Hi Friends
Aaj hm es Post me jaanege Blog Post ko Automatic Social Site
Par Publish Kaise kare. kai blogger Post to bhut jada likhte hai. Lekin jab
Share karne ka baat aata hai, To vo Piche ht jate hai. Kyo ki Friends Share ko
lekar thora Problem hota hai. Post ko Automatically Share karne ke liye bhut se
Website hai. Par unmese kai Website Paid hote hai. Kai Website Perfect Tarike
se kaam nhi karte hai. Lekin IFTTT Website bhut hi Best Website hai. IFTTT Ke
Through Aap kisi bhi Social Site pe Automatically Share karne ka Option deta
hai.
Hame Post Ko Published karne ke
baad Sabse Phele Use Share Karne ka
jarurat hota hai. Ta ki hmare Post ko Visitors Padh sake. Iske liye hme Share
karna padta hai. Kai Blogger Post ko Share karne ke Liye kai Social Site ka use
karte hai. Vaise to Kai Social Site hai. Jha pe hm Share kar ke Apne Post ko
Promote kar sakte hai. Lekin es ke Baare me bhut hi km log jante hai, Ki
Konse-Konse Social Site hai. Jo bhut hi Popular hai, Uske liye aap ye Post Padh
sakte hai.
Starting me mujhe bhi Post Share
Karne me Problem hota tha. Fir maine Share karne ke liye PerDay 30Min Rakha
lekin Copy Paste Karne Me bhi Problem hota tha. Fir maine Ek Video me
Automatically Tools ke baare me jaana lekin vo best nhi tha. Fir maine Ek
blogger ko Contact kiya Unhone mujhe btaya ki Aap IFTTT Website ka Use kare.
Maine Yha Signup kiya or pure 2Week tk iska use kiya. Or isne mere kaam ko
Asaan kar diya.
Ise Website ke help se hm Apne
Blog Post ko Easily Social Media Network pe Share kar sakte hai. Or yakin mano
Friends ise Use karna bhut hi Aasan hai. Aap ko bs Signup karna hai. Or aap ko
Phele se Thora Knowledge hona bhi jaruri hai. Aap ise ke help se Apne Post ko
Bhut hi Aasani se Share kar sakte hai. Ise ke Liye Sabse Phele aap ko Signup
Karna hoga. Signup karna ke baad aap bhut hi Aasani se Ise Tools ka use kar
sakte hai.
Ye tools sirf Blogger ke liye hi
nhi hai. Ise Tools ka use Koi bhi Person use kar sakta hai. Chahe vo Normal
Person ho jo Sayri ya fir Image Share karna chahta ho. Ya fir Koi Marketing
Person ho ye Tools bhut hi best hai. Apne Post ko Automatically Share karne ke liye ye bhut hi help karta
hai.
Blog Post ko Automatic Social Site Par Publish Kaise kare
Aap ko IFTTT pe Signup karte time aap ko Thik se Signup karna hai.
Aap Signup karne ke time apna Correct Email Id de. Ise Website pe Signup karne
ke liye Ko 2Method diya gya hoga Google or Facebook. Kisi ko bhi use kar sakte
ho Signup ke liye. Aap mere btayegye Step ko thik se Follow kare. Jise aap ko
kisi bhi Parkar ka Problem n ho.
Step1:- Sabse Phele aap ko IFTTT
ke Website pe jaana hai. jaane ke liye aap
Yha Click kare.
Step2:- Aap jaise hi Upar Click
Here pe Click karenge aap ko Signup ke liye Gmail Id Bharna hai. Or Get Started
pe Click karna hai.
Step3:- Ab aap ke Saamne ek New
Page Open hoga Usme aap ko ek Best Password Choose karna hai. Or Sign up pe
Click karde.
Step4:- Ab aap IFTTT me Login ho
jayenge. Ab aap Sabse Upar My Applets pe Click karde.
Step5:- Ab Aap Ko Right Side me
New Applets ka Option Show ho rha hoga aap vha pe click karde.
Step6:- Ab aap ke Samne New Page
Open hua hoga. Jha pe Center me if+this then that ka Option Show ho rha hoga aap
use pe Click karde.
Step7:- Ab aap ko Next Page pe
Choose a Service ke niche Box me Aap jis Service ka use Karna chahte hai. Vo
Type karde fir aap ko niche Use Service se Related Image Show hoga use pe Click
karde.
Step8:- Ab aap Next Page pe
Connect pe click karde.
Step9:- Ab aap ke Saamne Next
Page me Facebook Page Open hoga. Ab aap Continue as Rishav pe Click karde. Ab
aap ko Share Ke Option ko Select karna hai or Ok pe click karde.
Step10:- Ab aap ko Next Step pe Post Link
daalna hai. or Save Changes pe click karna hai.Ab aap Image ke Sath send karna
cahhte hai, To First Option select kar Ok karke Save karde. Ab aap ka
Automatically Post on Ho jayega. Aap ese Baad me Off ya Edit bhi Kar sakte hai.
Aap ko yha pe Facebook ke sath or
bhi kai Social Company mil jayenge jha pe aap Share kar sakte hai. Ye Website
ek best Automatically Website hai. Yha pe Bhut se Aap ko Website mile
jayenge . Aap Sabhi Website ka Name thik
se dekhe kya pta aap ko Kuche New Website mile jaye jha pe Aap Account Create
kar Bhut Sare Visitors ko Apne Website pe La Sako, To es Liye Friends aap thik
se Sabhi chije Check kare.
Ye tha Friends kuche Tips
Automatically Post Share karne ko lekar aap mere btaye gye Step ko Thik se
Follow kare. Aap fir bhut hi aasani se Automatically Post set kar lenge.
Ok Friends Blog Post ko Automatic
Social Site Par Publish Kaise kare Post me bs itna hi. Agur friends aap ko ye
Post pasand aaye to Please Aap es Post
pe Comment jarur kare. Agur aap ko kisi bhi Parkar ka Problem hota hai. Ya aap
ka koi Question hai. To aap es Post pe Comment jarur kare. Mai aap ka
Pura help karunga. Hmare Social Media
Network Ko Like, Share or Join jarur kare.
Ye Bhi Padhe.
* Blog ka Email Address kaise Change kare
* Apne Website se Paise Kaise Kamaye
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare
Ye Bhi Padhe.
* Blog ka Email Address kaise Change kare
* Apne Website se Paise Kaise Kamaye
* Facebook Page ko Kaise Apne Website me Add kare
Blog Post ko Automatic Social Site Par Publish Kaise kare
Reviewed by Rishav Rai
on
January 02, 2018
Rating:
No comments: