Hi Friends
Aaj hm es Post Me Jaanege Apne Aadhaar Card Ko Bank Account
ke Sath kaise Link kare. Friends Jaisa ki aap jante hi honge ki Aaj ke Samye me
Aap ko apna har ek chij Aadhaar card ke Sath Link karvana jaruri ho gya hai.
Kyo ki Rule Government ne Nikaal diya hai. ab har ek Jghe aap Ko apna Aadhaar
Card Se Hi Koi bhi Kaam karvane me Profit hai. Ta ki aap ko baad me kabhi bhi
Problem n aaye. Ab aap ka Sim Ho ya Pan Card Sab Kuche Aadhaar Card Se Link
jaruri hai. Friends ab aap ko Thora sa Problem hota hoga. Kyo ki Bank Me Jaao
or fir Line lgao Aadhaar Card ko Bank Account se Link karvane ke liye Ye thora
Problem wala baat hai.
Friends lekin Government ne kai Ese System Chalu kiye hai.
jise ke kaaran aap apne Work ke Sath hi Apna Aadhaar Card Ko kisi bhi Chij ke
Sath Link kar sakte hai. Aap Agur Aadhaar card ko Bank Account se Link karvana
chahte hai, To aap 4Option diye ja rhe hai. Jise ke Help se Aap apne Aadhaar
Card ko Bank Account se Link karva Sakte hai.
Aadhar Card ko Bank Account se Kaise Link kare.
Friends aap apne Aadhaar card ko 4Method se Bank Account se
Link karva sakte hai. Jisme se Aap 1Method Online use kar sakte hai or 3Method me
Aap ko thora bhut Bank ka Help Lena hoga. Aap mere Btaye gye Method Ko Follow
kare or Apne Aadhar Card ko 5Min me Bank Account se Link kare.
1. ATM Card:- ATM Card ke Davara bhi aap apne Aadhar Card ko
Bank Account se Link karva sakte hai. Eske liye aap ko koi bhi Extra Time
nikalne ka jarurat nhi hai. Aap Jab Paise Nikalne jayenge ATM me us time aap
apne Aadhar Card ko Bank Account se Link karva sakte hai. Eske liye aap ko koi
Charges Pay Nhi karna Padega. Aap ko Bs kuche Step Follow Karna hai. or Aap ka
Aadhar Card aap ke Bank Account Se Link ho jayega.
* Aap ko Sabse Phele ATM Card Ko ATM Machine me Daalna hai.
* Ab aap ko turant Message Show Karega ki Kya aap Aadhar
Card ko Account se Link karna Chahte hai.
* Ab aagur aap Link karna Chahte hai, To yes Kare Ya Fir aap
No ya Later Ka Option Choose Kar Sakte hai.
2. Aadhar Card Copy:- Aap Agur Bank ja Kar Aadhar Card ko
Bank Account se Link karna Chahte hai, To aap Ko vha pe Apne Aadhar card ka
Photo Copy Lekar Jaana hoga. Fir aap Bank me Kisi bhi Bank Ke Employment ko
Aadhar Card ka Photo Copy de kar use Aadhar Card ko Bank Account se Link karne
ko khe Sakte ho. Fir Bank Ka Employement aap ke Aadhar card ko Aap ke Bank
Account se Link kar dega or Fir aap ke Mail Id Pe Message bhi aa Jayega.
3. Subsidy System:- Aap Subsidy System ke Davara bhi apne
Aadhar Card Ko Bank Account se Link kara Sakte hai. Aap agur Gas Lete hai, To
aap ko Pta hi hoga Government ne Subsidy System Lagu kiya tha. Jisme aap ko Gas
Ke Kuche Rupees Aap ke Account me Bhi aate hai. Subsidy Pane ke Liye aap ko Apna
Aadhar Card Apne Gas Company or Bank Me Jama Karana hota hai. Jise aap ka
Aadhar Card Aap ke Bank Ke Sath Link Ho jata hai. or Aap ka Subsidy bhi aane
Lagta hai. Es Tarike Se Bhi aap Apne Bank Account ko Aadhar Card ke Sath Link
Karva Sakte hai.
4. Online Aadhar Card Link:- Aap ko Online Aadhar Card Ko
Apne Bank ke Sath Link karane ke liye Sabse Phele Aap ke Pass NetBanking
Account Hona Jaruri hai. Aap ke Pass NetBanking Account hai To Aap Mere
Btaye gye Step ko Follow kare.
Online NetBanking Account Kaise Open kare jaanne ke liye Yha Click kare
Online NetBanking Account Kaise Open kare jaanne ke liye Yha Click kare
1. Sabse Phele Aap ko Apne Bank Ke NetBanking Website pe jaana hai.
2. Ab aap apne NetBanking Account ko login karle.
3. Ab aap ko
e-Service pe Click karna hai. Vha pe Aap ko Link your Aadhaar Number Pe Click
karna hai.
4. Ab aap se Vo Aap ke NetBanking Account ka Profile
Password Maange Ga aap use Bhar de or Submit pe Click karde.
5. Ab aap ke Saamne Next Page Open Hoga Aap Register Pe
Click kare. Ab aap ko Apna Details Bharna hai.
*Transaction Accounts pe Aap ko Apna Account Number Select
Karna hai.
* Mobile Number Pe Aap apna Mobile Number Bhare jo Number
Aap ke Account Se Link hai.
* Aadhaar Number pe Aap ko Apna 12Digit Aadhaar Number Fill Karna
hai.
* Confirm Aadhaar Number pe Aap ko Fir se Aadhaar Number
Bharna hai.
* Sare Details Check kar Aap Submit Pe Click karde.
Ab aap ka Form Bank Ke Pass Chale jayega vo Aap ka Details
Verify Karenge Or Next Day tk Aap ka Aadhaar Number aap ke Bank Account Ke Sath
Join ho jayega. Or Aap ko Bank ke Tref se Sucessful Ka Message Aa Aap ke diye
gye Number pe Aa jayega.
Ok Friends aap ko Agur Aadhaar Card Ko Bank Account ke Sath kaise
Link kare Post Pasand aaya hoy a aap ke Liye ye Post Helpful rha hoto Please
Aap es Post pe Comment kare. Aap ka Kisi bhi Parkar Ka Question ho ya aap ko
koi bhi Problem ho to aap mujhe Jarur Comment Kare mai aap ka Pura help
Karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.
Ye Bhi Padhe.
* Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare
* Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare.
* SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare
* Online Debit Card ke Liye kaise Apply Kare
Ye Bhi Padhe.
* Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare
* Driving Licence Ke liye Online Kaise Apply Kare.
* SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare
* Online Debit Card ke Liye kaise Apply Kare
Aadhaar Card Ko Bank Account ke Sath kaise Link kare Hindi Me
Reviewed by Rishav Rai
on
October 08, 2017
Rating:
No comments: