Online Khud ka Business kaise Start kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me Jaanege ki Online Khud ka Business kaise Start kare. Dosto Online Business ke liye aaj kal bhut jada Dimand aa rhe hai. Agur aap  bhi Online Business karna chahte hai. To ye Post aap ke liye hai. Online Business ke liye aaj kal Log bhut jada Dimand kar rhe hai. Online Business me Jaruri nhi ki aap ko Success hi mile. Aap ek Chij ka hmesa dhyan rakhna Online Business karna bhut hi muskil hai. Par namumkin nhi. Aap ko Online Business karne ke liye kai chijo ko Dekh kar chalna padta hai. Online Business ke liye aap ko bhut hi Sambhal kar karna padta hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Agur dekha jaye to Online Business ke liye aap ko Physical Rup se Koi jade ya faltu paise nhi kharch karne padte hai. Online Business ke liye aap ko Sirf Laptop ya Mobile or uske sath Internet Connection chahiye hota hai. Agur aap Online Business karte hai, To aap ko jade paiso Ki jarurat nhi hai. Online Business ke liye aap ke Pass Knowledge hona chahiye ki aap Online Business kaise Start kar sakte hai. Online Business ke liye aap ko Khi bhi jaane ki Jarurat nhi hota hai. Aap Ghar baithe Online Business bhut hi Aasani se kar sakte hai.


Online Business ke liye aap ko kisi ek jghe pe rhe kar Business karne ka jarurat nhi hai. Online Business ke liye aap khi se bhi baithe-baithe apne Laptop ke jariye kar sakte hai. Online Business ko lekar log Idea ka Demand karte hai. Mai aap ko aaj es Post me Online Business ko lekar kuche Topoic btaunga jise par kam kharche par Online Business kar sakte hai.

Online Khud ka Business karne ke kuche Topic

Yha mai aap ko best 5Topic btaunga jise pe aap Online Business kar sakte hai. Vo bhi bina kisi jade Investment ke. Inmese kya pta aap ne khi suna hoga par ye 5Business agur aap karte hai, To aap ko bhut jada Profit ho sakta hai. Lekin aap ko ye kaam phele Normal Tarike se Start karna hoga. Fir jaise-jaise aap ko Success mile aap apne kaam ko aage badhate rhe.

1. Create Website:- Create Website ka MAtlab ye nhi ki aap bhut sare  Website Create karle. Or fir use pe kaam kare. Aap ko sabse Phele ek Website create karna hai. Aap www.blogger.com pe bhi Website bna kar Domain se Add kar Apna Khud ka Bina kisi Coding ke Website create kar sakte hai. Lekin aap Starting me 1se jade Website n Create kare. Nhi to aap ko Problem ho sakta hai. Srtarting me aap ko sabse Phele apne 1Website ko asche tarike se Maintain karna hoga. Jab aap Regular base pe 1 To 2 Year ka Experience ho jaye to aap Website Business ke bare me soach sakte hai.


Website Business Suru karne ke liye aap ko apne Website pe Bhut hi asche dhang se kam se kam 1Year tk Work karna hota hai. Uske baad hi aap apne Website se Online Business kar sakte hai. Jab aap ka Website Search enginee me Aana Start ho jaye or Ise ke Sath aap dhyan rakhe aap ke Website pe Best Trafic bhi hona chahiye tb aap ko Apne Website pe  ek Best Advertisement Ads Company ka Ads lagana hai. Fir aap ke jab lagaye gye Ads pe Click karega koi, To aap ko use ke paise milenge.

Agur aap ko ek Best Website banane ka Experince hai, To aap Website bana kar use Sell kar paise kma sakte hai. Ya aap ka Agur ek Website Thik dhang se Grow kar rha hai, To aap ek or Website  Create kare or Uspe Apne First Website se Alag Content pe Post likhna Start kare. Ya aap koi Content Writer bhi rakh sakte hai. Ise Parkar se aap Website Create kar paise kma sakte hai.
* Blog pe free website kaise banaye.

2. E-Commerce Business:- E-Commerce Business bhi ek best Idea hai. Agur aap ka Khud ka koi Shop hai. Ya Company hai jha aap Offline Product sell karte hai, To aap apne Company ya Shop se Related Online Product  Sell karne ke liye Ek E-Commerce Website Create kar sakte hai. Jise aap Apne Income or Customer ko Increase kar sakte hai. Agur aap ka Koi Company hai, To aap ye kaam Or bhi best Tarike se kar sakte hai.

E-Commerce Business me bhi kafi jada Problem aata hai. Lekin Aagur aap Ek Team Ke sath mil kar karte hai. To ye Business kafi jada Faydemand ho sakta hai. Kyo ki is eke liye aap ko Bhut kuche Manage karna padta hai. Aagur aap akele ye Karna Chahenge to nhi kar sakte hai. Ise Liye aap ko Sare chijo ko Manage karne ke liye ek Team chahiye hota hai. Mai aap ko yahi Suggest karnaga ki aap E-Commerce Business phele Chote Skill pe hi kare. Fir aap ke pass jaise-jaise Paise ho aap apne E-Commerce Business ko Badha sakte hai.

3. FreeLancing:- FreeLancing bhi ek best Website hai Agur aap ko Kisi bhi Chij ke Baare me Knowledge hai, To aap Free lancing se Paise kma sakte hai. Anlo aap ek Website Creator hoto aap Freelancing pe Sign up kar ke apne Specification me Website Creator likh do. Fir jab bhi kisi Person ko Website Creat karvana hota hai, To vo Post dalte hai. Fir aap apna Rate unhe btade ki vo kaam karne ke aap kitna lenge fir agur unko aap ka Rate Pasand aaya to vo aaap se Contact karenge or Aap jab unka kaam Fnished kar unhe unka Project doge to fir uske aap ko paise milenge. Ise trhe se Aap Freelancing kar sakte hai. FreeLancing se Paise Kaise Kamaye jaanne ke liye yha Click kare.

4. Provide Online Service:- Aap ne Offline Service bhi dekha hoga. Jaise ki maanlo Aap ke ghar me koi Electrical Problem hai. To kai Company Home Servicem Provide karte hai. Aap unhe call kardo vo ghar par aa kar aap ke Problem Solve kar denge. Isi Parkar se Aap Online bhi Service Provide kar sakte hai. Maan lo Aap ek Website Developer ho. Aap ek Website bnalo jha pe Aap apna Profile or Website thik se Maintain karlo. Jise ki aap ke Customer ko Aap ke baare me pta chale sake.

Agur unhe koi Website bnana hai, Ya Update karvana hai apne Website pe to vo aap ko Online Contact karke aap se Work karva sakte hai. Uske badle me aap unse Paise le jise aap ko Online Income bhi hoga. Isi parkar se aap kisi bhi Chij ka Online Service Provide kar sakte hai. Vo aap ko Online Apna Work btayenge ki unhe aap se kya kaam karvana hai. Fir vo aap ki marji aap use kaise Finished karte ho. Agur aap Physical Work bhi Online Provide karte hai, To ye bhi best hai aap isme Home Service bhi Provide kar sakte hai. Jiska Charge aap Extra bhi rakh sakte hai.

5. Youtube Channel:- Aap ne Yoiutube Channel Ke baare me to suna hi hoga or Aap ne iske baare me kai Post bhi Padhe honge. Agur aap Youtube ke Jariye Paise kamana chahte hai, To ye thora muskil hai par namumkin nhi. Par ise Career bnana thora muskil hai. Isme aap ko Thora mhenat karna padega. Aap ko Youtube me Without Copyright Video Upload karna padta hai.

Youtube se Paise kamane ke liye aap ko Youtube Channel Adsense se Monetize karna hota hai. Youtube pe Aap ise ke ilava Marketing ya Sponser ship le sakte hai. Jise aap ke Pass Extra Paise kamane ka Mouka mil jata hai. Agur aap ek Baar Youtube pe Thik se Apna ek Positive Phechan bna liye to aap ko Youtube se Sabse jada Profit ho sakta hai. Aap Youtube ko or bhi Kai tarike se Use kar sakte hai Paise kamane ke liye. Aap apne Product se Related video bna kar Promote kar sakte hai.

Ye the Friends Online Business karne ke kuche best Tips agur aap ko pasand aaye to aap try jarur kare.

Ok Friends Online khud ka Business kaise Start Kare Post me bs Itna hi. Agur aap ko Ye Post pasand Aaya hoto Please Aap es Post ko Share or Comment jarur kare. Aagur Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* BitCoin Buy and Sell karne ke Best Trading CryptoCurrency Website 
* Festival me Paise kaise Kamaye Best Earning Ideas 

Online Khud ka Business kaise Start kare Online Khud ka Business kaise Start kare Reviewed by Rishav Rai on January 13, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.