Hi Friends,
Aaj hm es Post me jaanege Apne Insurance Policy
ko Aadhaar se Kaise Link kare. Friends Jaisa ki Aap ne Mere Purane Post me
Padha tha ki Online Aadhaar card ko Apne SBI account ke sath kaise link kare
Aap agur Nhi Padhe to yha Click kar Padh sakte hai. Friends Aap ke Jo bhi
Account hai. ya fir Koi Proof hai to use aap jaldi se jaldi Apne Aadhaar card
or Pan Card ke Sath link jarur karaye ta ki Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem n
ho.
Mai ye Post es Liye likh rha ho ta ki Aap Ghar baith Online
Apne Insurance Policy ko Aadhaar Card se link kara sake. Friends Apne Insurance
Policy ke Sath Aadhaar card ko Link karana bhut jaruri hai. Nhi to Friends aap
ke Payment rok diye jayenge jise aap ko Problem ho sakta hai. Ise liye aap apne
Aadhaar card ko Insurance Policy ke Sath link jarur karaye.
Insurance Policy ke Kuche Jaruri News
Friends Aadhaar Card Aane ke baad aap ko bhut se Badlav
dekhne ko mil rhe honge. Agur Friends aap ke Pass Aadhaar Card nhi hai. to
sabse Phele aap ko Aadhaar Card banva lena Chahiye jise Aap ko Kisi bhi Parkar
ka Problem face n karna pade.
1. Sabse Phele Aap ko Apna Aadhaar Card Policy se Link karvana hoga ye Sabhi Policy Company
ne Rule nikaal diya hai.
2. Aagur aap ka Insurance Policy ke Sath Aadhaar Card link
nhi hai, To aap Policy se Paise nhi Nikaal sakte hai.
3. Aap ko Paise Jama karane me Problem ho sakta hai.
4. Aap ke Harek Insurance Policy ke Sath Aadhaar Card Link
hona jaruri hai.
* Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise Pta kare
* File Upload ke liye Dropbox Account Kaise Create kare
* Apne Google Plus Profile Me Followers Badhane ke 5Killer Tips
* Aadhaar Card Bank Account se Link hai ya Nhi kaise Pta kare
* File Upload ke liye Dropbox Account Kaise Create kare
* Apne Google Plus Profile Me Followers Badhane ke 5Killer Tips
Insurance Policy ke Sath Aadhaar Card aap 2Method se Link kar sakte hai.
1. Offline
2. Online
Offline Insurance Policy ke Sath Aadhaar ko kaise Link kare.
Friends Offline Method se Insurance Policy ko Aadhaar Card
se Link karne ka bhut hi Aasan Tarika hai. Aap ne Jise Insurance Policy karvaya
tha aap use Contact karke apna Aadhaar Card link karvane ka Method jaan sakte
hai. Ya fir aap Direct Apna Aadhaar Card ka Photo State Copy or Original
Aadhaar Card lekar Aap Apne Insurance Policy Company jakar kisi bhi Company Ke
Employe se Baat kar ke Link karva sakte hai.
Online Insurance Policy ke Sath Aadhaar link karne ke Jaruri Document
1. Aap ke Pass Aadhaar Card, Pan Card or Insurance Policy se
Related sare Information hona jaruri hai.
2. Aap ka Aadhaar Card
or Insurance Policy ka Mobile Number Same hona chahiye. Or Vo Mobile
Number aap ke Pass hona Chahiye ta ki Aap OTP Code Fill kar sake.
Online Method se Insurance Policy ke Sath Aadhaar Ko kaise Link kare.
Friends Online Method ke Liye Aap mere btaye gye Step ko
thik se Follow kare. Aap bhut hi Aasani se Apne Insurance Policy ko Aadhaar
Card se Link kar sakte hai. Mai aap ko yha pe Bhartiya Jiwan Bima Nigam Ke
Policy ke Sath kaise Attached karte hai ke baare me btaunga. Bhartiya Jiwan
Bima Company bhut hi Best Company hai.
Step2:- Ab aap ko vha pe Link Aadhaar and Pan to Policy ka
Option Show Ho rha hoga aap vha pe click kar de. Aap Image me Bhi dekh sakte
hai.
Step3:- Ab aap ke Saamne ek New Page Open hoga vha pe Kuche
Instruction de rha hoga ki Aap ko Aadhaar Card link karvane ke liye kis-Kis
Chij ki Jarurat padegi. Aap vha pe Padh sakte hai. Vaise maine Aap ko Upar
btaya hai. Ki aap ko kis Chij ki Jarurat padegi. Padhne ke baad aap Proceed Pe
click karde.
Step4:- Ab aap jaise hi Proceed pe Click karenge aap ke saamne ek or Form Page open
hoga aap Image me Dekh sakte hai. Aap yha pe Apna Sara details bharde. (Name,
Date of Birth, Aadhaar Number, Gender, Email Id, Pan, Mobile Number, Policy
Number) ab aap Add Policy Button pe Click karde.
Step6:- Ab aap ko Captcha Code daalna hai. Captcha Code daalne
ke Baad Get OTP pe Click karde.
Step7:- Ab aap ke Policy Register Mobile Number or Register Aadhaar Mobile Number par OTP Code aayega Aap use Fill
karde or Submit pe Click karde.
Ab Friends aap ko Sucessful ka Message Show ho jayega. Jiska
Matlab ye hoga ki aap ka Aadhaar aap ke Insurance Policy ke Sath join ho gya hai.
Ok Friends Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare
Post me bs itna hi Aagur Friends aap ko ye Post Pasand Aaya hoto Please Aap
mujhe Comment jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap
ka Koi Question hoto Please Aap Mujhe Jarur Comment kare Mai aap ka Pura help
karunga. Hmare Social Media Network Ko like, Share or Join Jarur kare.
Ye Bhi Padhe.
* Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare
* IBM.com website se dofollow backlink kaise banaye
* Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare
Ye Bhi Padhe.
* Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare
* IBM.com website se dofollow backlink kaise banaye
* Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare
Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare
Reviewed by Rishav Rai
on
November 30, 2017
Rating:
No comments: