SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare

Hi Friends
 
Aaj hm es Post Me Jaanege ki SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare or SBI Rewardz Point Kaise Earn Kare. Aaj mai aap logo ke Sare Problem Es Post Me Clear Kar dunga aap ko Ab Kabhi bhi Problem Nhi aayega. Dosto SBI Rewardz Point Ke Liye Jaruri nhi ki Aap ka Account SBI Rewardz Pe Hona Jaruri hai. SBI Ka Ye jo Project hai Ye Khud se Hi Work karta hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Matlab aap ka Account SBI Rewardz Pe ho ya n ho aap kisi bhi Chij ko Buy karte hai. To Aagur Aap Debit Card, NetBanking or Mobile Banking Use Karte hai. Kisi bhi Transaction ke Liye to aap ko Uske Rewardz Khud hi Aap ke Account Me jude Jaate hai. Fir Aap jab bhi Rewardz Account Pe ID Create karte hai, To Aap ke Sare Rewardz Point Aap ko Show ho jayenge.

SBI Rewardz Point Ka Use Kaise Kare.

SBI Rewardz ke Points Se Aap Shoping kar sakte hai. Aap ko SBI Rewardz Ke Apps me Hi Sabhi System Mil jayenge Aap kisi bhi Chij ko Buy Kar sakte hai. Aap ke Rewardz Account me Points hai, To aap Mobile, Kitchen, Electronic and Fashion Ke Saaman Buy kar sakte hai. Esme Or bhi kai Product Hai. Aap es Apps Pe Account create karne ke Baad Iska Sara System aap ko Khud ke Hi Phone Me Live Show Ho jayega. Aap es Point ka Use Shop ke liye bhi use kar sakte ho. Jaise Mobile, DTH Recharge, Bus Ticket, Air Ticket or Bhi aap Kai Kaam Ke Liye Rewardz Point Ko use Kar Sakte hai.

SBI Rewardz Pe Account Kaise Create Kare.

Dosto Sbi Rewardz Account Create karne Ke Liye aap ke Pass ATM Card Or Account link Mobile Number Hona jaruri hai. Aagur Aap ke pass ATM Card nhi hai, To fir aap ke pass Passbook Me CIF Number hota hai, Vo hona jaruri hai. Ab hm aage Step by Step Jaanege Ki Account Kaise Create karte hai.

Step1:- Sabse Phele Aap Browser  Open kare or www.statebankrewardz.com Website pe Visit ho.

Step2:- Ab Aap ke Saamne Image Jaisa Page Open ho gya hoga Aap ko Upar Register Pe Click karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap ke Saamne 2Option diya jaayega account Create karne ke Liye.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Card Number Ke Jariye aap Account Create kar sakte hai.

2. Customer ID Ke Jariye bhi aap Account Create kar Sakte hai. Customer Id Aap ke Passbook pe First Page Pe Jo CIF Number Diya hota hai. Use Customer Id Khete hai. Aap uska Use Kar ke bhi Account Create kar sakte hai.

3. Jis Option se Create karna chahte hai. Select kar Number Fill karde or Go Pe Click Kare.

Step4:- Ab aap ke Saamne jo Page Open hoga usme Aap ko Account Number ke 4Digit show Hota hoga Use Select kare or Aage ke Side Me jo Box Hai usme Account Number ka Last 5Digit Number Daal kar Go Pe Click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Step5:- Ab aap Se Next Page Pe OTP Code Maangega aap Ke Register Mobile Number par 6Digit OTP Code gya hoga vo aap yha Pe Bhar kar Submit Pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step6:- Ab aap Ke Saamne jo Page Open hoga Usme Aap ke Account se Related Kuche Details Diya hoga Vo Aap dekh le or Sabse Niche aap ko 2 Account Information Form diya hoga Use Aap Ko Fill Karna hai.


1. Aap jo bhi Coustom User Id Rakhna Chahte hai, Vo Aap Select karle.

2. Ab aap ko Ek User Id Fill karna hai, Aap user Id vahi rakhe Jo aap ko Yaad rhe.

3. Ab aap ko Password Fill Karna hai, Password aap Thora Different rakhe Or Aap jo bhi Password Rakh rhe hai vo 8Word Ka hona Chahiye.


4. Aap ko Confirm Password Pe Bhi Same Password Fill Karna hai.

5. Ab aap se Security Question Puchega aap koi bhi Ek Security Question Choose Karle.

6. Ab aap ne Jo bhi Question Select kiya hai. Uska aap Ko Answer Type karna hai.

7. Ab aap Ko I Accept ke Saamne Trick karna hai or Activate Pe Click kar de.

Step7:- Ab aap ka Account Activate ho gya hoga Aap ko Congratulation Ka Message Show hogya hoga. Aap ne jo bhi User Id Type Kiya tha Vo bhi Aap ko Show Ho gya hoga aap ko User Id Ke Niche Click Here ka Option Show ho rha hoga uspe Click kar de.


Step8:- Ab aap Front Page pe aa gye honge ab aap ko Login Pe Click kar Login Karna hai.

Step9:- Ab aap apne Account me Login ho gye honge. Abhi tk aap ne jo bhi Points Earn kiye honge vo aap ko Sabse Upar My Account Pe Jaayenge to Sabse Upar aap ko Rewardz Points ke Saamne Points Show Ho rhe honge.


Step10:- Ab aagur Aap apne Account Ka Details Dekhna chahte hai, Ki aap ko kab Rewardz Point Mila hai, To Aap Account Summery Pe Click kar de.


Ab Login Hone ke Baad Front Page Dekhenge to aap Ko Product Show Ho rhe honge Product Ke Niche Right Side Me Aap ko Points Show ho rhe honge ki Vo Product Itne Points Pe Aap Buy kar sakte hai. Uske Left Side me Dekhenge to aap Ko Rupees Show Ho rha hoga. Rewardz Ke 40Points Rupess ke Mutabik 10Rupees ke Mutabik hota hai. To aap jis Product Ko Buy karna Chahte hai, Usko Buy Karne Ke Liye Jitna Points aap ko Show Ho rha hoga utna Points aap ke Account me Hona jaruri hai.

Ok Friends SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare or SBI Rewardz Kaise Earn Kare Post me Bs Itna hi aagur Friends Aap ko Ye Post Pasand Aaya hoto Please Aap es Post ko Share or Comment Jarur kare. Aap ko kisi bhi Parkar Ka Problem ho Ya Aap Ka Koi Question hoto Aap Es Post pe Comment kare. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.

<

SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare SBI Rewardz App Pe Account kaise Create kare Reviewed by Rishav Rai on September 25, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.