi bhi parkar ka nuksan n ho.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Kuche Campany to aap ke personal data ko dusre company ko sell bhi karti hai or uske badle me bhut sara paise bhi leti hai. Is trhe ke company ke sath aap len-den n kare to hi aap ke liye best hai. Lekin ab har ek jghe froud ho rha hai. kuche company hi apne Visitors ke data ko safe rakhte hai. Is liye aap kabhi bhi Koi bhi work uske professional website se hi kare. Isliye aaj mai aap ko is post me Punjab ke electricity website se kaise Payment Kaise bhare uske bare me btaunga.

Punjab me Electricity Bill kaise Pay kare.

Punjab me Electricity pay karne ke liye aap ko ise ke Official Website pe jana hai jaane ke liye aap apne Bill page pe niche dekhoge to aap ko link mil jayega aap use link ke jariye website tk ja sakte hai.

Step1:- Sabse Phele aap Punjab Electricity bill pay ke website pe jaye jane ke liye aap yha pe click kare.


Step2:- Ab aap ke samne ek new page open hoga aap ko usme first number pe apna Bill Account Number bharna hai, bharne ke baad aap  Submit pe click kare.

Step3:- Ab aap ke samne page refresh ho kar open hoga aap ko ab vha pe Make Payment Ke Option pe click karna hai.

Step4:- Ab aap  ke samne Payment ka option ayega ab aap ko vha pe apna Email Id, Mobile Number or aap ka jitna Amount hai vo aap fill karde.

Step5:- Detail Fill karne ke baad aap ko Payment ke do option milega. First Option Bill Desk ka hai or Dusra Option Pay u Money ka agur aap ke pass pay u money ka account hai to fir aap pay u money option Select kare. Nhi to aap Bill Disk Select kare.

Step6:- Ab aap ke samne payment ke liye method show honge ki aap kis chij se payment karna chahte hai Net Banking, Credit Card ya fir Debit Card. Mai aap ko Salah dunga agur aap ke pass Net Banking hai to aap Netbanking use kare.


Jaise hi aap Netbanking pe click karenge aap redirect ho jayenge Net Banking Website pe Ab aap apna user id or Password fill kar de or Payment Check karle ki jitna aap ka Bill aya hai utna hi hai. Agur Payment Value Sahi hai to aap 2 Time Confirm karde Payment ke liye jaise hi aap confirm karenge payment aap ke account se cut jayega or aap ka bill Pay ho jayega.

Aap bs Mera btaye gye Step ko thik se follow karna hai. Ta ki aap bhut hi asani se apna Bill Payment kar sake. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem hota hai to aap mujhe comment kar sakte hai.

Ok Friends Punjab me Electricity Bill kaise Pay kare post me bs itna hi. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap is post me comment jarur kare mai aap ka pura help karunga. Agur aap ko ye post pasand aaya hoto aap is post ko apne friends ke sath bhi share kare. Or hmare Social Media Network ko bhi like, Share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Wordpress Website ka Backup kaise le
* Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare
* Jio Coin kya hai? Jio Coin se Related Full Information

Punjab Me Electricity Bill Kaise Pay Kare Punjab Me Electricity Bill Kaise Pay Kare Reviewed by Rishav Rai on June 25, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.