Online Money Transfer ke liye Beneficiary kaise Add kare

Hi Friends,
Aaj hm es Post me baat karenge Online Beneficiary Add karne ke baare me hmne ese Phele Post me padha tha ki Online NetBanking Account kaise Open Kare Padhne ke liye Click Kare. Ab hm es Post me janege ki Money Transfer Karne se Phele Beneficiary kaise add kare dosto ye Bhut aasan hai.


Phele hm eske baare me kuche or Knowledge lelete hai. Ki Beneficiary kya hota hai ye Kaise kaam karta hai. Dosto Hme kisi Bhi Account me Paise Transfer karne se phele hme Beneficiary Add karna Padta hai. Matlab Ki Uske Account ka detail Dena hota hai or jab hm Detail bhar dete hai. To vo 2Hours ke andur Activate ho jata hai. Ek chij ka dhyaan rakhe aagur aap 4bje ke baad karte ho to vo agle din Activate hoga. Es chij ka behad kyaal rakhe.

Online Money Transfer ke liye Beneficiary Add kare.

Dosto Sabse Phele aap Sbi ke website pe jaye jane ke Click Kare.
1. Ab aap Login Pe Click Kare. Aagur UserId or Password maang rha ho to bhar de nhi to Right Side me Continue To Login pe Click kare fir Bhar de.

2. Jab aap Login ho jaye to Sabse Upar 2nd No. Pe Payment/Transfer pe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

3. Ab jo Page Khulega uspe niche bhut sare Option hai. Aap jis Account ka Beneficiary Add karna chahte hai. Aagur vo SBI ka hai. To Within SBI ke niche Other Accounts likha hai Uspe Click kare.

www.suryarishavrai.blogspot.com

4. Aab aap ke samne Ek Page khulega Side me aap dekhe Blue Color me Click Here to New Inter- Bank Beneficiary pe Click kare.


www.suryarishavrai.blogspot.com


5. Ab vo Aap se Profile Password maang rha hai Bhur de.

www.suryarishavrai.blogspot.com

6. Ab jo Page Khulega usme aap se Account Detail Maang rha hoga Thik se bhar kar ek baar check kar le or Submit pe Click kar de.

www.suryarishavrai.blogspot.com

7. Ab aap se Security Code maang rha ho ga jo aap ne Bank me apna Phone No. Register karvaya tha uspe ek Message gya hoga usme OTP likha hoga.

8. Ab aap Upar Apne Right Side me dekhe Approve ka Option likha hoga uspe Click kar Fir Approve Beneficiry pe Click kar de Click karne ke baad aap ko Niche Message Wale OTP fil karna hai fil kar ke Submit pe click karde.

9. Aap ne jo beneficiry joda hai uska aap ko 2hours ke andur message aa jayega Aap aagur sham ke 4bje ke baad karte ho to sayd aap ka beneficiry Next day Cofirm ho sakta hai.

Dosto aaj ke liye bs itna hi aap ko aagur ye post pasand aaya ho ya aap ke liye ye post Faydemand rha ho to please es post ko Share jarur kare. Aap ko aagur kisi bhi chij ki Problem ho ya aap ka koi Question ho ta Please Comment jarur kare.

Online Money Transfer ke liye Beneficiary kaise Add kare Online Money Transfer ke liye Beneficiary kaise Add kare Reviewed by Rishav Rai on July 27, 2017 Rating: 5

1 comment:

  1. one of the fastest and efficient ways to send money from UK to India.Transfer money to India securely at good exchange rate, low fees and zero commissions.Easy and quick money transfer. Send money abroad

    ReplyDelete

Powered by Blogger.