Youtube video Ka Views kaise Increase kare.

Hi Friends,

Aaj hm es Post me baat karenge ki Apne Youtube Video Ko High Rank or Uske Views kaise Badhaye. Dosto ye Topic maine es liye likhna chaha kyo ki Mujhe se ek Youtber Facebook Friends ne Mujhse pucha ki bhai Mai Apne Youtube Channel pe Video to daalta hu par Video Pe Pageviews nhi aate hai. To fir mainr Question kiya ki kitne din hue aap ko to unhone kha ki Abhi 1Month hue hai. To friends mai aap logo ko bta du ki jaruri nhi ki aagur aap ke friends ka youtube Channel 10Days me popular ho gya to aap ka bhi ho jayega. Aagur friends aap aagur es post ko padhe to please Gusa n hona Maine es liye aap jikr kiya kyo ki aap ne kha tha ki jarur Reply karna.or mujhe bhulna mt to mai es trhe se aap ko kabhi nhi bhulunga.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Mai aap ko or jo new Youtuber hai. Unko es ke bare me btaunga halaki mai koi Professional Youtuber nhi hu par fir bhi jha tk mujhe pta hai. Vaha tk mai aap ki Help karunga kyo ki bhut se youtuber  1 se 2 mounth blogging karte hai fir ascha response n milne ke kaarna vo Youtube or Blogging Chod dete hai. To dosto aap ye post pura thik se padhe ta ki aap ko Trick ke bare me or Youtube pe Ascha Response pane me aap ko bhut help karga. To frinds ab hm chalte hai apne topic ki or.

Youtube video Ka Views kaise Increase kare.

Dosto eske kai Tips & Tricks hai mai aap ko Kuche jaruri or Mere Sath hue Tricks ke bare me baat karunga. Dosto vaise sab ke pass koi na koi Trick jarur hota hai. Bs hme use karna or uske bare me pta hona chahiye. Dhyan rhe aap jo trick use kar rhe hai uske bare me pta hona chahiye.

      1. Title:- Dosto hmare video ka sabse phele main chij hota hai Title. Dosto aap ka aagur main chij Title name sahi nhi hoga to log search karenge to aap ka video aayega nhi to fir aap ko video bhi viral nhi hoga. Aap apne Video ka name Thora badhiya rakho or aap ka video jis topic pe ho usi se Related name bhi rakho. Jise visitors ko problem bhi n ho or aap ka Youtube channel bhi Pasand aaye. Aap apne video ka Title Thora lamba rakhne ki koshis kiya karo ta ki koi aap ke title se related koi word search karta hai. To aap ka bhi video uske samne aayega. Title Keyword best hona chahiye.  Aap koi bhi video ka title rakhne se phele ek baar youtube pe Search bhi kar ke deklo ki use Related konse Title aa rhe hai. Jiske Views jade ho usi se Related koi Title dedo. Jise aap ko video fir bhut jaldi viral ho jayega.

      2. Thumbnail:- Dosto aap aagur Youtube pe Video daal rhe hai. To aap apne Video ka Thumbnail thora best Daale ta ki Logo ko aap ka Thumbnail dekh kar ke bhi andaja lge sake ki aap ke Video me kya hoga. Dosto 2017 me Youtube Apps use sabse jada hua hai. Or Youtuber bhi kafi jade bane.Kuche Jio karke Vaise dekha jaye to sabse jada yogdan Jio Company ka rha hai 2017 me. Dosto Aagur koi visitors Koi video Search karta hai to sabse phele aap ka Video Title or Thumbnail hi Show hota hai. Es liye aap ka title or Tumbnail aagur sahi hoga to Visitors aap ke Youtube video ko open karne se phele hi pasand karlenge. Or Aagur video ascha rha to vo Aap ke Youtube video ko dekhne me bhi Interest lenge.

      3. Intazar:- Dosto Intazar ka Matlb hai Aap ko apne Channel pe Best Visitors ka Intazar Karna chahiye Visitors lane ke liye kabhi bhi Galat chij ka use n kare. Kai Youtuber Facebook or Social media network pe Jabardasti karte hai. Hmare Channel ko Subscribe karo. To friends esa n kare aap apna dhyan sirf Video bnane or Video me Ascha knowledge dene ki koshis kare or Video  ka link Apne Social Network pe share karte rhe. Visitors aap ke mhenat ke kaaran khud hi aap ke Youtube Video ko Dekhna pasand karenge. Aap ko video  bhle Thora der se youtube pe upload ho lekin video ko best banane me pura dhyan de dosto Video me koi jada Editing karne ki jarurat nhi hai. Aap sirf Visitors ko Orignal knowledge de jise unhe jada fayda ho or Vo aap ke Youtube Channel pe Hmesa aaye. Jise aap ka Page Views or aap ka Earning bhi Increase ho. 

      4. Time ka Sahi use:- Dosto aap aagur ek Youtuber hai to aap ko time ka sahi use karna aana chahiye. Kyo ki Youtube pe har ek chij se Related Video dale jate hai. Or Aaj kal To ek Badhiya Youtuber Banana bhi muskil hai. Kyo ki Aaj kal youtube pe bhi bhut Jada Compedicen chale rha hai. Maan lo aap ka Tech News se Related Youtube Channel hai Aap ko jo News aaj dena Hai vo News Aap aagur kal doge to use Related Video Phele hi Daal chuke honge baki Youtuber to aap ko koi fayda nhi hoga. Es liye aap ko Smye ke sath chalna chahiye. Ta ki aap ke Kaam ko log Pasand kare Dosto aap Video Published karne ka Ek Perfect Time bnao. Jise Aap ke Visitors Us Time pe Aap ka Video Dekh Sake. 

      5. Share:- Dosto Sirf aap Video ko Bna kar Youtube pe Upload kar denge to use koi Fayda Nhi hoga jab tak aap Share n kare Aap apne Youtube Video ya Apne website link ko Kisi Social Network pe tab tk aap ke Youtube Channel pe Traffic nhi aayega. Sabse phele aap ko Starting me Social network ka help lena hi padega kyo ki Social Network ek kaafi best Idea hai. Kisi bhi chij ke bare me Promotion karne ke liye. Es liye aap koi bhi video banana ke baad uska link social network me Aalag-Aalag Jghe pe Share kare. Aap Facebook pe jada se jada Group or Friend Join kare jo es chij se Interest Rakhte ho.

Dosto aap ab samajh hi gye honge ki kis Parkar se Page Views Badha sakte hai. Dosto aap ke Pass or Bhi koi Knowledge Ho to Aap Jarur Use kare. Or hmare Sath Comment ke Jariye Share Kare ta ki Hm Or Person ke Sath Share Kar Sake.

Ok Friends Aaj ke liye bs Itna hi Umid karta hu ab Aap ko ye Post Pasand aaya hoga Aagur aap ko Ye Post Pasand aaya ho ya Aap ka Koi Question ho To Please Mujhe Comment Kare ta Ki mai Aap ka Help Kar Saku.


Youtube video Ka Views kaise Increase kare. Youtube video Ka Views kaise Increase kare. Reviewed by Rishav Rai on August 15, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.