Hi friends
Aaj hm is post me jaanege Uttar Pradesh Viklang Jan Pension
Yojana chala rhi hai. Jise viklang logo government ke tref se kuche Rupees mil
rhe hai. Jise ke karan unka jada nhi to thora bhut to help ho hi rha hai. Ye
Yojana bhut hi best hai Viklang person ke liye agur aap bhi viklang hai to is
offer ka fayda jarur uthaye ta ki aap logo ka bhi help ho sake. Is viklang
pension yojana me government 40% viklang aavedan ko 500 Rs per Mounth degi.
Agur aap bhi is yojana ka profit uthana chahte hai to aap ye post padhte rhe.
Viklang Jan Pension Yojana ke liye aap Online form fill kar
sakte hai. Iske liye aap ko iske website pe jaana ho ga jaane ke liye yha click
kare. Uttar pardesh ke viklang log jo 18years se above ke hai unhe 500 Rs per
mounth mil rha hai. Old Man ko bhi ye painson milega par agur aap ko or kisi
parkar ka pension mil rha hai to fir aap ko viklang pension nhi milega.
Aap ko is chij ka dhyan rakhna hai. Agur aap koi bhi pension
ke liye Apply kar rhe hai to aap check karle ki aap ko jo pension mil rha hai
chahe vo kisi bhi chij ka ho vo apply karne se uspe kisi bhi parkar ka problem
n aaye. Kyo ki sayd Government ke tref se kisi bhi person ko koi ek hi pension
milta hai. Ab hm chalte hai apne topic ki or.
Uttar Pardesh Viklang Jan Pension Yojana ke liye Online Avedan kaise kare.
Dosto Uttar Pardesh Viklang Jan Pension Yojana ke liye aap
ko khi bhi baahre jaane ka jarurat nhi hai. Aap ghar baithe form fill kar
online register kar sakte hai. Jise aap ko Viklang Yojana ke under aane wale profit
ka aap fayda utha sake. To dosto aap Mere btaye jaane wale Step ko Thik se
Follow kare.
Step1:- Sabse phele aap ko Uttar Pardesh Viklang yojana ke
liye apply karne ke liye ek website open karna hai website tk jaane ke liye yha
click kare.
Step2:- Jaise hi aap website pe jayenge aap ko Viklang
Yojana ke liye Apply karne ka option show ho rha hoga uspe Click Kare.
Step3:- Ab aap ke saamne ek new window open hua hoga uspe
aap ko “Online Avedan kare” pe click karna hai.
Step4:- Ab aap ko Handicap Pension “New Entry Form” pe clic
karna hai.
Step5:- Ab aap ke samne ek form open hoga jisme aap ko apna
full details bilkul thik se bharna hai. Aap agur job karte hai to uska income
or bankdetails etc. Jo bhi aap se pucha ja rha hai sara details aap thik se
bhare ta ki aap ka form cancel n ho.
Step6:- Form ko thik se bhar kar save ke button pe click
karde. Uske baad se aap View Application form pe click kar check bhi kar sakte
hai. Form thik se fill kiya gya hai ya nhi.
Aap apna document online bhi jma kara sakte hai. Par uske
liye aap ko apna document scan karvana hoga uske baad aap scan copy ko upload
kar sakte hai.
Aap ke form ka jo bhi details hoga vo aap ke mobile no. Par
message ke jariye aa jayega. Jaise – jaise aap ke application ka details update
hoga aap ke phone pe message aayega. Pura process complete hone ke baad aap ko
success full ka bhi message aayega.
Aap ka Application success full complete hone ke baad aap ne
jo Account No. Form me fill kiya tha us Account me aap ka Pension credit hona
start ho jayega.
Is parkar se aap online apply kar sakte hai. Viklang Yojana
ke liye vo bhi bina kisi ke daftar ka chakar kate. Online ka suvidha ho jane se
logo ko jada problem nhi hota hai. Aap ko kuche Document bhi ikatha karna hai
Required Document ka details aap ko Niche mil jayega.
Viklang Pension Yojana ke liye Required Document
1. Permanent Resident Proof, birth certificate and ration
card other relevant government Documents.
2. Passport sized photo
3. Copu of birth Certificates issued by the verified health
center or local hospital.
4. Valid personal bank account details.
5. Copy of income proof issued by the relevant authority.
Application ka Status kaise check kare.
Step1:- Status check karne ke liye sabse phele aap ko iske
website pe jana hoga jane ke liye yha click kare.
Step2:- Aap ke samne ek new tab open hua hoga vha pe aap se
Application Registration No. , Password or jo niche Code likha hai use aap box
me type kare.
* Ab aap sara details bhar kar Log in with password pe click
kare.
* Ab aap ke samne aap ke Application ka details show ho
jayega aap use select kar sara details check kar sakte hai.
Ok Friends umid karta hu Uttar Pardesh Viklang Jan Pension
Yojana post me bs itna hi. Agur friends aap ko is post se related kisi bhi
parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto please aap coment jarur kare. Agur aap ke
liye ye post helpfull rha hoto aap is post ko apne friends ke sath share jarur
kare or hmare Social Media Network ko like, share or join jaru kare.
Uttar Pradesh Viklang Jan Pension Yojana
Reviewed by Rishav Rai
on
June 20, 2018
Rating:
No comments: