Hi Friends,
Aaj Hm es Post Me Jaanege apne Blog ka Email Address kaise
Change kare. Es Topic ke Baare me phele bhi kai logo ne Post likha hoga Par
koi na Koi Problem Aap ko Face karna para hoga par Mai aap ko es Post me Blog
ka Email Address Kaise Change kare Topic ko Step by Step samjhaunga ta ki Aap
ko Change Karne me koi Problem n ho. Friends hm logo ko koi bhi Problem hota
hai, To hm Solve nhi karte hai. Or koi Trick dhundhne lagte hai use Bachane ke
liye. Lekin Friends Sach khu to iska hme Profit uthana Chahiye jo hme Problem
hua hme usko Solve karna chahiye kabhi Dur nhi bhagna chahiye.
Ab jab hmara Problem Solve ho jata hai. Hme uska Profit
uthana Chahiye kya Aap ne Esa socha hai.
Nhi kyo ki esa Sayd hi koi karta hoga. Ese hme Paise bhi kama sakte hai. Man lo
hme koi Problem hua Hmne uske Baare me pta kiya Fir hm us Problem ko jab Solve
kar de to Hme uske baare me ek Post likhna chahiye ki Aagur ye Problem or kisi
ko hoto vo Google pe Search kare or fir jab vo Search kare to aap ka Post Show ho
or fir jab Vo aap ke Post ko Read kare to aap ko Earning ho.
Dosto hme kabhi bhi kisi bhi Problem se dur nhi bhagna
chahiye hme hmesa apne Problem ke Sath dusro ka bhi Problem Solve karna chahiye
ta ki Hmara Knowledge badhe. Hmara jo Knowledge hota hai vo kabhi bekaar nhi
hota hai. Chahe vo kisi bhi chij se Related Knowledge ho. Kai logo ko kisi chij
me Problem hota hai, To vo Apna Field hi chod dete hai. Or dusre Fields me lage
jate Problems to hme har ek Fields me hote hai. Is liye hme Problem se Bhagna
nhi Solve Karna Chahiye.
Inmese bhut se Problem hmare me se kai Blogger ko hote hai.
New Blogger ko Aksar ye sare Problem hote hai. Unhe Agur Thora bhi Problem hota
hai. To vo Blogger se Left hone ke baare me Sochane lagte hai. Koi bhi Best
Blogger ho uske bhi Life Kabhi n Kabhi New Blogger wale Problem jarur aaye
honge es Liye aap Hmesa Aage badhne ke Baare me socho piche hatne ke baare me
nhi. Kabhi n kabhi aap bhi Success jarur honge.
New Blogger Jaldi-Jaldi me Paise kamane ya Website banane ke
Soukh me Future ke Baare me kuche n sochte hai. Bs Blog bna dete hai. kisi bhi
trhe se koi bhi Email id se fir unko baad me Problem hota hai. Kai chijo ko
lekar jinme se ek hai Email Id Chahe vo koi bhi Blogger ho mai bhi Website
banane ki Khusi me Kai Galtiya kiye hai. Jinhe maine Bhut hi Muskil se Sudhaare
hai. Maine Ek Email Id pe Kai Website banaye hai. jinme se 2English Website
hai. Ab mujhe kai Problem ko Face karna pada tha. Jab mai Apna Website Adsense
ke Saath Approve Kar rha tha tab ye Saare Problem mujhe Pareshaan karne lage
the. Fir maine enhe Solve kiya or Fir ja kar Mera Adsense Approve hua.
Aap kabhi bhi Website banaye to kam se kam 1Week tk thik se
Soche or Design kare. Fir ja kar aap koi
Faisla le Aagur aap koi bhi Website ya Es trhe koi Chij banate hai, To Phele
aap Thik se Soch le fir Work kare Ta ki Aap ko Koi Problem n ho.
Ab aap logo ke Dimaag me Kai Question aa rhe honge ki Hme
Email Id Kyo Change kare. Dosto Email ID Change Karne ke Bhut se Kaaran ho
sakte hai.
Blog Ka Email ID Change Karne ka Kya Kaaran Ho Sakta hai
1. Login Problem:- Hme Login ko lekar Problem aa sakta hai.
Agur hmara Personal Email Id Different hai or Blogger Email Id Different hai,
To es Liye hme Apne Blogger Email Id or Personal Id Same Rakhna Chahiye ta ki
Hme baar-baar Login karne ka Problem n ho.
2. Adsense Account:- Agur aap Different Gmail Id se Adsense
Account Create kiye hai, To aap ko Blog ko Adsense Account se Joint karne me
Problem aa sakta hai. es liye aap ko Gmail Id Change karna pad sakta hai.
Adsense Account ko Approve karane ke liye Blog or Adsense Account dono same
hona jaruri hai. Ta ki Adsense Team ko kisi bhi Parkar ka Problem n ho.
3. Sell Blog:- Aap ko kai baar koi Problem ke kaaran Blog
bechane ke liye Idea aata hai, Or jab aap Bechana chahte hai. To jo aap ka Email
Id Hai jise Aap Blog open karte hai. Vo bhi
dena padta hai. Par vo Personal hone ke kaaran aap de bhi nhi sakte es
Condition me aap ko Mail Id Change karna padta hai.
Ya fir aap ke pass Kai Blog hai. Jo ek Email Id se Chale rhe
hai lekin ab aap ek Blog bechana chahte hai. To use ke liye bhi aap ko Gmail Id
Change karna padta hai. Or bhi kai kaaran ho sakte hai. Gmail Id Change karne
ka Par aap ko Nhi pta hai. Ki kaise Email Id Change kare blog ka To aap mere
btaye gye Step ko Step by Step follow kare.
Blog ka Email Address Kaise Change kare.
Blog ka Email Address Change karne ke liye aap mere btaye
gye Step ko thik se Follow kare aap bhut hi aasani se Apne Blog ka Email
Address Change kar lenge.
1. Sabse Phele aap ko Apne Blog ko Open karna hai.
2. Aap blog ke Dashboard pe jaye, vha aap ko Setting pe
Click karna hai.
3. Aap ko ab vha pe Basic ka Option Show ho rha hoga aap vha
pe Click karde.
4. Ab aap Scroll Down kare aap ko Permission ka Option Show
ho rha hoga aap Click karde.
5. Ab aap ko vha pe Add Auther pe Click karna hai. Ab aap ke
saamne ek Box open hoga aap vha pe vo Email Id dale jis Email Id pe Aap ko Blog
Transfer karna hai. Type karne ke baad aap Invitation pe Click kare.
6. Ab aap ne jo Email Id Add Author pe Type kiya tha use Id
pe aap ko Ek Email aayega. Use Email Ko Open kare or Invitation Accept karle.
Ab aap Next Page pe Redirect ho jayenge Aap Invitation Acept pe Click karde.
Ab aap Blog me As Author ke or se Post likh sakte hai. Lekin
aap Blog ki Setting ya blog ka Pura Access aap ke hath me nhi hai. Ise Liye aap
ko ek Or Setting karna hoga.
Step1:- Aap firse Dashboard >> Setting >> Basic
>> Permissions Pe jaye.
Step2:- Ab aap ko Firse Author pe Click karna hai. Ab aap ko
vha pe Scroll Down karna hai. Aap ko vha pe Admin ka Option Show ho rha hoga
Aap Admin Select karle.
Step3:- Agur aap Blog ke 2Admin rakhna Chahte hai, To bs
Yahi tk karke Closs karde. Agur aap koi Ek ko Remove Karna Chahte hai. To aap
Ko upar ke Side me Cross Ka Option de rha hoga usepe Click karde Jis Email Id
ke Cross pe Click karenge Vo Remove ho jayega. Or Vo Email Id Us Blog se Remove
ho jayega. Use Email Id se fir Login nhi kar sakte hai.
Is Parkar Se aap Bhut hi Easily Tarike se Apne Email Id ko
Remove kar sakte hai. Or Dusre Person ko Add Kar sakte hai. Agur aap ko koi bhi
Problem ho to Aap Email Id Change kar Sakte hai. Aap ko Change Karne me koi
Problem nhi Hoga Aap mere btaye gye Step ko thik se Follow kare.
Ok Friends Blog ka Email Address kaise Change kare Post me
bs Ina hi Agur Aap ko ye Post Pasand Aaye to Please Aap es Post pe Comment
jarur kare. Aagur aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka koi Question
hoto Please Aap es Post pe Comment jarur kare mai Aap ka Pura Help Karunga.
Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.
Ye Bhi Padhe.
* 5 Different Types WordPress Hosting
* Mutual Funds me Paise kaise Invest kare
* Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare
Ye Bhi Padhe.
* 5 Different Types WordPress Hosting
* Mutual Funds me Paise kaise Invest kare
* Youtube Channel ko Adsense Se Monetize kaise kare
Blog ka Email Address kaise Change kare
Reviewed by Rishav Rai
on
December 24, 2017
Rating:
Admin choose karne ka option nhi de raha hai...
ReplyDeleteBhai Aap niche ke Side me Dekhe aap ko Scroll Down ka Option De rha hoga aap Scroll Down kare Admin ka Option Show Ho jayega.
Delete