Online Vehicle Insurance Kaise Buy kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me janege Online Vechicle Insurance Kaise Buy kare. Dosto Aap agur ek Bike Driver hai. Aap bike Chalate hai, To aap jante hi honge ki Insurance Hmare bike ke liye kitna jaruri hai. Kyo ki Friends ise hamara Bhut jada Fayda hota hai. Aap ko ek baar thora Paisa lgta to hai, Lekin aap bike ka jada use karte hai. to Insurance se aap ko jada fayda hoto hai. Aap apne bike ko Thik se Maintain kar ke rakh sakte hai. or aap ka fir koi jada kharcha bhi nhi aata hai, Agur koi chij kharab ho jaye to. Ye bhi Depend karta hai. Aap ke Insurance Company pe. Ki Uska Policy or Vo Company kaisa hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Mai aap ko es Post me Insurance se Related Sare Question ka Reply dunga. Aap To jante hi honge ki Insurance Provide karne ke liye bhut se Website hai. Par mai aap ko yha pe Kuche Best Website ke baare me Details dunga. Jinke Website pe Aap ja Kar Apne Bike ke Liye Best Insurance Buy kar sakte hai.

Best Vehicle Insurance Type


1. Comprehensive Insurance:- Agur koi Person ye Insurance karvaya hai. To Use Bhut jada fayda hota hai. Maan lo kisi ka Accident hota hai, To Dono Vehicle, Driver or Uspe Baithe Sabhi Person ka Kharcha Insurance Company Uthata hai. Aap ko Kisi bhi Chij ke Liye Paise Pay Karne ka Jarurat nhi Padta hai.

2. Third Party Insurance:- Third Party Insurance me Aap ko Insurance Company Sirf Aap ke Vehicle se Hue Accident wale ka hi Kharcha degi. Aap ko kuche bhi Nuksaan hua ho vo aap ke saaman ka koi bhi bharpai nhi karegi.

3. Cashless Insurance:- Aap ke Pass Agur Koi bhi Four Wheeler Vehicle hai, To Cashless Insurance thik hai. Kyo ki Friends Aap ye Insurance karvaye hai. to aap Ka Vehicle khi pe kabhi bhi Kharab ho Koi fark nhi padta hai. Aap  jab ye Insurance karvate hai. To aap ko Ek Book milta hai ya aap Online bhi Check kar sakte hai. Company Kuche Garage Ko Apne under ki hoti hai. Jinmese aap kisi bhi Garage me ja kar aap apne Vehicle ko Thik karva sakte hai, Or uske Paise nhi lagte hai. But aap ko Kuche Charges pay Karne padenge Services ke liye.


Friends agur mai aap ko apna Suggestion du to aap ko Comprehensive Insurance karvana chahiye jise aap ko or Aap ke Saamne wale ko kisi bhi parkar ka Problem n ho. Vo or app Dono ko hi Profit ho. Ise liye Friends aap ko Comprehensive Insurance lena chahiye.

Aap ko Friends Insurance lene se phele aap ko kuche Chijo ka dhyan rakhna chahiye. Gadi ka IDV (Insurance Declared Value) or Company dvara diya gya NCB (No Claim Bonus). Ab Friends aap Socha rhe honge ki IDV or NCB kya hota hai.

IDV Kya hota hai ?

IDV ka full form hota hai (Insurance Declared Value) or ye aap ke Vehicle ka Old Bill hota hai. jise samye aap Vehicle ko  Buy karte hai.  Us samye Ye Paper Banta hai. Aap ke Vehicle ka Agur Insurance hai or Aap ka koi Nuksan hota hai, To aap ise Paper ke Jariye aap Vehicle ke liye Claim kar sakte hai.

NCB Kya hota hai ?

NCB ka Full Form Hota hai (No Claim Bonus) ye Ek Discount hota hai. Policy Company Ye tb deti hai. Jab aap kisi bhi parkar ka Claim nhi karte hai. Ise aap ko Damage pe 20% se 50% tk ka Discount milta hai. NCB ko Aap kai Year tk Pay kar sakte hai. Aap Agur New Vehicle Buy karte hai, To aap purane Vehicle ka Policy Transfer bhi karva sakte hai.

Friends Policy Karvate samye aap ko ye sare baato ko Dhyan me rakh kar Policy lena hai. Aap Jis Policy Ko Best Mante ho aap us Policy ko Buy kare.

Top4 Vehicle Insurance Provide Company Name.

1. Bajaj Allianz:- Bajaj Allianz aap ke liye bhut hi Best Insurance Policy hai. Aap Aap ke Pass Two Wheeler hai, To aap es Policy ko Le sakte hai. Ye Insurance Policy Aap ke Vehicle ko Har ek Parkar se Hue Damage pe Policy Provide Karta hai. Es Website pe Aap ko Car Insurance, Health Insurance or Family Floater Insurance bhi milta hai. Aap es Policy ko Online bhi Activate rakh sakte hai.

2. ICICI Lombard:- ICICI Lombard Aap ko Two Whealer Insurance Provide karta hai. Es ke ilava aap Motor Insurance, Health Insurance or Car Insurance or bhi kai Insurance aap yha pe karva sakte hai. Yha pe Aap Policy Ko Renew Bhi  karva Sakte hai. Es ke liye aap ko Eske Official Website pe jaakar Policy Buy karna hoga.


3. HDFC Ergo:- HDFC Ergo bhi Same Benefit Provide karta hai. HDFC Ergo se bhut se Person Policy ko Buy karte hai. Ise Website pe Rojana Bhut sare Person Policy ko Buy karte hai. Ise 2Wheeler Insurance karvane ke Baad aap ko Tension lene ki koi Jarurat nhi Aap bs Vehicle ko Chalaye Ye Company Insurance Ke maamle me bhut hi best hai or Iske Service Bhi Fast hai.

4. New India Assurance:- Friends ye bhi ek Insurance Provide karne wali Company hai. Ye bhi Company aap ko Same Insurance Facility deta hai. Isme aap ko Personal Insurance bhi Milte hai. Aap ko Eske Website pe or Bhi kai Offer mile Jayenge. Jise aap ka Money, Vehicles or Aap Safe rhenge. Ye Company en Sabhi Company ke baad aata hai. eska bhi Service thik hai. Aap iske bhi Website se Policy Buy kar sakte hai.

Ye The Friends aap ke liye Insurance se Related kuche Ideas Agur Friends aap ko ye Sabhi Company Pasand ho, To aap inme se koi Bhi apne Jarurat ke Mutabik Buy kare.

Ok Friends Aaj ke Online Vehicle Insurance Kaise Buy kare Post me bs itna hi. Agur Friends aap ko ye Post Pasand aaya ho ya Aap ke liye Ye Post Helpful rha hoto Please aap es Post pe Comment kare. Agur Friends Aap ko Kisi bhi Parkar ka Problem ho Ya aap ka Koi Question Hoto Please Aap mujhe Comment kare. Mai aap ka Pura help karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Online Vehicle Insurance Kaise Buy kare Online Vehicle Insurance Kaise Buy kare Reviewed by Rishav Rai on October 15, 2017 Rating: 5

1 comment:

  1. Nice and interesting information and informative too. Can you please let me know the good attraction places we can visit: Insurance Online

    ReplyDelete

Powered by Blogger.