Blogspot Blog me Favicon Icon Kaise Add kare

Hi Friends

Aaj hm es Post me jaanege ki Blogspot Blog me Favicon Icon Kaise Add kare. Agur aap Koi Website Open karte hai. To aap ke Tab pe Upar ke Left side me Website Icon Show hota hai. Use hm Website Icon khete hai,  Agur aap ka Blog Blogger pe hai to aap ko Upar Website name ke baad Blogger ka Icon show ho rha hoga. Agur aap ke bhi Website pe Blogger ka Icon Show ho rha hai, To Aap use Change kar sakte hai. Aap ko Bs Mere Btaye gye Step ko Thik se Follow karna hai. or Es Post ko Suru se Lekar last tk jarur padhe.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Favicon Icon aap ke Blog ko ek Professional Blog banane me help karta hai. Agur aap Favicon Icon use nhi karte hai, To aap ke Website ka Look Best nhi lagega. Kyo ki Icon or koi Company ka Icon show ho rha hoga jo ki Aap ke Website ke Reader pe fark padega. Aap apne Website ko jitna marji utna customize kar Original Website jaise bnale lekin koi fatda nhi Agur aap Favicon Icon best use nhi karte to. Kai baar Visitors kai Tab Open kardete hai. Jise fir vo baad me Aap ka Website tab nhi pahechan pate hai. Ise liye aap ek best icon ka use kare apne website me.

Site Favicon Icon kya hai Ye Blog Ke liye Kyo Jaruri Hai?

Site Favicon Icon Hmare Websitte ka ID hota hai or ye hmare website ke logo ke trah site ke liye Important hai. Agur ham Browser me Koi bhi Website Open karte hai to Browser me Sabse Top par Website ke Left side me jo Icon Show hote hai use Favicon Icon khete hai.

Internet pe Apne Website ka Pahechane Bnane ke liye hme Website par sabse alag Favicon Icon hona jaruri hai. Ise koi bhi New Visitors Aap ke Website ko Pahechane sakta hai or aap ke website ke pahechane ko  yaad rakh sakta hai. Jise aap ke Visitors aap ke Website ko kai Tab kholne ke baad bhi nhi bhul sakte hai.

Blogspot Blog me Favicon Icon kaise Add kare

Blogspot Blog me Favicon Icon use karna kyo jaruri hai aapko ye upar pta chale hi gya hoga. Ab hm jaanege  Blogspot Blog me Favicon Icon kaise Add karte hai. Blogspot Blog me Favicon Icon use karna bhut hi Simple hai. Aap koi se ke liye koi Coding nhi karna hai. Aap ko bs mere btaye gye Step ko Follow karna hai.

Step1:- Ab aap ne Icon Create kar liya hai ab aap blogger.com website pe jaye or login kare.


Step2:- Ab aap apne blog ka Dashboard open kare.

Step3:- Ab aap drop down kare or Layout Option pe click kare.

Step4:- Ab aap next Page pe Upar Favicon ke Option pe Edit pe click kare.

Step5:- Ab aap ke Samne ek new window open hua hoga.

Step6:- Ab aap ek Icon Create karle Yha lagane ke liye jo ki bilkul simple ho. Aap Icon kisi bhi chij se bna sakte hai. Aap favicon.com website se bhi bna sakte hai ya aap Photoshop, photoeditor ya Icon creater bhi use kar sakte hai. Icon ko Create karne ke liye or bhi kai Saftware or Website hai.

Aap ek chij ka Dhyan rakhe aap koi bhi Software ya Website use kare par aap ka Icon jyada length n ho uska size 16*16, 32*32 ya 120*120 ke under me hona chahiye. Length size hone par icon thik se Show nhi hoga. Favicon Icon agur aap jyade Size ka hoga to aap ke Website ka Open Speed bhi Down ho jayega. Ise liye aap Small Size me use kare.

Step6:- Ab aap ne Ek Icon Create kar liya hai. Aap ko Choose File pe Click karna hai or aap ne jo Icon Create kiya tha aap vo Choose File par click kar Select karle.


Step7:- Ab aap Photo Select karne ke baad Save pe click karde. Ab aap firse Blog ke Layout me aa jayenge.

Step8:- Ab aap Save Arrangement Par Click karde.

Ab aap jaise hi Save Arrangement par click karenge aap Ka Favicon Icon Add ho jayega. Ab aap ke Website Page pe Icon show hona start ho jayega. Aap Preview pe click kar check kar sakte hai. Agur fir bhi Aap ke Website pe Favicon user n show hoto aap Comment jarur kare.

Ye tha friends Aaj ke Topic pe mera kuche Sujhav. Aap ise Trick ko jarur use kare aap hmare btaye gye Step ko thik se follow kare ta ki aap ko kisi bhi Parkar ka Problem n ho.

Ok Friends Blogspot Blog me Favicon Icon Kaise Add kare Post me bs itna hi. Agur aap ko Ye Post Pasand Aaye to Please Aap Comment or Share Jarur kare. Agur aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Comment jarur kar mai Aap ka Help Jarur karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur Kare.

Ye Bhi Padhe.

Blogspot Blog me Favicon Icon Kaise Add kare Blogspot Blog me Favicon Icon Kaise Add kare Reviewed by Rishav Rai on January 23, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.