Gmail me 2-Step Verification kaise On Kare

Hi Friends

Aaj hm es post me Janege Gmail me 2-Step Verification kaise On kare. Friends aap To jante hi hai Aaj kal Hme apna Personal Data safe rakhna kitna Muskil hogya hai. Kyo ki Friends aaj kal Bhut sare Hacker apne aap ko Marcket me lane ke liye Bhut se chije hack kar rhe hai. Jisme se ek Gmail Account bhi hai. Aap ka thora se Mistake Aap ke Gmail Account ko Hack kar sakta hai. es Liye Friends Aao ko Apne Gmail Account ko 2-Step Verification ke Sath jarur Attached kare. Jise aap ka Account Secure rhe.

www.suryarishavrai.blogspot.com

2- Step Verification kaise Work karta hai.

Friends 2-Step Verification Aap ke Gmail Id ko Mobile Number se Link karta hai. Aap ke Gmail Id Se Koi Bhi Login karta hai, To Use OTP Code Mangega joki Aap ke Diye gye Mobile Number par ek Message hota hai. Usme OTP Code hota hai. Jab tk Vo OTP Code nhi dalenge aap ke Gmail ID se vo Login Nhi kar sakega.

Friends Eska Aap ko Bhut Profit hota hai. Aap ko es Suvidha se Message ke Jariye Pta bhi Chale jata hai. Ki koi Aap ke Gmail Id me login hona Chahta hai. Fir Aap apne Gmail ID Ka Password Bhi Change Kar sakte hai. 2-Step Verification aap ke Gmail ID Security ko or Powerful banata hai. Aap ko Bs Apne Mobile Number Ko or kisi ke Hath Nhi lagne dena hai. Nhi to vo Aap ke Gmail ID se Related Sare Work pe Access le sakta hai. Es Liye Friends Aap apne Mobile Number ko Hmesa Safe Rakhe.

Gmail me 2-Step Verification kaise kare.

Friends Gmail me 2-Step Verification on karne ke liye Kai Method Hai. Mai aap ko Sabse Simple Method Btaunga Friends Aap es Ke Gmail Me Bhi ja kar ke Kar sakte hai.

1. 2-Step Verification On karne ke liye Sabse Phele aap yha Click kare.

2. Ab aap ko Apne Gmail Id Se Login karna hoga sabe Upar aap ko Login ka Option de rha hoga. Aap Vha pe click karke Login ho jaye.

3. Ab aap Sign-in & Security pe Click kar de. Ab aap Scroll Down kare Aap ko Signing in to Google ke Right Side Me Aap ko Password & Sign-in Method me aap 2-Step Verification pe Click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com


4. Ab aap ko Get Started pe Click karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

5. Ab aap ke Samne jo Page Open hua hoga Vha pe Aap ko Email Id ka Password Daal kar Next Pe Click karna hai.

6. Ab aap se Mobile Number pucha ja rha hoga. Aap Mobile Number bharde ya Phele se Mobile Number Show ho rha hai to Ek baar Number Dekh le or Niche aap se Pucha ja Rha hoga Have do you Want to get Code? ke Option Show Ho rha hoga Aap dono Me Se Koi Bhi ek Select kare or Next pe Click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com


7. Ab aap ke Diye Gye Mobile Number pe Ek Code Gya hoga Aap use Yha fill karke Next pe Click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com

8. Ab aap ko Turn On ka Option de Rha hoga Aap Turn on pe Click karde.

Ab aap ko Friend Next Page me Mobile Number Verified Show kar rha hoga. Aap sabse Upar Dekhenge Friends To aap ko Turn Off Ka Option Show Ho rha hoga Matlab ki Friends Aap ka 2-Step Verification Activate ho gya hai. Ab Friends Aap ke Gmail ID se Jo First Time Login karega use One Time Password Mangega jise aap ko Bharna padega to hi aap Gmail Account Me Login ho payenge.

Ok Friends Gmail me 2-Step Verification kaise kare Post me bs itna hi. Agur Friends Aap ko ye Post Pasand aaya ho ya Aap ke Liye ye Post Help Full rhe to Please Aap Comment jarur kare. Agur Friends Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka kisi bhi Parkar Ka Question hoto Please Aap Mujhe Comment jarur kare.

Gmail me 2-Step Verification kaise On Kare Gmail me 2-Step Verification kaise On Kare Reviewed by Rishav Rai on October 16, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.