Blog pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye

Hi Friends
 
Aaj hm es Post me Baat karenge Blog Pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye or Iske Kya Nuksaan or Faayde hai. Dosto kai Blogger Free theme or Template use karte hai. Mai bhi karta hu kuche to majburi me karte hai Free Theme or Template use or Kai Paise Bachane ke Chakar me. Par Friends Eske kai Nuksaan hai. vaise Friends koi bhi Person Aagur Free Me kuche dede to Hm usko lene ke liye Paresaan ho jate hai. Dosto kai bhi company ya koi bhi Person aap ko Free me Kuche nhi Deta aagur vo deta bhi hai. to uske piche uska koi matlab jarur hota hai. Kyo ki Friends Free me Kuche nhi Milta hai.
www.suryarishavrai.blogspot.com

Hme Apne aap ko or Apne Data ko Save rakhne ka koshis karna chahiiye. Kyo ki dosto jaisa ki aap log jaante hi honge ki abhi jio ko lekar bhut hi jada hala hua tha ki Jio ke jo customer hai. uske data chori hoi rhe   hai. kyo ki friends free ka chij vaise bhi koi ne koi to maksad jarur hota bhai. Es liye Mai aap ko yahi Kahunga ki aap Free ke Chij ko thik se Check karle. Fir uska use Apne Kaam me le. Bina Security Ke Kisi bhi Aanjan chij ka use kare.

Free Theme Apne Blog me Kyo n Use Kare.

Dosto Hm jante hi hai. ki Free ka chij kitna ascha lagta hai hme Blogging me 80% Blogger Free Theme / Template ka Use karte hai. Hme nhi pta hota hai ki Hm Ye kya kar rhe hai. Aagur vo template Koi Galat Person ne Tyaar kiya hoga to use hme or Hmare Data pe Galat aasar Pade sakta hai. Ese Hmara blog or koi bhi Control kar sakta hai.

Hm Koi bhi Platform Ka use kare Bloging karne ke liye aagur hm koi Galat Theme ka use karte hai, to vo website kabhi bhi hack ho sakta hai. Aagur vo galat Template hoto. Kai baar Buy kiye gye Original Template ke Jghe Pe Duplicate Template Bhi mil jata hai. Es liye ye bhi sochana galat hai. ki Hmara Template Buy Kiya hai, to vo Hack nhi hosakta. Dosto maine kai baar estrhe ke case dekhe hai. Maine kai baar dusre websit pe Comment bhi Padha hai. Es liye Temlate ko ek Baar dusre Website pe Check kar le. Fir apne Original website pe uska use kare.


Aap ko Malicious Code se Bachana chahiye kyo ki ye Code hi aap ke Websiste ke Data ko Throw karane me Hacker ka help karta hai. Or Kai Free Template aap ke Website ko Google pe Search Enginee pe aane se rokta hai. Matlab Ki Website ko Seo hone se Rokta hai. aap ke Post me Koi Problem nhi hota hai. vo bilkul seo Friendly Hota hai. Lekin fir bhi vo Rank nhi karta hai. eska Yahi kaaran hai. ki aap ke Template me Koi na Koi Problem jarur hoga.

Free Theme / Template Use karne Ke Profit or Lose

Dosto Free Theme / Template Use karne Ka koi khas fayda nhi hai. free Theme / Template use karne se Sirf Aap ke Money Bachenge. Par aap ko Free Theme use karne ke bhut jade Nuksaan jarur hai. jiske baare me ab hm baat karenge kon-kon se Nuksaan hai.

1. Template Code Change N Hona:- Dosto Kai estrhe ke Template  hai. jin me aap kisi bhi parkar ke Coding ko Edit nhi kar sakte hai. Jise Us Template me kai Use N karne wale Coding bhi hoti hai. Jinhe aap Edit kar Remove nhi kar Paoge. Jise aap ke Website ko Search Enginee me Aane me Problem hota hai. Or aap ke Website Speed bhi Slow ho sakta hai. google ka bhi khena hai ki aagur aap Mobile Frenkly work nhi karoge to aap ke Website ka Ranking Slow Ho jayega. Aap ek Chij ka Khas tor se dhyaan rakhe ki aap jo Template use kar rhe hai usme Skima.org Tags hona jaruri hai. Par ye Tags Kuche Free template me milte hai. Nhi to ye Sirf aap Ko Paid Template me hi Milega.

2. Blog Safe n Rhena:- Dosto Template or Theme Best n hone se aap ke blog Ka Future Secure nhi rhe sakta hai. Aagur aap koi Galat Template ka Use karte hai, to aap Ke Website ka Control Or Kisi ke Hath me Ho Sakta hai. Jise Aap ka Website ek parkar se Hack maana jata hai. kai baar ye Aap ke Visitors ko bhi Problem Pahucha deta hai. Es Liye aap Free or Kisi ke diye hue Template ko Bhut thik se Use karna chahiye.


3. Earning Ka Chori:- Dosto aap Aagur Free theme use karte hai. to aap ke Website ke help se aap ka Earning bhi Chori ho sakta hai. Dosto Mai aap Ko Salah dunga ki aap Mounth me 1Time ya Week me 1Time apne Template or Apne Website ko Check karte rhena chahiye. Aagur aap ko lagta hai ki Aap ke Template me Ya Aap ke Website pe Kuche Galat Activity ho rha hai. To aap Apna Turant Template Change kare ya use koi Professional Blogger Ko Dikhaye.

4. Traffic ki Chori:- Galat Template Coding ke Kaaran aap ke Traffic ka bhi chori  ho sakta hai. or Es Ke Baare me Aap ko Pta bhi nhi Chalega. Aap ke Website Pe koi bhi Extra Link add Kar sakte hai. jise aap ke Website pe Jaane ke bjaye dusre ke website pe chale jate hai. or ye Activity Ke baare me Aap kop ta bhi Nhi chale pata hai. Esse Bachane ke liye aap Apne Visitors se Hmesa Comment ke Jariye Activity pe Nazar rakh Sakte hai.

Ok Friends Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye Post me Bs Itna hi Umid karta hu aap ko ye Post Pasand aaya hoga. Aagur aap ko ye post pasand aaye to please Comment kar ke jarur bataye. Aagur aap ko kisi bhi Parkar Ka Problem ho ya aap ka koi question hoto Please Aap Mujhe Comment kare. Or Hmare Social Media Network ko Like or Join Jarur kare.

Blog pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye Blog pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye Reviewed by Rishav Rai on September 14, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.