Coding Sikhne ke liye top 8 website

Hi Friends,

Aaj hm ise post me jaanege Coding Sikhne ke liye top 8 website ke bare me. Dosto aaj kal har koi coding sikhna chahta hai. Dosto mai aap ko sabse phele bata du ki ye post thora lamba hone wala hai kyoki mai aap ko topic se phele thora kuche best information dena chahta hu ise liye aap ise post ko suru se lekar last tk pura or jarur padhe. Dosto Coding sikhne ke kai tarike hai. Offline or Online. Aap in dono mese koi bhi tarike ko choose kar sakte hai. Dosto agur aap Offline sikhte hai to use ke liye aap koi institute join karna hoga ya aap koi company institute bhi join kar sakte hai. Dosto aaj kal computer har ek ko sikhna jaruri ho gya hai. Aap jaise hi 10pass out karte hai aap ko computer sikhne ki jarurat hai.


Coding Sikhne ke liye Top 8Website


Dosto coding sikhne ke liye sabse phele aap ko likhna aana chahiye aap ko computer ke kuche chijo ko samajhna chahiye kuche software ke bare me ta ki aap ko computer ke bare me basic pata chale sake. Agur aap bina kuche jaane aap koi institute join kar lete hai coding sikhne ke liye to aap ko bhut problem aa sakta hai. Aap vha pe coding kya sikho ge jab aap ko yahi nhi pata ki aap ko computer me software kaise install karna hai. Computer ko start kaise karna hai. Koi software install hai aap ko use open kaise karna hai.Coding Sikhne ke liye top 8 website

Ise liye friends sabse phele aap 10pass out karne ke baad ya aap apne time ke according sabse phele aap 15Mounth computer ka diploma course karle. Uske andur aap ko sara chij basic me samjha denge jaise photoshop, coreldraw, wordpad typing, Excel sheet, Hardware, software, HTML or Account ye sab ise 15Mounth diploma ke andur sikhaya jata hai. ise 15Mounth me aap ko basic knowledge mile jayega or sath me aap ko ek Center ke tref se Certificate bhi mile jayega.


Ab aap ko basic knowledge ho chukka hai ab aap computer ko thik se samajh sakte hai. aap uske error ko samajh sakte hai. Agur aap ko software me koi error aaye to aap use bhi samajh kar solve kar sakte hai. Ab aap coding Sikhne ke liye tyar hai. Aap ko ise 15Mounth ke andar HTML ka basic bhi clear ho gya hai. Ab aap coding ko thora bhut samajh sakte hai. Ab aap koi institute join karke coding sikh sakte hai.

Agur dosto aap Online Coding Sikhna chahte hai, to vo bhi mumkin hai. Bhut se logo ka ye question hota hai, ki hm coding ko thora bhut samajh sakte hai. Agur hme thora bhi help mile jaye to hm koi chota project bana sakte hai. Vaise to mai aap ko yahi suggest karunga ki aap koi ek best Institute join kare ta ki aap ko kisi bhi parkar ka problem n ho or aap bilkul thik se sikh sake. Agur aap fir bhi Online Coding sikhna chahte hai, to mai ise post me Coding Sikhne ke liye top 8 website ke bare me bataya hu aap in website pe visit kar coding sikh sakte hai. Coding Sikhne ke liye top 8 website ye jo hai inke help se aap bhut se project bana sakte hai.

Coding Sikhne ke liye top 8 website


Dosto mai yha pe jo website ke name bata rha hu aap ko un website pe bhut se course mil jayenge coding se related aap jis course ya coding ko sikhna chahte hai, sikh sakte hai.

1. w3school:- Dosto w3school bhut hi best or jana mana website hai coding ke mamle me aap ko yha pe chote project se lekar bade project ko banane ke liye aap ko sabhi parkar ke coding yha mile jayenge. Aap ise website ke help se aap apna koi bhi adhura project ko complete kar sakte hai. Dosto aap mera yakin mano mai ek computer science student hu maine abhi tk core java or Advance Java ko lekar bahut sare project create kiya hai jinmese mere 3 to 4 project to company me Run ho rhe hai.

Dosto maine un project ko create karne ke liye 20% help w3school se help liya hai. dosto aap ko first time me koi institute join karna jaruri hai. vo bhi jha bhi badhiya knowledge mile sake n ki sirf time pass ho. Aap ko w3School ke website pe har ek parkar ke language ke coding mile jayega.


2. Code School:- Dosto Code School ka website codeschool.com hai. Dosto agur aap ko coding ka thora bhut knowledge hai, to aap codeschool ke website ke help se aap coding ko or bhi asche tarike se sikh sakte hai. Aap ko yha pe free course mil jayenge jise ke help se aap kai parkar ke coding ko aap sikh sakte hai.

Aap ke gyan ko or develop karne ke liye aap ka bhut help karega ye code school website. Aap ko ise website pe kuche paid course bhi mile jayenge jise aap buy karke sikh sakte hai. Iske sath aap ko full gide help bhi mmile jayenge. Yha pe aap Java Script, HTML, CSS or IOS jaise or bhi kai course aap ko sikhne ko mile jayenge. Dosto ise post me bataye jane wale sabhi website ko maine khud se ek baar check kiya hai.

3. Codecademy:- Dosto Aap ko Codecademy website pe best information mile jayenge. Ise website pe aap ko coding related course bhi banaye gye hai. Jise ye time-time pe padhne ke liye banate hai. Ye update pe bhi jada dhyan dete hai. Codecademy website ka interface bhi best hai.


Dosto agur aap iske website pe jaoge to sabse phele aap ko login karna padta hai. Aap jaise hi ise website pe login hote hai. Aap bhut se course mile jayenge. Aap jise course ke bare me information nikalna chahoge aap ko ko mile jayega. Dosto aap ko yha pe bhi same course mile jayega. Jaise java script, PHP, Ruby or Python or bhi kai best course mile jayenge aap ek baa rise website pe jarur visit kare.

4. Codehs.com:- Dosto mujhe ise website ka sirf ek chij pasand aata hai. vo ye ki ye website aap ko ek tast deta hai. Jise aap apne knowledge ko check kar sakte hai, ki aap ke pass kitna knowledge hai. Dosto aap yha pe computer science se related sikh sakte hai. Dosto mai ise website ke bare me jada kuche nhi bata sakta, kyo ki maine ise website ko sirf apne knowledge ko check karne ke liye hi use kiya hai.

5. Code Avengers:- Dosto ye website w3school ke baad aata hai, lekin ise website pe Code Avengers ko maine 5th number par daala hai kyo ki ye meraa najariya hai. Lekin ye website bhut hi best hai. Ispe bhi aap ko kai sare course mile jayenge. Lekin dosto ye website pe aap ko course bhut hi thik se bataya gya hai, tski ise ke sabhi course ko log thik se padhe sake or samajh sake.

6. Udacity:- Dosto iska pura naam udacity.com hai. Dosto agur aap video dekh kar programming sikhna chahte hai, to aap iske website pe visit karke. Video dekh kar programming sikh sakte hai. Dosto kuche logo ko padhe kar utna maja nhi aata jitna kisi chij ke bare me video dekh kar use samajhne me aata hai. Agur aap ko bhi padhne se jada ascha sunana lagta hai. to aap ise website ka use karke iske video course ke help se Programing sikh sakte hai.

7. Teamtreehouse:- Dosto iska pura naam teamtreehouse.com hai. Dosto teamtreehouse.com website pe  aap coding bhut hi aasani se or advance me sikh sakte hai. Dosto aap is eke help se company ke bade-bade project bhut hi aasani se bana sakte hai.

Dosto agur aap wordpress ke liye theme bana sikhna chahte hai, to aap yha se bhut hi asani se sikh sakte hai. Yha pe aap ko or bhi kai parkar ke language sikhne ko mile jayega. Aap ise website pe bhi ek baar visit karke jarur dekhe.

 
8. Sqlzoo:-
Dosto iska pura naam sqlzoo.net hai. Dosto agur aap SQL se related chije sikhna chahte hai, to aap ek baar ise website pe visit jarur kare. Ta ki aap ko ise website ke bhi bare me pata chale sake.


Dosto aap jaise-jaise ise website ke course ka padhte jayenge. Course ke level high hote jayenge. Dosto agur aap ise website pe courses ko thik se padh lete hai samajh lete hai, to dosto aap ye samajhle ki aap ko  SQl ka gyan ho chuka hai. lekin aap ek baar apne gyan ko Practical ke tor par jarur use kare. Ta ki aap ko apne bare me pata chale sake ki aap ko kitna gyan hai.

 
Ok Friends Umid karta hu Coding Sikhne ke liye top 8 website aap ko pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi question hoto aap comment jarur kare. Agur Friends aap ke liye ye post helpfull hoto aap ise post ko apne friends ke sath share jarur kare. Or hmare Social Media Network ko like, share or join jarur kare.


Ye bhi Padhe.
* Image Source Command

Coding Sikhne ke liye top 8 website Coding Sikhne ke liye top 8 website Reviewed by Rishav Rai on December 24, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.