Hi Friends
Aaj hm es Post me jaanege ki SBI Mobile Banking Regestratiom
kaise kare. Dosto jaisa ki aap log jante hi honge SBI Pure Bharat me bhut jada
Popular Hai. Har ek Chij ke Maamle me Iska Sabse Jada Yogdaan hota hai. Aap
Jante hi honge Abhi Jab kuche Samye Phele Currency Change hua tha usme Bhi SBI
Ka Bhut Bada Yogdaan rha hai. Or Ye Bank Sabse jada Security ke bhi maamle me
aage hai. Kai Baar SBI ne Currency se Related Problem Solve Kiya hai.
Jaisa ki Aap jante hi Honge Ki Sare Bank ab Mobile Banking
ka Suvidha de rhe hai. Ab aap ka Phone Android ho Ya n Ho Ab Aap apne Bank se
Related kai Work Aap apne Simple Mobile Phone Se bhi Solve kar sakte hai. SBI
ne Apna Toll Free Number bhi rakha hua hai. Ta ki Aap ko Koi Bhi Problem hoto
Aap Phone Call kar Apne Problem ko Solve kar Sakte hai. Aagur Aap ke Pass
Mobile Banking Hai, To Aap Sbi ke Sare Online Features ka Use kar sakte hai.
Ab aap ke Pass Abhi bhi Question hoga ki Aap Mobile Banking
se Kya-Kya kar sakte hai. Dosto ye Question Kai Log puchete hai. To Mai Aaj Aap
ke Sabhi Question ka Answer Dunga or Umid bhi karta hu ki Aap Mere Post ko Thik
se Padhe Rhe honge.
SBI Mobile Banking ke Profit.
1. Aap Account Balance or Transaction Check kar Sakte hai.
2. Money Transfer SBI to SBI Bank Account.
3. Aap 6Mounth Ka Account Statement bhi Dekh sakte hai.
4. Aap ko Aagur Check Book ki Jarurat hai, To aap Mobile
Banking Ke Help Se Cheqe Book ke Liye Apply Kar Sakte hai.
5. Aap Fixed Deposit Karna Chahte hai, To aap Mobile Banking
se Kar Sakte hai.
6. Aagur aap ke Cheqe Payment ke Sath Froud Karna chahta
hai, To Aap Complain kar sakte hai.
7. Aagur Aap Mobile Number Change karna Chahte hai, To Aap
Phone Call Kar ke Change Kar Sakte hai.
8. Aap kisi bhi chij Ke Liye Bill Payments kar sakte hai.
9. Aap Ko Per Day 50000Rs ka Limit milta hai or Vo bhi Month
me 250000Rs ka.
Ye the kuche Profit Mobile Banking Use karne ke Or bhi kai
Profit hai Mobile Banking use karne ke. Isme aap ko Apne Sim ko Safe rakhne ki
Jarurat hai, Ta Ki Aap ko Problem n ho.
Mobile Banking kaise Activate kare.
Mobile Banking Create Karne ke liye Sabse Phele Aap ka
Mobile Number Aap ke Account se Connect Hona chahiye, ATM Card and PIN hona
jaruri hai.
Step1:- Sabse Phele Aap ko SBI ke TollFree Number Pe Call Karna
hai. 1800112211
Step2:- Number Dial Karne Ke Baad Aap ko Information ko
Dhyaan se Sunna hai. Or Jab Aap Ko Dial Karne Ko Khe To aap Vahi Pr Keypad Pe
Click kar Dial kare.
1. Ab aap ko Uske Bole Jaane wale Option ko Dhyaan se Sunna
hai. Or Aap ko jo Language Thik se Samajh aata hai Usko Choose Kare.
2. Ab Aap Phone Banking Select karne ke Liye 1Type kare.
3. Ab aap ko Fir se Mobile Banking ke Liye 1Type Karna hai.
4. Ab aap New Mobile Banking ke liye 2 Type Kare.
5. Ab Aap Apne 16 Digits ka Debit Card Number Enter kare.
6. Ab aap ko Debit Card Confirm karne ke Liye ATM Pin Type
Karna hai.
7. Ab Aap ko Apna Bank Account Number Type karna hai.
8. Ab aap Ko Information Confirm karne ko Khe ga Aap Confirm
kar de.
9. Ab aap Ka Mobile Banking ke Liye Requset Fill Hogya hai.
10. Ab aap ke Pass Kuche Samye baad Mobile Banking Ka User Id
Or Password Aa Jayega User Id Aap ka Account Number hoga. Aap use 48Hours me
Change karle.
Password Kaise Change Kare.
1. Aap Firse TollFree Number Pe Call Kare.
2. Ab aap firse Phone Banking ka Option Choose kare.
3. Ab Aap Login ke Liye 1Type Kare. Ab aap User ID Type kare.
4. Ab aap Ko Jo Password Bank ke Tref se Message me Aaya tha
vo Type kare.
5. Ab aap Ek New Password Choose Kare. Jo ki 6Digit Ka Hona
Chahiye.
6. Ab Aap Ko Confirm karna hai. Or Ab Aap ka Mobile Banking
Password Change ho gya hai.
Mobile Banking Ka Use Kaise Kare.
Ab Aap Kabhi bhi Mobile Banking Ka Use Kar Sakte hai. Iske
Liye Koi Jaruri nhi ki Aap Register Mobile Number Ka Use Kare. Aap apna
Password Chuppa Kar Rakhe. Vaise mai Aap ko Suggest karunga ki aap Apne hi
Mobile Number or Phone se Hi Mobile Banking ka Use kare. Jise aap ko Kabhi bhi
Problem Nhi Hoga.
* Ab Aagur aap Mobile
Banking Ka Use Karna chahte hai, To aap ko TollFree Number Par Call karna hai.
* Firse aap Mobile Banking ke Option ko Choose Kare, Or Apna
Id Password Daal kar Login Ho jaye.
* Ab aap Bank se Related sare Kaam Apne Mobile Banking ke
Through Kar Sakte hai.
Ok Friends Umid Karta hu aap ko SBI Phone Banking
Regestratiom kaise kare Ye Post aap ke Liye Bhut Helpfull Rhega. Aagur Friends
Aap ko Ye Post Pasand Aaye to Please Comment kare. Or Aap ko Kisi bhi Parkar ka
Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Mujhe Comment kare Or Hmare
Social Media Network ko Like or Join Jarur kare.
SBI Mobile Banking Regestratiom kaise kare
Reviewed by Rishav Rai
on
September 21, 2017
Rating:
No comments: