Hi Friends
Aaj hm es Post me Jaanege Blog Me SubDomain kaise use kare.
Dosto Aaj mai Aap ko es Post me blogspot pe Kaise Sub Domain ko use karte hai
es ke Baare me btaunga or bhi kai Question ka Jawab aap ko Es Post me Mile
jayega. Aap bs Es Post ko suru se lekar last tk jarur padhe. Aap bhi Agur Apne
Blog Website ke Sath SubDomain use karna chahte hai, to mere btaye jaane wale
Step ko Step by Step Follow kare. Blog Website ke Jghe pe aap Paid Domain use
kar aap apne Blog ko Perfect Website me Change kar sakte hai.
Blogger Google ke Tref se Provide kiye jaane wala Service
hai. Ye to aap Jaante hi Honge. Logo ko Website Banane Me bhut Problem hota tha
or Bhi kai Kaaran hai. Blogger Service Provide karne ka. Logo ko Apne kaam
Karne me Jada Problem n Aaye es Liye Google ne Ye Service Start Kiya tha. Fir
Kuche samye baad Google Adsense ne Blog Website ko Bhi Apne Ads Show Karane Lg
gyi or Fir Blog se Bhi Log Paise Kamane lg gye. To Friends ab hm chalte hai.
Apne Topioc ki or.
Blog me SubDomain Kaise Add Kare.
Friends SubDomain Add Karna Same Usi Trhe hai, Jise Trhe hm
Simple Domain Add karte hai. Matlam Custom Domain ke Trhe hi ese Bhi Add Karna
hota hai.
1. Ab aap ko Setting pe jaana hai. Setting me aap ko Basic
pe Click karna hai.
2. Basic me aap ko Publishing ka Option diya ja rha hoga.
Vha pe Aap ko + Set up a Third Party Url for Your Blog Pe Click karna hai.
Step2:- Ab aap ko Apna Domain Name type Karna hai, Aap koi
bhi Domain yha Type kar de. Ab Aap ko Erroe Show Karega “ We Have not been able
to verify your authority to this domain. Error 12” aa gya hoga ab aap ko Niche
Record Show Hog ye honge.
1. Ab aap ko Ye cName Apne Domain ke Sath Add Karna hai.
Step3:- Ab aap ko Ye Record Apne Domain ke Sath Add karna
hai. Eske Liye aap apne Buy Kiye gye Domain Website pe Jaaye or Login kare.
Maine Godaddy se Domain Buy kiya hai. Vaise To Adhiktar Websiter Godaddy se Hi
Domain Buy Karte hai.
2. Ab aap jise Domain pe SubDomain use KArna Chahte hai. Aap
use Select Kare or Domain Ke Manage DNS Setting pe Click karna hai.
3. Ab aap ko Records Ke Option pe Click karna hai. Vha pe
Aap ko A, cName, NS Record ka Option de Rha hoga. Aap ko Yha pe Blog Me Show Ho
Rhe cName ko Yha Fill Karna hai.
4. Aap Sabse Phele Add Record Pe Click kare.
5. Ab aap ko Type Me cName Fill Karna hai.
6. Host me Aap demo Fill karde.
7. Points To me Aap ko ghs.google.com Fill Karde.
8. TTL Me aap Custom Select kare.
9. Ab aap ko Save Pe Click karna hai.
Step4:- Ab aap ka Domain Setting Kuche Time baad Sahi Ho
jayega. Ab aap ko firse Blog Setting Ko Repeat Karna hai.
2. Aap ko Setting pe Click karna hai.
3. Ab aap Third-party domain Setting pe Apne demo Domain ka
Name Type kare.
4. Ab aap Scroll Down kare, Vha pe aap ko Redirect pe Click
karde or Save Pe Click kare.
Ab aap ko SubDomain blog ke Sath Connect Ho gya hai. Ab aap
ko SubDomain Blog ke Sath Attached ho kar Kuche Samye baad On Hone lgega. Kai
Baar Friends SubDomain ko Open hone me Kuche Time Lge jata hai, Lekin fir bhi
aap ka SubDomain 24Hours Tk Activate ho jayega.
Ok Friends aaj ke Blog Me SubDomain kaise use kare Post me
Bs Itna hi. Agur friends aap ko ye Post Pasand aaya ho ya Aap ke Liye ye Post
Helpful rhe To Please Aap Mujhe Comment kare. Aap ko Kisi bhi Parkar Ka Problem
ho ya Aap ka Koi Question Ho To Please Aap mujhe Comment jarur kare. Hmare
Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.
Ye bhi Padhe.
* Custom Permalink kya hai or Blogspot me Kaise Use Kare
* Blog pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye
* Website Post Content ko Copy Hone se Kaise Bachaye
Ye bhi Padhe.
* Custom Permalink kya hai or Blogspot me Kaise Use Kare
* Blog pe Free Template or Theme use Kyo Nhi karna chahiye
* Website Post Content ko Copy Hone se Kaise Bachaye
Blog Me SubDomain kaise Use Kare
Reviewed by Rishav Rai
on
October 10, 2017
Rating:
No comments: