Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare

Hi Friends,

Aaj hm es Post me jaanege Apne Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare. Friends Jaisa ki Aap ne Mere Purane Post me Padha tha ki Online Aadhaar card ko Apne SBI account ke sath kaise link kare Aap agur Nhi Padhe to yha Click kar Padh sakte hai. Friends Aap ke Jo bhi Account hai. ya fir Koi Proof hai to use aap jaldi se jaldi Apne Aadhaar card or Pan Card ke Sath link jarur karaye ta ki Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem n ho.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Mai ye Post es Liye likh rha ho ta ki Aap Ghar baith Online Apne Insurance Policy ko Aadhaar Card se link kara sake. Friends Apne Insurance Policy ke Sath Aadhaar card ko Link karana bhut jaruri hai. Nhi to Friends aap ke Payment rok diye jayenge jise aap ko Problem ho sakta hai. Ise liye aap apne Aadhaar card ko Insurance Policy ke Sath link jarur karaye.

Insurance Policy ke Kuche Jaruri News

Friends Aadhaar Card Aane ke baad aap ko bhut se Badlav dekhne ko mil rhe honge. Agur Friends aap ke Pass Aadhaar Card nhi hai. to sabse Phele aap ko Aadhaar Card banva lena Chahiye jise Aap ko Kisi bhi Parkar ka Problem face n karna pade.

1. Sabse Phele Aap ko Apna Aadhaar Card Policy  se Link karvana hoga ye Sabhi Policy Company ne Rule nikaal diya hai.

2. Aagur aap ka Insurance Policy ke Sath Aadhaar Card link nhi hai, To aap Policy se Paise nhi Nikaal sakte hai.

3. Aap ko Paise Jama karane me Problem ho sakta hai.


Insurance Policy ke Sath Aadhaar Card aap 2Method se Link kar sakte hai.

1. Offline
2. Online

Offline Insurance Policy ke Sath Aadhaar ko kaise Link kare.

Friends Offline Method se Insurance Policy ko Aadhaar Card se Link karne ka bhut hi Aasan Tarika hai. Aap ne Jise Insurance Policy karvaya tha aap use Contact karke apna Aadhaar Card link karvane ka Method jaan sakte hai. Ya fir aap Direct Apna Aadhaar Card ka Photo State Copy or Original Aadhaar Card lekar Aap Apne Insurance Policy Company jakar kisi bhi Company Ke Employe se Baat kar ke Link karva sakte hai.

Online Insurance Policy ke Sath Aadhaar link karne ke Jaruri Document

1. Aap ke Pass Aadhaar Card, Pan Card or Insurance Policy se Related sare Information hona jaruri hai.


2. Aap ka Aadhaar Card  or Insurance Policy ka Mobile Number Same hona chahiye. Or Vo Mobile Number aap ke Pass hona Chahiye ta ki Aap OTP Code Fill kar sake.

Online Method se Insurance Policy ke Sath Aadhaar Ko kaise Link kare.

Friends Online Method ke Liye Aap mere btaye gye Step ko thik se Follow kare. Aap bhut hi Aasani se Apne Insurance Policy ko Aadhaar Card se Link kar sakte hai. Mai aap ko yha pe Bhartiya Jiwan Bima Nigam Ke Policy ke Sath kaise Attached karte hai ke baare me btaunga. Bhartiya Jiwan Bima Company bhut hi Best Company hai.

Step1:- Sabse Phele Aap ko Bhartiya Jiwan Bima ke Website pe jaana hoga.

Step2:- Ab aap ko vha pe Link Aadhaar and Pan to Policy ka Option Show Ho rha hoga aap vha pe click kar de. Aap Image me Bhi dekh sakte hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Step3:- Ab aap ke Saamne ek New Page Open hoga vha pe Kuche Instruction de rha hoga ki Aap ko Aadhaar Card link karvane ke liye kis-Kis Chij ki Jarurat padegi. Aap vha pe Padh sakte hai. Vaise maine Aap ko Upar btaya hai. Ki aap ko kis Chij ki Jarurat padegi. Padhne ke baad aap Proceed Pe click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step4:- Ab aap jaise hi Proceed pe Click  karenge aap ke saamne ek or Form Page open hoga aap Image me Dekh sakte hai. Aap yha pe Apna Sara details bharde. (Name, Date of Birth, Aadhaar Number, Gender, Email Id, Pan, Mobile Number, Policy Number) ab aap Add Policy Button pe Click karde.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Step5:- Ab aap Tick karde aap Image me bhi Dekh sakte hai.


Step6:- Ab aap ko Captcha Code daalna hai. Captcha Code daalne ke Baad Get OTP pe Click karde.

Step7:- Ab aap ke Policy Register Mobile Number or Register Aadhaar  Mobile Number par OTP Code aayega Aap use Fill karde or Submit pe Click karde.


Ab Friends aap ko Sucessful ka Message Show ho jayega. Jiska Matlab ye hoga ki aap ka Aadhaar aap ke Insurance Policy ke Sath  join ho gya hai.

Ok Friends Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare Post me bs itna hi Aagur Friends aap ko ye Post Pasand Aaya hoto Please Aap mujhe Comment jarur kare. Agur Friends aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap ka Koi Question hoto Please Aap Mujhe Jarur Comment kare Mai aap ka Pura help karunga. Hmare Social Media Network Ko like, Share or Join Jarur kare.

Ye Bhi Padhe.
* Facebook page par Live Stream kiye gye Video ko Record kaise kare
* IBM.com website se dofollow backlink kaise banaye 
* Youtube Channel ke Liye Topic kaise Choose kare

Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare Insurance Policy ko Aadhaar se Kaise Link kare Reviewed by Rishav Rai on November 30, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.