Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le

Hi Friends,

Aaj hm es post me jaanege Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Member kaise bane. Dosto Amazon prime membership offer ek best method hai. Amazon se shopping karne ke liye aaj hm es post me Amazon Prime Membership ke bare me full information jaanege is post me. Agur dosto aap ko bhi nhi pata ki Amazon Prime Membership kya hai, Amazon Prime Membership banane ke kya fayde hai, Amazon Prime Membership me hme kya offer milenge or Amazon Prime Membership banane ke liye kya hme koi Fees pay karna hoga to aap is post ko thik se padhe.


Dosto Phele Amazon Prime Membership sirf USA me Available tha lekin ab Amazon Prime Membership India me bhi aa gya hai. Amazon Prime Membership ko bhut se shiop or Amazon ke customer iska use bhut teji se kar rhe hai. India me 100 cities se bhi jyada jagah par Amazon Prime Membership ka service available hai. Is Service ka fayda aap bhi utha sakte hai.


Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le


Amazon Prime Membership kya hai

Dosto Amazon ek e-commerce website hai jiske jariye online products All world me sell kiye jaate hain. Or iske jariye human ko online shopping karna bahut aasan ho gaya hai. Or bhi bhut se online shooping website hai jaise Snapdeal, Flipkart or Shopclues par offer ko dekha jaye to Amazon se best or koi website nhi. Mujhe Amazon sabse best online Shooping method lagne ka karan woh ye hai ki agar aap Amazon Prime membership lete hai to aapko online shopping ke saath- saath bahut se benefits milte hai.

Amazon Prime membership hme Amazon provide karta hai. Membership to aap jaante hi honge Jaise hm kisi club ka membership lete hain to hame us club se related saare benefits milte hai, same waise hi jab hm Amazon Prime membership lete hai, to hm Amazon ke sare benefits le sakte hai.

Amazon Prime Membership Benefits


Dosto ab hm jaan lete hai ki Agur hm Amazon membership lete hain to hame kya fayde milenge. Waise me aapko bata du ki agar hm ye membership lete hain to hme bhut se fayde hote hai, hme se chijo me discount milta hai or bhi kiye chijo me hme fayda hota hai.

1. Free Delivery

Dosto Amazon Prime Membership lene ka sabse bada fayda hai ki aap koi bhi product buy kare aap ko sirf apne Product ka price hi dena hai Extra aap ko koi bhi charge pay nhi karna hai. Matlab ki aap koi bhi product kharide sasta ya mhenga aap ko Free Delivery ka option milta hai.

2. One Day & Two Day Delivery

Dosto agur aap fast delivery bhi mangvate ho jaise ki one day & two day delivery to bhi aap ko ye service free milega. Ye service free sirf aap ke eligible address par hi diya jayega. Agur aap Non Amazon Prime Membership hai or koi product buy karte hai, to aap ka product delivery hone me 4days to 7Days lag jate hai. Ya fir kai baar to ise bhi jada time lag jata hai. or aap ko delivery charge bhi pay karna padta hai.

3. Standard Delivery

Dosto aap Pahle free delivery pane ke liye kam se kam 499 ka product buy karna padta tha. Agar aap isse kam price ka product buy karte ho to aapko Rs 40 to 50 ka extra charge pay karna padta tha or 499 se jyada ke product par free delivery milta tha. Agar aap amazon prime member hai to aapko ko extra Charge nahi dena padega fir chahe aap 50 rupees ka hi product kharide.

4. Amazon Prime Membership Free Video

Dosto ye benefits entertainment se related hai. Amazon prime Membership video ke baare me aap sun bhi rahe honge or ads bhi dekh rahe honge. Amazon ab Video sector me bhi enter kar chuka hai. Jisko aap Amazon Prime Video ke naam se jaante hain. Jisme aapko orginal content dekhne ko milte hai jo aapko youtube jaise platform par bhi nahi milta hai. Amazon prime Membership ke saath Amazon prime video membership aapko free milta hai. Jisse aap Amazon video or amazon prime music ka bina ads ke anand ley sakte hai.

5. Amazon Family Offer

Aapko amazon prime membership subscription par 15% tk ya use upar ka bhi aap ko offer mil sakta hai.

Dosto aap ko or bhi kai parkar ke facility milta hai, Agur aap Amazon Prime Membership ko join karte hai to.

Amazon Prime Membership kaise le


Dosto agur aap first time Amazon prime membership lete hai, to aap ko 30days ka free trial milta hai. Matlab ki aap 30days tk aap Amazon Prime Membership ke sabhi service ko free me use kar sakte hai.

Agur aap ko Amazon Prime Membership ka 30days ka trial pasand aata hai, to aap 30days baad payment karke Amazon Prime Membership ke sare facility ka fayda utha sakte hai. Aap ko bs 1year ke liye kuche paise pay karne honge uske baad aapko koi bhi product buy karna hai, to aap without Delivery charge ke koi bhi product buy kar sakte hai. Aap ka Prime Member ship jab expire ho jaye 1 year ke baad fir agur aap ko lagta hai, ki iska aap ko fayda hai to aap firse Amazon Prime Membership le sakte hai.

Amazon Prime Membership lene ke liye step follow kare.

Step1:- Sabse phele Amazon prime member banne ke liye aap amazon.in website par visit kare.

Step2:- Yaha aapko amazon site ke logo ke pas Try Prime ka option dikhayi dega. Aap is par click kare. Ab yaha aapko “Grab the best deals and get FREE fast delivery” and Start Your 30-Day Free Trial ka banner dikhayi dega Aap Is par click kare. Ya fir aap ke samne 2plan hoga aap unmese koi ek plan choose kare.

Step3:- Ab aap ke saamne login karne ka page khulega. Ab Aap ko new account Create karna hai to Create Your Amazon Account par click kare or agar aap pahle se amazon use karte ho to sign in kare.

Step4:- Ab aap Sabse phele Apna name add kare.

Step5:- Ab aap apna Mobile Number add kare.

Step6:- Ab aap apna Email Address add kare.

Step7:- Ab aap apna Password choose kare or Continue par click kare.

Step8:- Ab aap ko apna mobile number verify karna hai. Aap ke mobile number pe OTP code jayega aap use bhar de or verify pe click karde.

Jaise hi aap ka mobile number Successfully verify ho jayega. Fir Aap Amazon Prime Membership customer ban jayenge  fir aap Amazon Prime Membership ke sare facility ka fayda utha sakenge. 1Mounth tk aap ko free trial milega agur aap 1Mounth ke baad bhi Amazon Prime Membership ko use karna chahte hai, to aap ko uske liye kuche Ruppes pay karna padega.

Amazon Prime Membership Fees


Dosto Agur aap Amazon Prime Membership lena chahte hai, to aap ko 1Mounth ke liye 129Rs pay karna padega. Agur aap ise hmesa use karna chahte hai, to fir aap 1Year ke liye 999Rs pay kar Amazon prime Membership le sakte hai. Mai aap ko yahi salah dunga ki aap ek mounth tk trial use karne ke baad 1Mounth ke liye phele 129Rs pay kar membership le agur thik lagta hai to fir aap 1Year ka membership le. Baki aap apne ansar se dekhe ye sirf maine aap ko apna Idea share kiya hai. Mere tref se aap ko koi force nhi hai. Aap koi bhi decision khud se le.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le post pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko ye post pasand aaya ho ya ye Post aap ke liye helpful hoto aap is post ko apne Friends ke sath share jarur kare. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap is post pe comment jarur kare mai aap ka jarur help karunga. Aap hmare Sath jude rhene ke liye social Media Page or Group ko Like, Share or Join jarur kare.

Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le Amazon Prime Membership kya hai or Amazon Prime Membership kaise le Reviewed by Rishav Rai on October 29, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.