PayuMoney pe Account kaise Create karte hai

Hi Friends


Aaj hm es post me baat karenge PayuMoney pe Account kaise Create karte hai. PayuMoney India me Sabse jada Use hone wala Gateway Website hai. Sabse jada Log PayuMoney ka Use karte hai. Payment karne or lene ke liye or ye website bhut hi Popular or security wala website hai. Aap bhi aagur apne website ya fir kisi kaam ke liye Paymnent lene or dene ke liye socha rhe hai, to mai aap ko suggest karunga aap PayuMoney Ka use kare. Kyo ki ye aap se kisi bhi parkar ka Extra charge nhi leta hai.

PayuMoney pe Account kaise Create karte hai


Aap ko bs First Time PayuMoney Account verify krne ke liye 10Rs dena hota hai. Par vo aap ko firse Paise Vapas kar deta hai. aap ke PayuMoney Wallet me. Aap Ko ek chij ka dhyaan dena hoga ki aap ka ID or Password kisi ko pta n chale Aap apne Id Ka Password khud se choose kare ta ki aap ko Baad me problem n aaye. Aap ke pass PayuMoney Ke tref se Call aayega aap ke Account ke Verify ke Liye vo hi aap ko Payment jarne ko Bolenge aap unhe kisi bhi parkar ka koi Code n btaye Sirf aap unhe Gmail ID, Mobile number or Aap ka Name puchenge aap sirf yahi Jankari Unhe Share kare.

PayuMoney Pe Account Kaise Create kare


Step1:- Sabse Phele aap ko www.payumoney.com pe jaana hai.

Step2:- Ab aap ko Create My Account pe Click karna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step3:- Ab aap ke Samne Ek Forum Open hua hoga. Uspe aap ko Apne Account se Related Details Bharna hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Sabse Phele aap ko Apna Name Bharna hai.

2. Ab aap ko Email Id Bharna hai.

3. Ab Aap ko Phone Number bharna hai.

4. Ab aap ko Ek Password Rakhna Hai. Password ke liye mai Aap ko Sugest Karunga ki aap Mix Password Rakhe (Example:- Alphabet, Numberic key or Special key) Aap in sab ka use kar ek Password Generate kare. Ta ki aap ke Password ko aap ke Sivaye or Koi N Yaad kar sake.

5. Ab Aap Create Account pe Click Kare.

PayuMoney Wallet Verification System

Ab Friends aap ko apna Account verify karna hai. uske liye aap bina Account ko Logout Kiye Baahre aa jaye.

Step1:- Ab aap ko fir se www.payumoney.com Website pe Visit hona hai.

Step2:-
www.suryarishavrai.blogspot.com

1. Ab aap ko Sabse upper User ka Option Show ho rha hoga Uspe Click kare.

2. Ab aap Payment Wallet Pe Click kare.

Step3:- Ab aap ke Saamne jo page open hoga vo image ke trhe hoga.


1. Ab aap Ko PayuMoney Wallet Pe Click karna hai.

2. Ab aap ke Saamne jo page open hoga Usme aap ko Name likhna hai.

3. Mobile Number Type karne ki Jarurat nhi hai usme phele se type hoga Aagur aap ko Change karna hai to aap Change bhi kar sakte hai.

4. Ab aap Send Pe Click kar de.

5. Ab Aap ke Diye gye Number pe Ek Message gya hoga usme ka code aap yha paste kar de.

6. Ab Aap Activate Me Payment Wallet pe Click karde.

Wallet Me Money Add Kaise Kare

Step1:- Jaise hi aap Activate Me Payment Wallet Pe Click Karenge Aap ke Saamne Image Jaisa ek Page Open ho gya hoga.


1. Aap Ab Add Money Pe Click kare.

Step2:-


1. Ab aap Jitne Rupess Add Karna Chahte hai Yha pe likh de.

2. Ab aap Proceed Pe Click Kar de.

Step3:- Ab aap ke Samne Payment ka Option aa jayega.

1. Ab Aap jo Payment ka Method Select Karna chahte hai karle aap ko 2Option milega (Credit/Debit Card, Netbanking) Jise aap karna chahte hai Vo method select karle.

2. Ab aap ko Apne Bank ka Name Select karna hai.

Ab aap aage ka Process jante hi honge aap Debit ya Credit Card Select karte hai, To aap Apne Card Ka Details Bhar de. Aagur Aap NetBanking Select Karte hai, To aap Apna User Id Or Password Bhar kar Login Ho Jaye.

Ok Friends Umid Karta hu aap Ko PayuMoney pe Account kaise Create karte hai. Ye Post Pasand Aaya hoga or Aap ko Account create karne me or Add Money Karne me Koi Problem nhi hoga. Aagur friends fir bhi aap ko Problem ho ya aap ka koi Question hoto aap Mujhe Comment kare. Hmare Social Media Network Ko Like or Join Jarur Kare.

PayuMoney pe Account kaise Create karte hai PayuMoney pe Account kaise Create karte hai Reviewed by Rishav Rai on September 19, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.