Google Search Engine pe Website ko Top pe kaise Laye

Hi Friends,

Aaj hm es Post me baat karenge Google Search Engine pe Website ko Top pe Kaise Laaye. Matlab ki Aap Ke Website se Related Koi Search Karta hai. To aap ki Website kaise Sabse Upar Aaye. Ese Khete hai Google Search Engine Jispe log apne Jarurat ke Mutabik Search karte hai. Or Jiska Top Seo Rank pe Hota hai. Vo Website Visitors ko Sabse Phele Show Hota hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Hme ye Khas tor se dhyan Dena Chahiye ki Hmara Website hmesa Search Engine me Top ke 5 Website ke Under Hona Chahiye. Ta Ki koi Bhi Visitors Search karta hai. To Use 1Page me 7Website se jada Nhi dekhta hai. Vo hmesa Top5 Website me se kisi ek Pe Click karta hai. Or vo Apne Search kiye hue Question se Santust ho jata hai. Es liye Aap ka Website Search Engine ke 1Page pe hi Show ho.


Apne Website ko Search Engine me Aage laane ke liye Bhut se Seo Tips hai. Jinme se mai Aap ko Kuche Seo Tips Btaunga jise aap Apne Website ko Top Rank pe la Sakte ho. Sabhi Websiter Chahte hai. Ki Uske Website pe Bhut sare Views aaye Mai bhi yahi Sochata hu or mai Janta hu aap ka bhi yahi Khwaish hoga Aagur ha to aap ko Website Fully Seo banana hoga. Website ko Fully Seo banana koi jada Muskil kaam nhi hai bs aap ko Kuche Khass Chijo ka Dhyaan Dena Hota hai.



Google Search Engine pe Website ko Top pe Laane ke Tips.

Dosto Aap Aagur Phele se Website pe kaam kar rhe hai. To Abhi tk Aap ne Kai yese Post Padhe Jinme aap ko Seo Se Related Tips Diye honge par Aap ab in Tips pe Jada Dhyaan de Aap in Tips ko Phele bhi Padha ho ga kahi n kahi lekin mai aap ko yha SEO se Related Top Tips Btaunga.

1. Content:- Dosto aap jab bhi Content likhe thik se likhe aap jis Topic pe Post likh rhe hai. Us topic ka Name Aasan hona Chahiye ta ki log Search kar Sake. Aasan se ye matlab nhi ki aap 4 to 5 Words me Title name likh de Aasan se matlab hai. Aap jo Title likh rhe ho Uska Language Sahi ho. Aap ka Title Aagur thora sa Bada ho to Jada Ascha hota hai. Ta ki Aagur Visitors unmese koi bhi 3Word likhe to aap ka bhi Post Show ho. Aap Jab bhi Post likh rhe hai Uska Title Aap Apne Post me 2 to 3Times likhe ta ki aap ka SEO bna rhe.

Aap apne Website pe jab Post likhte hai. To vo Post ka Language Simple hona chahiye ta ki Logo ko Samajh aa sake. Aap apne Post ko Pura thik se Likhe or Vo Post ko Tab tak likhe jab tak uske baare me pura thik se Samjha n de. Paise kamane ke Liye kabhi bhi Galat Kaam n Kare. Post jis chij ke Baare me hai Uska Title bhi usi se Related daale.

2. Image:- Dosto Kai Blogger Apne Website me Image ko lekar Galat kaam kar dete hai. Aap ko Image Kam Use karna hai apne Website me. Aap Image vahi pe use kare jha pe aap ko Jarurat hai. Aagur aap Website pe jada Image Use karte hai. To aap ke Website ka Search Speed Slow ho jayega. Google Slow Search Speed wale Website ko Top pe nhi aane deta. Kyo ki Visitors Google pe Search kar rha hai use Problem ho sakta hai. Aagur use Aap ka Website Pasand nhi aaya to vo Google Search Browser ka bhi Name kharab hoga.

Aap Aagur Koi Image Use bhi kar rhe hai. To Use aap ko Compress kar ke Image ka File Size Kam karna padega. Jise aap ke Website ka Search Speed Kam ho jayega. Aap Apne Website me Kam se Kam 1Image Jarur use kare. Or aap jo Image use kar rhe hai Website pe Upload karne ke Baad Aap Image pe Click kare. Or Image ke Properties pe Image ka Title or Text jarur fil kare. 1 Number pe aap apne Post ka Title likh de or 2Number pe Website Name jise aap ka Image bhi Google Pe Search karne pe Show hoga. Es trhe se aap Image ko Bhi SEO kar sakte hai. Es trhe karne se aap ka Website Top pe aanw lgega.

3. Traffic:- Dosto Traffic aap ke liye bhut jaruri hai. Kyo ki aap ke Website ka jitna dimand hoga utna jada google bhi aap ke Website ko Active Rakhne ka Koshis karega. Kyo ki Google bhi jade Traffic wale ko Top pe lata hai. Es liye aap Apne Website ka Design or Apne Post likhne ka Style yesa kare ki Visitors aap ke Website pe aana Pasand kare.

Dosto aap ke Website pe kisi bhi parkar ka froud n hota ho. Aap Apne Image ka Khas dhyaan Rakhe kyo ki Aagur Ek Baar Video ke mn me Aap ke khilaf koi baat aagyi to vo aap ke Website pe kabhi nhi aayenge. Dosto aap Kabhi bhi Paise de kar Traffic n kharide. Kyo ki Vo Traffic Jade Samye tk aap ke Website ka Sath nhi denge. Es liye aap Imandari se Sara kaam kare or Apne Website pe Original Traffic lane ki Koshis kare.

4. BackLink:- Dosto Aap ko Jis trhe Traffic Jaruri hai. Usi trhe BackLink kyo ki Friend BackLink se fayda ye ho jata hai. Ki Aagur aap koi Badhiya Website se BackLink karte ho to Us Website ke Sath aap ka Bhi Website Connect ho jayega. Maan lo aap jha pe Connent kiye hai. Vha pe uske PerDay 100PageViews aate hai. To kam se kam aap ke me 2PageView to jarur aayega. Aap Aagur 1Mounth me 30Website pe bhi ek Badhiya Comment karte hai to aap ke Website pe PerDay 60PageView to Jarur Aayega.

Dosto BackLink kai Parkar se kaam karta hai. Vo Aap ka Traffic to Increase karta hi hai. Sath me Aagur Google ko Top Rank me Post Show karne me Problem ho rha hai to vo BackLink ka Help Leta hai. Top Rank pe Le jaane ke liye. Ye Problem tab aata hai. Jab Blogger ke Title Match ho jate hai. Tab vo Top Rank ke Liye BackLink ka Help leta hai. BackLink ke liye Aap ko dhyaan me Rakhna hoga ki Aap jis Website pe BackLink bna rhe ho Vo High Level Website ho. Ta ki aap ko Problem n ho or Us Website Admin ko bhi. Or jo Bade Webster hote hai Unhe Koi Problem nhi hota hai.


Ok Friends Aaj ke es Post me bs Itna hi Mai Umid karta hu Mere diye gye Sujhav Pasand aaye honge . Aap ko Aagur ye Post Pasand aaya ho ya Kisi bhi Parkar ka Problem ho to Please Mujhe Comment kare. Mai aap ka Pura help karunga.

Google Search Engine pe Website ko Top pe kaise Laye Google Search Engine pe Website ko Top pe kaise Laye Reviewed by Rishav Rai on August 03, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.