Top 10Responsive and Seo Optimized Templates

Hi Friends

Aaj hm is post me Jaanege Top 10Responsive and Seo Optimized Templates ke bare me. Agur aap PHP ya fir kabhi bhi website create kiye honge to aap ko pta hi hoga ki Templates hmare website ki liye kitna jaruri hai, Par kai log website to bna lete hai. lekin unhe nhi pta hota ki Konsa template use kare jise hme problem n aaye. Website ke liye design bhut hi important hota hai. ta ki use agur koi visitors open kare to vo aap ke website ka look dekh kar bhut jada impress ho jaye. Is liye aaj mai aap ko is post me Responsive or Seo Optimized Blogger template ke bare me btaunga.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Aap in 10Template ka demo bhi dekh sakte hai. Sabse phele aap demo dekhe fir use apne blog me use kare. Ye template Mobile Responsive or fast loading template hai. Aap inhe ek baar jarur use kar ke dekhe. Ye aap ke website ko best banane me bhut help karega. Aap without demo dekhe n use kare. Aap ko in template me kafi jade parkar ke widgets mil jayenge ab hm chalet hai apne main Topic ki or.

Top 10 Responsive and Seo Optimized Template

1.Sora Ribbon Blogger Theme:- Sora Ribbon Blogger Theme Ek best Responsive or Seo Optimized Templates hai. Ye templates ek best template hai ise sabse jada Technology or News ke liye use kiya jata hai. Agur aap ko Coding ka Thora bhut Knowledge hai, to aap ise template ko or badhiya design kar sakte hai.

Ise Template me aap ko phele se hi Social Media Network ke Follow Widget provide kiya gya hai. Jo ki ek best Widgets hai ise ke liye aap ko jada problem nhi hoga. Aap ko bs isme apne social media network ka link add karna hai. Aap ko isme Socail media ke footer bhi dekhne ko milenge. Aap agur ise Templates me upar ki or dekhenge to aap ko Upar Pages Add ke  liye bhi Option mile jayega. Aap usme apne Website ke Page Add kar sakte hai.

2. XadowMagz Template:- XadowMagz Theme bhut hi Popular theme hai. Ise bhut se WordPress Site Creater use karte hai. Ye ek Responsive or Seo theme hai. Isme bhi aap ko best Social Media Icon look dekhne ko milega or ise theme me aap ko kai parkar ke or bhi best service mil jayenge.

Iska Subscription Widget bhi best look wala hai. Jise dekh kar aap ke visitors or aap ko ascha lagega. Isme aap ko fixed navigation bar bhi mile jayega jise scroll karne me thora best lagega. Ye bhi  aap ko ads-ready template milega. Inmese aap footer link ko bhut hi aasani se remove kar sakte hai.


3. Best Seo Ready Blogger Template:- Best Seo Ready Blogger Template ke name se hi aap ko pta chale gya hoga ki ye ek Seo Blogger Template hai. Isme aap ko phele se hi Seo Include milega aap ko bs is eek baar thik se set karna hoga ta ki aap ko problem n ho aage ja kar, or aap hare k template ko edit kar ke ek baar check kar le ki usme koi link n add kiya ho kisi bhi parkar ka nhi to aap ke website ke liye disadvantage n ban jaye.

Ise liye aap check jarur kare, lekin yesa problem jaldi nhi aata hai. Aap agur dusre ka diya hua template use karte hai to aap ko ye problem aa sakta hai. Aap koi bhi template uske Offcial website pe ja kar hi Buy ya Download kare. Ta ki aap ke website se Google Adsense ke company ko bhi problem n ho na hi aap ko. Aap is Theme ka Primary color bhi change kar sakte hai.

4. VIPI Template:- Vipi Templates bhut hi best or fast loading templates hai. Agur aap ise use karte hai to aap ke visitors ko mobile look bhi best dikhega. Isme bhi aap ko drop-down menu or Social Media Network icon ka function mile jayega. Iske sath isme ads-ready functions bhi phele se uplabdh hai.

Isme aap ko Header or Footer ke same design dekhne ko milega. Iske sath isme aap ko Subscription widget bhi mile jayega. Ya fir aap iska coding khud se design kar sakte hai agur aap ko coding ka knowledge hai to, Iske sath aap Comment box ka bhi system best look dekhne ko milega. Baki to aap ko pta hi hai, jo design aap ko pasdand n aaye to aap coding ke jariye change bhi kar sakte hai.


5. Optima Theme:- Optima ek best Theme hai Iska loding speed bhut fast hai baki aap ke work pe depend karta hai, ki aap ise kaise use karte hai. Ise theme me same upar wale theme ke trhe hi isme bhi facility provide kiya gya hai or isme aap ko Ads-ready system bhi hai. Aap ise jaise hi install karoge aap ko sirf apne adsense ke ads lagane hai or bs vo aap ke website pe show hona start ho jayega.

Isme sabse khas baad apne visitors ko apne Contact me rakhne ke liye aap ko isme subscription widget provide kiya hai jise aap apne website ke daily updates apne visitors ko de sako. Isme aap apne post Category ko bhi set kar sakte hai, ta ki aap ke visitors aasani se apne category ke post padhe sake ye facility aap ke visitors ke liye bhut ascha hai.

6. Robusta Theme:- Robusta Theme Best theme hai isme aap ko subscription widget up side me diya gya hai. Aap uska setting vaise apne anusar change kar sakte hai. Agur aap use Right side center me lagana chahte hai to aap vha pe bhi lga sakte hai. Robusta theme me aap ko Upar ke side me Menu bar me About us, Contact us, Privacy Policy Page add kar sakte hai.


Aap ko ise theme me bhi niche ke side category option hoga isme aap ke post ke categories ke hisab se post usme add honge or click kare pe use category ke sare post show hone lagenge. Aap ko ise theme me bhi social media icon facility mile jayega upar ke side or niche ke side me. Aap ke visitors uspe click kar aap ko social media pe bhi follow kar sakte hai.

7. Seo Hub:- Seo Hub ek fast loading template hai. agur aap ise theme ko use karte hai to aap ka website open speed fast hone ke bhut chances hai. Iske sath aap ko ise theme me Seo ka bhi best facility provide kiya gya hai. Aap ko Seo ko lekar koi jada problem nhi aayega. Baki aap ko khud se bhi seo ko dhyan me rakh kar Work karna hoga.

Seo Hub Theme me aap ko ads-ready or responsive theme milega. Aap ise use jarur kare aap ke visitors ise theme ko bhut jada pasand karenge. Ise me aap ko baki theme ke trhe hi sare facility mil jayenge. Jaise drop-down menu or Social Media follow icon ye sare ise theme me uplabdh hai.

8. NewFlash Template:- NewsFlash ek best template hai ise bhut hi badhiya trhe se design kiya gya hai. Iske header me aap Pages ke link add kar sakte hai. Aap ko isme bhi Social Media Icon mile jayega follow ke liye. Aap ko isme bhi drop-down ka option mil jayega. Jise aap apne menu me koi bhi best link mlga sakte hai.

Aap ko isme bhi Category ka option mile jayega. Jisme aap ke visitors click kar apne pasand ke category post check or padh sakte hai. Ise Template me aap ko Subscription widget bhi add kiya gya hai. Jo ki ek best widget hai aap ise apne Blog me lga sakte hai. Aap isme Recent Post ke liye bhi widgets lga sakte hai.

9. Evento Event Template:- Evento Event Template SEO Friendly theme hai. Iske name se hi aap ko pta chale gya hoga ki ye ek Event Blog ke liye perfect hai. Iska use karna aap ke blog ke liye sabse best rahega iska loding Speed bhi best hai. Isme aap ko job hi widget milenge vo best widget honge jo bekar ke widget hai use ye remove kar diya hai. Jise iska loading speed bhut best hai.

Isme aap ko drop-down menu milega jisme aap kuche best Page laga sakte hai. Menu ko aap apne anusar change bhi kar sakte hai.Isme Seo Meta Tag phele se hi use kiya gya hai. Jise aap ke website ko Searching me koi problem nhi aayega. Iske sath ye ek ads-ready theme hai.

10. Alpha Blogger Template:- Alpha Blogger Template ek Ads-Ready Template hai. Isme aap ko ads lagane me jada problem nhi hoga. Iske sath isme phele se best Place Menu bar option diya gya hai jise aap edit kar apne mutabik Link set kar sakte ho ya fir Menu items ke Name change kar sakte hai. Agur aap News ya fir daily New Updates ke liye use karna chahte ho to ye best template hai.

Aap isme Header ko News ke liye use kar sakte hai. Isme Best Email Subscription Widget bhi is template me diya gya hai. Isme bhi Social Media Icons Header me use kiya gya hai. Jise aap use kar sakte hai. Aap ise apne Anusar se bhi setting ko change kar sakte hai. Ise Design karna bhut hi aasan hai. Isme aap ko Drop Down Menu bar diya gya hai.

Ok Friends Top 10Responsive and Seo Optimized Templates Post me bs itna hi. Umid karta hu friends aap ko blog ke liye best 10Templates ke bare me pta chale gya hoga aap in Template ko inke Offcial Website se hi Download kare. Ta ki aap ko kisi bhi parkar ka problem n ho. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka kisi bhi parkar ka question hoto aap mujhe comment jarur kare mai aap ka help jarur karunga. Agur aap ko ye post pasand aaya hoto please share jarur kare. Or hmare social media network ko like, share or join jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Bad Backlinks pata kar Blog se kaise Remove kare 
* High Quality Backlink Banane ke liye Jaruri Points

Top 10Responsive and Seo Optimized Templates Top 10Responsive and Seo Optimized Templates Reviewed by Rishav Rai on June 08, 2018 Rating: 5

1 comment:

  1. bhai ye bataye ki sora ribbon blog templet ko kainse set, edit kare. maine ye laga tau liya he lekin knowledge na hone ki wajah se puri tarah set nahi ho paya he.

    ReplyDelete

Powered by Blogger.