Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare.

Hi Friends

Aaj hm es Post me Jaanege Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare. Dosto vaise Mujhe Ye Post likhne ka Jarurat nhi padta agur Koi Bhi Websiter Perfect tarike or Thik se Knowledge deta Apne Visitors ko to. Ye Post Mere Friends Rajiv Ke Khene Pe Likha Ja Rha hai. Jise Uske Sath aap ka Bhi Help ho sake. Usne Net pe Search kiya Or Kai Websiter Ko Comment kiya Jab koi Fayda nhi hua to Usne Mujhe se Pucha To maine Socha kyo na Uske Sath-Sath aap ka Bhi Help kar du to Maine Ye Post Likhne Ka Soacha. To Friends aap es Post ko Padhe Or Laabh Uthaye.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Driving Licence Form Bharne Ke Liye Kya kare.

1. Friends Aap Ko Driving Licence Banvane ke Liye Sabse Phele Driving licence ke Website pe Jaana hai.


2. Dosto Driving Licence Ke Liye aap ko Ek Form Bharna hai.

3. Form Bharne ke Time Aap apna Sara Details Thik se Bhare.

4. Aap ko Apne Form Ke Sath Proof Dena Hoga. Proof Me Aap ko Date of Birth or address Verify ke Liye Ek Proof Dena Hoga.


5. Aap ka Age 20Years Above Hona chahiye.

6. Aap Ko Rodways Rule Ke Baare me Information Hona Chahiye.

Driving Licence Form Kaise bhare.

Dosto Driving Licence Form Thik se Bhare. Aap Jo bhi Details bharte hai use Submit karne se Phele Check kar le. Ta ki aap ko Koi bhi Problem n ho.

Step1:- Sabse Phele Aap ko Driving Licence Ke Website pe Jaana hai. Website pe Jaane ke Liye aap yha Pe Click kare.

Step2:- Ab aap ke Saamne Jo Page Open Hoga Vo kuche Image Ke Trhe Hoga. Ab Aap Online Apply pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap ke Saamne Kai Option aa gye honge ab aap New Learner’s Licence Pe Click kare.

1. Ab aap ko Continue Pe Click karna hai.

Step4:- Ab aap ke Saamne jo Page Open Hua hoga Vo Image Ke Trhe Hoga Aap Ko I don't have any Licence Pe Click kar Submit Pe Click karde.

Step5:- Ab aap ko Select State and RTO office from where LL is being applied Form Bharna hai.Form me Aap Sara Details Thik Se Bhare.



1. Sabse Phele aap ko Apna State Select karna hai.

2. Ab aap ko Apna RTO Office Select Karna hai. Jo bhi Aap Select Karna Chahte hai.

3. Aap ko Apna PinCode Bharna hai.

Step6:- Ab aap ko Apna Personal Details Dena hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Ab aap ko Name Of The Applicant Pe Apna Name Bharna hai.

2. Ab aap ko apne Relation Ship ka Details bharna hai.

3. Ab aap ko Apna Aadhaar Card, or NPR Number Bharna hai.

4. Ab aap ko Full Name as Per Records pe Pura Name Bharna hai.

5. Ab aap ko Gender, Date of Birth or Age Bharna hai.

6. Ab app ko Place of Birth or Country of Birth Fill Karna hai.

7. Ab aap ko Qualification or Blood Group Fill Karna hai.

8. Ab aap ko Phone Number, Email Address, Mobile Number or Emergency Mobile Number Fill karna hai.

9. Aap ko Apna Identifications Marks Fill Karna hai.

Step7:- Aap ko Ab Apne Address Se Related Information Fill Karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


1. Aap Ko ab sabse Phele apna Present Address Fill karna hai. Agur aap ka Permanent Address Same hai to Aap Right Side Me Sabse Upar Tick pe Click kare.

2. Ab aap ko Duration of stay at Present Address Fill Karna hai. Aap jitney Years se Rehe rhe hai Vo fill Karde.

3. Ab aap ko Press and Hold Ctrl key to Select multiple Covs Pe Aap Jise Chij ko Licence ke Liye Select Karna Chahte hai Uspe Click kar Arrow Pe Click karna hai. Jaise hi aap Click karenge Right Side Me Blank Space Pe Vo Fill Ho jayega.

4. Ab aap ko Last Me 2 Option Pe Click karna hai. Aap Use Padhe Kar Click kare Agur Aap ko Lgta hai ki ha Aap ko Jarurat hai to.

5. Ab aap ko Submit Pe Click karna hai.

Step8:- Ab aap ko Pura Details Next Page me Show Karega Check karke Aap Fir Submit Pe Click karde.

1. Ab aap ke Mobile Number pe Application Number Show Ho gya hoga aap Use Sambhal kar Rakhe.

2. Ab aap ko Print Pe Click karna hai. agur Printer Nhi hai, To aap us Page Ko Save karle or Next Pe Click karde.

Step9:- Ab aap ko Apna Document Upload Karna hai. Aap jo bhi Apna Document Upload karna chahte hai, Vo Select Karle or Upload Pe Click Karde. Ab aap ka Document Upload ho gya hoga.

Step10:- Ab aap ko Next Page me apna Photo Or Signature Upload Karna hai Kisi Page Me Aap Signature Karke Scan Karle or Signature Ko Upload Karde.

Step11:- Ab aap ko Apne Liye Slot Book Karna hai. Jise Date pe Green Hai us Date pe Aap Click Kar Slot Book Kar Sakte hai..


Step12:- Ab Aap ko Apne Driving Licence Ke Liye Payment Karna hai. Aap Payment Ke Liye Choose Kare Jise Method se Aap Ko Karna hai. Payment karne ke baad Aap ko. Knowledgement number Milega.

Aap ne Jo Date Select Kiya tha us Din Or Time Pe Aap Ko Apne RTO Office Me jaana hai.Vha aap ko Apna Form, Document Or Knowledgment Number Le Kar Ke Jaana hai. Jab Aap Ka Number Aayega To RTO Office Ka Member Aap ka Form Or Document Check karega or Fir Jab Form Ka Aap ka Process Complete Ho Jayega to aap ko Ek Test Dena Hoga. Aap ko Vo Pass Karna Jaruri hai.

Aap RTO Jaane se Phele Rodways Light Or Bhi Traffic se Related Information Jaan le Uske Baad hi Aap RTO Office Jaaye ta ki aap Test Pass Kar Sake. Aap Agur First Time Me Nhi Nikaal Paye To Tension mt Le Sayd Aap ko 2 ya 3 Time Or Milega Test Dene ka

Ok Friends Aaj ke Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare Post Me bs Itna hi. Agur Friends Aap ko Ye Post Pasand Aaya hoto Please Aap es Post Pe Comment kare. Agur Friends Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem Ho ya Aap Ka Koi Question hoto Please Aap Mujhe Jarur Comment Kare. Hmare Social Media Network Ko Like, Share or Join Jarur Kare.

Ye Bhi Padhe.
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare
* Top 8 Best Mobile Selfie Android Apps
* Online Debit Card ke Liye kaise Apply Kare
* SBI Mobile Banking Regestratiom kaise kare
Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare. Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare. Reviewed by Rishav Rai on October 02, 2017 Rating: 5

1 comment:

Powered by Blogger.