Google Adsense Native Ads Kya Hai Iske Fayde or Ese Kaise Use Kare

Hi Friends,

Aaj Hm es Post me Janege ki Google Adsense Native Ads Kya Hai Iske Fayde or Ese Kaise Use kare. Dosto es Post ko Pura or Thik se Padhe ta ki aap ko eske baare me pta chal Sake. Dosto Native Ads Google Adsense ke hi Ads hai. Jaise ki aap Phele Apne Website pe Ads Lgate the to vo aap ke Content se Alag Ads Show hote the. Lekin aap Ab Native Ads ke help se Aap apne Post se Related Ads Show karva sakte hai. Jiske kai Fayde hai unmese ek ye ki ab aap ke Visitors ko Ads se Koi Problem nhi hoga. Kyo ki aap ke Post pe dikhaye jaane wale ads aap ke Content se hi Related Show hoga.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Google Native Ads kitne Parkar ke hote hai?

Dosto Google Natives Ads Three Types ke hote hai.
1. Meatched Content Ads
2. In Feeds Ads
3. In Articles Ads
Dosto ye tin Ads se Aap ko or Aap ke Visitors ko koi bhi Problem nhi hoga. Kyo ki Ye Ads Aap ke Post se Related Show honge.

1. Meatched Content Ads:- Dosto Meatched Content Ads Aap ke Website ke liye kafi best Ads hai. Kyo ki Koi bhi Visitors aap ke Post ko Open karta hai. To Google Aap ke Post se hi Related Ads Show karata hai. Aap ke Website pe ta ki Aap ke Visitors ko koi Problem n ho or Aagur use Pasand aaye to vo Ads pe Click bhi kar sakta hai. Or Aap ke Website ka Bounce Rate bhi Maintain Rheta hai.

2. In Feeds Ads:-  Dosto In Feeds Ads aap ke Website ke Main Page ke liye best hai. Jaise ki Aap apne Main Page pe 7Post lagaya hai. Aagur Aap Post ke Biche me Ads Show karana Chahte ho to Aap ke Liye Feeds Ads Best hai. Kyo ki Feeds Ads me Image, Title or Description ye Tino Show hote hai.

In Feeds Ads ke bhi 4Tips hai.
1. Image Above.
2. Image on Day Side.
3. Title Above.
4. Texts Only.
Adhiktar Webster isi Parkar ke Ads use karte hai. Aap bhi ye Ads Use kar sakte hai. Aap Apne Website ke Hisab se Ads Size Choose kar sakte hai.

3. In Articles Ads:- Dosto ye bhut hi Badhiya Ads hai. Aap Aagur paresaan hai. Ki aap ke Content me Ads Content ke Related nhi Show ho rha hai. To Friends ye Ads aap ko ho rhe Problem ko Solve karta hai.
Aap ko bhi Aagur Apne Content se Related Ads Show karvana hai. To aap bhi Yahi Ads Use kare. Google aap ke Website pe Content se Related Ads hi Show karega.

Or es Ads ka Sabse Jada fayda ye hai ki is Ads se aap bhut jada Paise kma sakte ho kyo ki es Ads ko Aap Apne Content ke bich me bilkul Apne Website ke trhe Design kar sakte hai. Es Ads ko Aap bs Articles ke biche me hi lga sakte hai. Yani ki Start Paragraph ke Pass. Baki aap es Ads ko or khi nhi Use kar sakte hai. Kyo ki ye Special Articles Ads hai.

Google Native Ads Ke fayde.

Dosto Google Native Ads ke kai fayde hai.
1. Aap ke Website me Aap Ke Content se Related Ads Show honge Jise Aap ke Visitors ko Problem nhi hoga.

2. Google Adsense Native Ads me Aap ko Kai Parkar ke Ads Size Show hote hai. Aap ke Visitors Jis Device me Open karenge ye Ads usi Device ke Anusar Size Show karenge.

3. Google Adsense Native Ads aap ke Website Friendly hai. Ese Apne Website ke Design ke Sath Manage karna bhut Aasan hai. Isme Aap ko Bhut sare Design mil jayenge jise aap ke Website ka Look bhi nhi Kharab hoga.

4. Google Adsense Native Ads se Aap ko Bounce Rate me bhi Problem nhi aayega or Aap ki Earning bhi Badhe jayega. Kyo ki Ads Aap ke Content se Related hoga or log use Pasand kar ke Click kar denge.

Native Ads Create Kaise Kare

1. Dosto Sabse phele aap ko koi bhi browser pe Adsense Account login Karna hai.

2. Ab aap ke Left side me Menu bar pe click kare. Or New Ads Unit pe Click kare.

3. Ab Aap ko jis Trhe ka Ads use karna chahte hai vo select kare yha aap ko Google ki or se 4Types ke Ads Category diye gye hai.

4. Ab aap ke Samne ek Page open hua ho ga aap uspe Apne Interest ke Hisab se Ads Design Kar sakte hai.

5. Ads Design Karne ke baad aap Save Get Code pe Click karde.

6. Ab jo Aap ko Code mila hai. Vo code aap jha pe lagana chahte hai. Aap vha pe Paste kar de.

Aap ka Code 24Hours ke Under me Aap ka Code Active ho jayega. Or Aap ke Adsense Account ke Under My Ads Unit pe Active ka Likha hua Option Show ho jayega.

Ok Friend Aaj ke Es Post me bs Itna hi. Mujhe Umid hai ki aap ko Native Ads ke Baare me Pta chale hi gya ho ga Aagur fir bhi aap ko koi Problem hai ya Aap ka Koi Question hai to Please App mujhe Comment jarur kare mujhe aap ka Help karne me Bhut khusi hoga.

Aap ko Aagur ye Post Pasand aaya to Please aap es Post ko Apne Social Network pe Share kare taki or Friends ko bhi es New Jankari ke Baare me pta chale. Or hmare Social Network Page ko Like or Share jarur kare.

Ye Bhi Padhe:-
* ADSENSE PE ACCOUNT KAISE BANAYE.
* ADSENSE PE ACCOUNT KAISE BANAYE.
* Adsense Approved karane ke liye Maine Kya Kiya
* Adsense Account Me Kisi or Ka Bank Account Kaise Use kare Payment ke Liye
* ADSENSE APPLY KARNE KE TIME KIN CHIJO KA DHAYAN RAKHE.
* Adsense se Paise kaise Kamaye.
* Adsense Earning Increase Kaise kare.
Google Adsense Native Ads Kya Hai Iske Fayde or Ese Kaise Use Kare Google Adsense Native Ads Kya Hai Iske Fayde or Ese Kaise Use Kare Reviewed by Rishav Rai on August 01, 2017 Rating: 5

2 comments:

  1. Bro.... Aapko Information ke sath Print Shot bhi Add karna chahiye kuch Topics ke sath jaise aapne write kiya hai Naretive Ads ko kaise Create karen ise aap ek Print Screen me kuch number jaise 1.2.3 aisa karke ek print screen me hi details ko cover kiya karen jisse aap ek hi print screen me jyada topics ko Clear kar sakenge aur aapke Visitors ko aapke Article se jyada Benefit hoga....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap ne Comment kiya mujhe Ascha lga or mere galti ko Btane ke Liye Thanks aaj se mai es Chij ka Dhyaan rakhunga.

      Delete

Powered by Blogger.