BPO kya hai Full Detail(What is BPO on Hindi)?

Hi Friends,

Aaj hm ise post me janege BPO kya hai (What is BPO on Hindi)?, BPO me job kaise kare? Dosto or bhi bhut si jankari ise post me aap ko milega. Dosto aap ne kai jghe pe BPO kya hai ke bare me suna ya padha hoga. Mai aap ko ise post me full details me bataunga BPO kya hai(what is BPO)? BPO ka full form hai Business process outsourcing. Dosto mai aap ko phele bata du dosto ye post bhut bada hone wala hai kyo ki ise post me BPO se related sabhi chijo ko mai cover karunga. BPO ke full information ke liye aap ise post ko suru se lekar last tk jarur padhe.


BPO kya hai Full Detail(What is BPO on Hindi)?


* Aadhaar Card Kaise download kare without mobile number ke
* Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le

Dosto BPO ko aap call center khe sakte hai. BPO job kya hai aaj ke ise post me aap ko pata chale jayega, ki BPO job kya hai or BPO job ke liye kya karna padega. Dosto kuche log agur BPO ka naam  sunte hai, to vo soch me pade jate hai, ki ye chij kya hai. Isme hota kya hai. Agur aap ek baar iske full form me dhyan denge to aap ko pata chale jayega ki BPO kya hai. BPO ka full form hai Business process outsourcing iske bare me hm or thik se samajhte hai Ye kaam kaise karta hai.

BPO IT sector ka bhut hi important part hai. BPO ka important kaam hota hai bahre ke company ko low price pe unka kaam karva kar dena ya fir unhe kisi kaam ke liye low salary ke person dena unke kaam ke liye. BPO ek third party person ke trhe kaam karta hai. Hm BPO ko or thik se samajhte hai.

BPO kya hai(What is BPO)?


BPO ek Outsource parkirya hai Third party person ko contract ke jariye business ko chalane ke liye use kiya jata hai. Jab koi company apna kaam khud nhi kar pata hai. Use kaam ko karne ke liye vo dusre company se help leta hai. Jo vo kaam apne tarike se karke deta hai. Ise kaam ke liye sabse jada use Company BPO ko hi karti hai. Inme kai parkar ke chote bade kaam hote hai. Jaise Technical Support, Billing Administration or Coustomer Service in jaise chote bade sewa provide karata hai.

Dosto BPO ko sabse jada work kisi task ko Monitor karne ka kaam diya jata hai. istrhe ke kaam ko Back office kaam kaha jata hai. Ye BPO worker client ka help karte hai jaise kisi kaam me customers ka help karna, clients ko billing or purchasing me help karna or bhi kai parkar ke help karte hai. BPO me ek company apne contract ko pura karne ke liye third party ka help leta hai. Unke back office tasks ko pura karne ke liye bade organizations ise kaam ko money saving trika mante hai. Kyo ki unka manana hai ki vo agur istrhe kare to vo apne core tasks pe focus thik se kar pate hai.

Istrhe se vo back office ke kaam ko outsource karte hai or khud front office ke process ko karte hai. unka manana hai ki ise services ko thik se provide kiya ja sakta hai. Jise unko or unke customers ko koi bhi problem ka samna nhi karna padega. BPO executive ke pass bhut jada kaam hota hai karne ke liye par ek best BPO apne Customers ya client ke satisfaction par jayada dhyan deta hai.

Agur ek aasaan sabdo me iska baat kare to inka kaam hota hai kam paise me kisi bhi sewa ko apne customers ko dena. Jaise kuche baahre ki company apne kaam ko pura karvane ke liye low salary bande ko work deti hai In BPO ke through Jise unke paise bajte hai. agur vo chote se kaam ke liye apne high salary person ko deti hai vo work to use use company ka lose hai.

Dosto umid karta hu aap ko samajh aa gya hoga ki BPO kya hai. Ab hm jaan lete hai ki BPO me Job kaise kare.

BPO me job kaise kare?


Dosto Agur aap BPO me job karna chahte hai, to sabse phele hm unke Qualification ka baat karlete hai. Agur aap call center ya BPO me job karna chahte  hai, to sabse phele aap ke pass Graduation ya degree hona jaruri hai. Agur 10th pass hai to aap ko job milna muskil hai. Fir bhi aap ek baar try kar sakte hai, par vo aap ko best salary nhi denge. Agur aap 12th pass hai aap ko English thora bhut aata hai. ya  aap ka bolne ka skill badhiya hai, to aap bhi try kar sakte hai. Aap ko call center me job mile jayega.

Lekin dosto agur aap graduation ya degree kiye hai kisi bhi field me jaise ki BCA, BA MBA, B.SC, BCOM, POLYTECHNIC etc aap koi bhi degree ya  Graduation kiye hai to aap BPO ke liye apply kar sakte hai. Aap ka bs English or Communication skill ascha hona chahiye.
Inme bhi call center 2types ke hote hai.

1. International call center

2. Domestic call center

International call center ke job ke liye aap ka English ascha hona chahiye. Lekin aap Domestic call center join karte hai, to aap ko utna jada English ka jarurat nhi hai. kyoki aap ko domestic call center me all client aap ko hindi me milenge. Aap ko iske sath computer ka bhi basic knowledge hona jaruri hai. Aap 15Mounth comuter deploma bhi kar sakte hai. Aap apne typing speed ko bhi thik kare.

BPO me job ke liye kaise apply kare?

Dosto sabse phele aap apna ek resume banaye. Jisme aap apna sara details dale aap ne abhi tk kaha-kaha work kiya hai. aap ne study kaha tk kiya hai. ye sabhi  details aap bhar kar ek resume tayar kare. Aap uske andur date bhi mention kare agur aap ne kahi pe job kiya hai, to aap ne kabse lekar kabtak job kiya hai.

Jab aap resume bana le to aap apne resume ko kuche job provider website pe upload karde. Jaise ki naukri.com ek bhut hi best website hai. Job provide karne ke liye isi trhe ke or bhi bhut se website hai, job provide karne ke liye. Aap sabhi job provider website pe apna resume upload karde fir vo aap ke kaam ke mutabik jo bhi unhe job aayega vo aap ko mail kar denge. Aap un sabhi job ko ek baar check jarur kare.

Aap ka resume BPO ke Hr ko mila to vo aapse contact jarur karenge or agur Hr thik honge to. Vaise to dosto naukri.com india ka best website hai. Aap ko vha pe koi na koi BPO me job mile hi jayega.

Ok Friends umid karta hu aap ko BPO kya hai(What is BPO)? Post pasand aaya hoga. Agur aap ko ye post pasand aaya hoto aap ise post ko apne friends ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi question hoto aap ise post pe comment jarur kare mai aap ka pura help karunga. Or hmare social media network ko like,share or join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Google Gmail Account ka Email kaise Change kare
* What is Time in hindi(samay kya hai)

BPO kya hai Full Detail(What is BPO on Hindi)? BPO kya hai Full Detail(What is BPO on Hindi)? Reviewed by Rishav Rai on December 30, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.