Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me janege Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare. Friends Ye Problem sabhi Computer ya Laptop Users Ko Jarur aata hai. Dosto ye Problem mujhe bhi aaya tha Kuche Samye phele or Mai Bhut Problem me Aa gya tha Kyo ki Mere Bhut se Personal Data usme The. Jise Kaaran mera College Project bhi Delete Ho gya tha. Us Samye Mujhe es Trick ke baare me pta nhi tha. Jise ke Karan mai apna Koi Bhi Data Secure nhi Kar Paya tha. Es liye mai Ab ye Post aap logo ke Liye Likh rha hu ta ki Aap ko Ye Problem n aaye. To Dosto aap ye Post Ko Thik se Padhe.

www.suryarishavrai.blogspot.com



Esme Aap ko Easeus Software ka Help Lena Padega. Ye Software aap ko Trial Version or Paid Version dono me Kaam karta hai. Aap Agur Trial Version use karte hai to aap Sirf 2GB tk Data Store kar Sakte hai. Paid Version me Aap ko Unlimited Space Milta hai. Es Software ke Help se Aap ko apne Data ko Recover karna hoga. Easeus Software Se Aap ko Kisi bhi Parkar Ka Problem nhi hoga. Aap ese Dhyan se Use kare. Es Software se Aap Apne Hard Disk Ke Data ko Store Kar sakte hai. Friends Kai log Puchete hai Hard Disk Crashed Hone Ke Kya karan Hai. Hard Disk Kabhi bhi Direct n Band ho. Ye Sabse Jada Problem karta hai, Hard Disk Ko Kharab Hone ka.

Easeus Software se Data kaise Recover kare.

Easeus Software Aap Easeus Ke Official website se hi Download kare. Kyo ki Friends Aap agur koi duplicate website se Download karte hai, To aap ko Kuche Problem aa sakte hai. Kyo ki Friends Dusre Website wale Aap ke System ko hack kar sakte hai. Duplicate Easeus Software ke Name se. Is liye Friends Aap Easeus Software Uske Official Website se Download kare. Aap ko Vha pe kai Easeus Software mil Jayenge aap Agur or koi Work ke Liye Download Karna Chahte hai, To aap vha pe Padhe Kar Download Kar Sakte hai. Aap ko 3Option Milenge Alag-Alag Aap ko Jo bhi Work ke liye use karna hai, Aap Download kar sakte hai.


Step1:- Sabse Phele aap Easeus Software Download Karle Download Karne ke Liye Yha pe Click Kare.

1. Ab aap es Easeus Software ko Install karle or Open Kare.

2. Ab Friends Aap ke Saamne File Select karne ka Option dega. Aap jise Chij Ko Restore karna chahte hai, Use Select karle Image, Document, Video or Audio Aap Select karne Ke baad aap Next Pe Click karde.

Step2:- Ab aap ko Apna Drive Select karna hai, Agur aap ko Apna Drive Nhi Show ho rha hai, To aap Back kar Lost Disk Drive Ko Select kare or Aap ko Scan Ka Option Show Ho rha hoga aap uspe Click kare.

1. Ab Scan Finished Hone ke Baad Aap Ko Sare File Show Ho gye honge Aap ko Jo bhi file Restore karna hai use aap Select kar Restore pe Click kare.

2. Kai baar Friends Scan Karne Ke Baad bhi File Show Nhi hota hai, To uske Liye aap Deep File Scan pe Click kare. Deep Scan Method Se Aap ke Sare File Show Ho jayenge.

Hard Disk Crashed Hone ke Kya Karan hai.

1. System ko Direct Close karna.

2. Windows Ka Perfect n chalna.

3. Hard Disk Me Virus a Jaana.

4. Hard Disk Me Shortcut Banna.

5. Hard Disk ko Baar-Baar Ek dusre Pc Me Use karna Without Scanning Ke.

6. Hard Disk me Jada Storage Full Karna.

7. On Hard Disk ko baar-baar Hilana.

Dosto or Bhi kai Parkar Ke Problem se Aap ka Hard Disk Crashed Ho sakta hai. Es Liye Friends Aap apne Hard Disk ko Jade Samye Tk Chalana chahte hai, To aap Hard Disk ko Baar-Baar Na Touch kare.

Ok Friends aaj ke Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare Post me bs Itna hi. Agur Friends aap ko kisi bhi Parkar Ka Problem hota hai. To Please Aap Mujhe Comment Kare. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto aap Mujhe Comment kare. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.

Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare Crashed Hard Disk Ka Data Kaise Recover Kare Reviewed by Rishav Rai on October 05, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.