2019 se Life me aage badhne or Success pane ke liye 5 Best Apps

Hi Friends,

Aaj hm ise post me janege 2019 se Life me aage badhne ke liye 5 Best Apps ke bare me. Aap har ek kaam kar sakte hai apne life me oin 5Apps ko use karne ke baad. Life me aage badhne ke liye 5Best Apps. Bhut se logo ko problem hota tha apne blogging ko lekar ya fir vo koi kaam karna chahte the par vo use kaam ko thik time pe nhi kar pate the, to dosto aap ise apps ke jariye apne kaam ko time pe or perfect tarike se kar sakte hai Dosto Agur aap apne life me 2019 se ek ascha changes chahte hai to aap ye  5apps jarur use kare.


2019 se Life me aage badhne or Success pane ke liye 5 Best Apps


* 5Best Bussiness Ideas 0Rs Investment
* 5 Most Important Apps Student Life.

Life me aage badhne ke liye 5Best Apps ye dosto aap ke liye bhut hi bheter sabit hoga. Dosto mai bhi 2019 se in apps ko use kar rha hu dosto yakin mano mera 2019 ka abhi ye third day hai par ye tino din mere abhi tk se sabse best din rhe hai, kyo abhi tk mera koi bhi kaam time se nhi hota tha mere sare post raat me published hote the to kabhi din me or agur or koi kaam bhi mai karta tha to uske bhi time ka kuche bhi pata nhi hota tha. Lekin ab mai 2019 ke starting se sare kaam kar rha hu vo bhi bilkul thik time pe.

2019 me Life me aage badhne or Success pane ke liye 5Best Apps


Dosto mai aap ko ise post me jo bhi chije bata rha hu vo maine apne life ke sabse best day dekhne  ke bata rha hu kyo ki ye three day me mere andur bhut se badlav aa gye hai. Isliye maine socha kyo n in 5Apps ke bare me bataya jaye dosto mai ye post phele 1 January 2019 me thik raat me published kiya tha lekin kuche mistake ke karan mujhe ise firse draft karna pada lekin aaj finally ise mai post kar rha hu.

1. Google Task Apps:- Dosto Google Task apps mere liye bhut hi best App hai. Isne mere time ko manage karne me bhut help kiya hai. Mai ab jada se jada kaam bhut hi thore time me finished kar deta hu. Ise apps ko use karne se ab maisare kaam ko proper time pe kar pata hu.

Aap Google Apps ke jariye aap apne task bana sakte hai vo bhi time schedule ko set karke. Aap jo bhi work karna chahte hai aaj ke din ya fir aap ko imounth baad koi kaam karna hai to aap use kaam ko karne ke liye Date or time bhi set kar sakte hai.

Google Task apps ko aap  screen ke upar bhi use kar sakte hai. vo bhi bina lock khole ye facility aap ke liye or jada faydemand hai. Aap jo bhi task modify karna chahte hai bhut hi aasani se kar sakte hai. Agur aap ne koi task ka time galat set kar diya to aap apne task ko move karke sahi time pe kar sakte hai.

Google Task apps aap ke Email se connect ho kar bhi chalta hai. Aap Email  ka use karke apna task set kar sakte hai. Bs aap ko isme apna task online kisi ke sath share nhi kar sakte hai. Aap isme multiple Gmail ID use karke apna task complete kar sakte hai. Google Task Apps Android or IOS dono user ke liye uplabdh hai.

Agur aap apna kaam thik time pe karna chahte hai. Aap ko kaam karne ka mn to hota hai. lekin aap ko time ka dhyan nhi hota or fir aap apna kaam thik time pe nhi kar pate jiske karan aap ko bhut problem hota hai.

2. Habitify:- Dosto Aap iske naam se hi samajh gye honge ki Habitify ka kya kaam ho sakta hai. Agur aap koi kaam ko karna chahte hai. Lekin aap kar nhi pate kyo ki uska aap habit nhi bana pate hai. to aap ise app ka use karke aap apna pure din me aap ko kya – kya kaam karna hai. In sab chijo ko aap likh de or fir aap ko sahi time pe bata dega ki aap ko ise time pe ye kaam karna hai.


Agur mai apna baat karu to mai hmesa ye chahta hu ki mai morning me thora sa run karu jise thora mera body ya fir body ke jo part hai vo thik rhe to iske liye mai sochata to hu morning me run karna lekin mai kar nhi pata kyo ki morning me mujhe uthne me der ho jata hai.  Raat me kaafi  time tk kaam karte rhene se morning me uthne me problem ho jata hai.

Ise kaam ko karne me ye App mera bhut jada help karta hai. Dosto agur aap bhi chahte hai ki aap ka koi secretary ke trhe sare kaam ke bare me bataye to aap ise app ko use kar sakte hai. Mai bhut se kaam ise app ke help se karta hu.

3. LastPass Password Manager:- Dosto ye app bhut hi best app hai iske jariye aap apne password ko manage kar sakte hai. Aap jab isme password add kar dete hai. to jab bhi aap kisi website pe visit karte hai. login karne ke liye to vo aap ka password khud hi show kar deta hai. Iska sabse best chij mujhe ye laga ki aap iske through apne password ko bhi change kar sakte hai.

Dosto ye apps bhi mai phele use nhi karta tha lekin ab mai ise apps ko use karta hu. Kyo ki dosto blogger ya fir youtuber ho usko apne visitors ke liye best content ke liye best ideas provide karne ke liye ye kai website pe visit karte hai. Jha pe kai baar login bhi karna padta hai. Or itne password ko yaad karna bhut hi muskil hai.

Aap ise app ko use karne se phele ek baar dekhle ki ye aap ke password ko secure rakh sakta hai ya nhi maine isme apne important website ke password nhi dale hai. Aap jab confirm hoto  hi ise app me apna password dale maine ise topic me sirf aap ko ise app ke bare me batane ke liye kiya hai. Mera ye koi special salah nhi hai, ki aap iske andar password dale par aap ko lagta hai, ki aap risk le sakte hai, to fir aap ise app ko use kar sakte hai.

4. Facebook Pages Manager:- Dosto ye ek bhut hi best app hai iske through aap apne sabhi pages ko manage kar sakte hai. Aap iske through aap notification bhi dekh sakte hai. Agur aap apne facebook pe kisi bhi parkar ka ads chala rhe hai to aap use bhi manage kar sakte hai. aap total sara kaam isi Facebook Pages Manager ke through hi kar sakte hai.

5. WunderList:- Dosto mai ise Apps ko use nhi karta lekin ye apps bhi aap ko Google Task jaisa hi features deta hai. balki aap ko Google Task se thora sa advance features deta hai. Aap iske through same work kar sakte hai. Iske andur kisi categories ke according apna time table bana sakte hai.

Jaise aap kai kaam ko karte hai jaise ghar ka kaam, Youtube, blogger or office or bhi kai parkar ke aap apne daily routine me karte honge. Isliye aap har ek categories ke liye ek alag se list bana sakte hai. Agur aap ke mobile phone ka lock laga hua hai uske baad bhi aap apna task add kar sakte hai.

To Dosto aaj ke ise post me hamne jana ki hm apne life me in sab app ko use karke kaise change kar sakte hai, Aap in apps ko use karke kaise 2019 se apne Life me aage badhe sakte hai. ye the life me aage badhne ke liye 5Best Apps jinke help se aap apna sara kaam routine wise kar sakte hai. Life me aage badhne ke liye aap in apps ko use kar sakte hai.Dosto Career me aage badhne ke liye jarur use kare. Agur aap ko in apps pe bharosa hoto. Ye 5Apps aap ke bacho ka kare life set Agur aap ek parents hai to ye apps ko apne bacho ke liye use kare.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Life me aage badhne ke liye 5Best Apps pasand aaya hoga. Agur aap ko ye post pasand aaya hoto aap is post ko apne friends ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap ise post pe comment jarur kare. Or Hmare Social Media Network ko like, share or Join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* What is Time in hindi(samay kya hai)
* Raksha Bandhan ka Tyohar kyo manaya jata hai.

2019 se Life me aage badhne or Success pane ke liye 5 Best Apps 2019 se Life me aage badhne or Success pane ke liye 5 Best Apps Reviewed by Rishav Rai on January 03, 2019 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.