Blogger Fail kyo hote hai Blogging karne me.

Hi Friend,
Aaj Mai Aap Logo ko Es Post me Btaunga ki Blogger Fail kyo hote hai Blogging karne me. Dosto Kai log dusre ke khene me Blogging Start karte hai. Lekin Kujhe Galtiyo ke Karane vo Blog se Pareshan ho kar Chor dete hai.

www.suryarishavrai.blogspot.com

Vo log Fail es liye hote hai, kyo ki Vo log kujhe logo ke khene pe Start karte hai. Vo log Unki Income Dekh kar impress ho jate hai. Or Unko bhi Blogging karne ka Lalach aa jata hai. Or Vo Blogging Start kar dete hai. Lekin dekhte hi dekhte Unhe Kujhe bhi hasil nhi hota or fir vo Blog Chor dete hai.

Kai Blogger Thore din hi Blog pe kaam karte hai. Or Jab thore bhut Views aate hai to vo Sochte hai ki Earning Start ho gai. Or jab Unko Paise nhi milte to unko Bhut nirasa milta hai.

Blogger Fail kyo hote hai Blogging karne me.

1. Blogging ko Easy Samajhna:- Jo log Blogging Start Karte hai. Unko lgta hai Ki Vo kar lenge Blogging. Blogging karna Bhut Aasan hai Unko ye lgta hai. Par dhire dhire unki Problem Badhti jati hai. Kho ki Unko Samajh me nhi aata ki Ab vo Post me kya likhe.

Kyo ki Vo 20 to 25 Post likh diye hote hai. Jitna bhi unko Pta hota hai. Or vo Net pe Time nhi bitate jise Unko Koi Topic thik se nhi milta hai. Last me Unke Samajh me nhi aata hai.Or Fir Unko lgta hai. Ki Nhi Blogging bhut hi bhari hai. Or ye hmare liye nhi hai.

2. Paise nhi Milna:- Dosto Paise Blogging se thik se n milna ek Bhut Bada problem hota hai. Ek New Blogger ke liye kyo ki jadatar Blogger OnlinePaise ke Lalach me aate hai. Or fir vo mehnat karte hai. Lekin Vo 2month me hi Ghabra jate hai. Or Pareshan hone lagte hai ki Hme mehnat ka fal nhi mil rha dosto ye baat Sach hai ki Aagur Aap ek Baar Badhiya Blogger ban gaye to Samjho Paise hi Paise hai. Par aap ko Blogging or Youtube ke liye thora sa Wait karna hoga. Aap bhi Chij ke liye Jald Baji n kare.

3. Domain Name:- Dosto Blogging Me Fail hone ka Ek kaaran hai Domain. Kai blogger Blog pe Website banane ke baad vo turant Domain kharid lete hai. Kyo ki vo Jaldi se Paise kamane ka Sochate hai. Or Vo Yahi Galti kar dete hai. Bina Kuche Soche Samjhe Domain kharid lete hai.

Aap ko Domain kharidne se Phele Ye Socha lena Chahiye ki Aap Apne Website pe kis Parkar ka Post daalenge. Post or Interest ke hisab se Hi Ek Perfect Domain kharidna Chahiye. Or kam se kam Aap ko domain kharidne se phele 2Month tk Blog par hi Website Chalana Chahiye. Uke baad aap ko Domain kharidna Chahiye Soach Samajh kar Ta ki Aap ko Aage problem n ho. Kyo ki ye bhi bhut bada problem hai Blogging Chodne ka.

4. Time:- Kai Blogger ko Time ka Problem hota hai es liye vo Blogging Chor dete hai. Kyo ki unhe lgta hai. Ki Unke Pass time nhi hai Blogging Karne ka Jis ke kaaran vo Blogging Chor dete hai. Par Aap logo ko esa nhi Karna Chahiye Time kisi ke Pass nhi hota Aap ko Time Nikalna hota hai.

Aap ko Apna Speed Tej karna chahiye har ek kaam karne ke liye Aap jo bhi Kaam karte hai. Unhe mai Chorne ke liye nhi kahunga lekin Aap ko mai ye Kahunga ki Aap 10Min har ek kaam se nikale or Apna Blogging ka kaam kare es trhe se Aap apna Sare kaam ke Sath hi Blogging bhi Aasani Se Kar lenge.

5. Writing Skills:- Writing Skills Se mera khena hai ki Aap jab bhi Post likhe Es Parkar se likhe ki Vo Writing Sab ko Samajh me Aaye Aagur Aap ka Writing kisi ko n Samajh me Aaye to Vo Aap ke Post pe Ek baar aa to jayega lekin vo dubara se Aap ke Post pe Aana nhi Chahega. Kyo ki Aap ki Ek galti se Unko bhut jadi problem hogi. Or vo fir Aap ke post ko Padhna nhi Pasand karenge. Es liye Aap apne Post ko es Parkar likho ki vo Samajh sake.

Or Aap apne Post ke Sath 1Image to Jarur lgao vo bhi Sabse Upar Apne Post ke title ke mutabik Us Image se ye pta chalana Chahiye ki es Post ke Andar kya hai. Aap unhe kis chij ke bare me btana chahte ho. Or ha Post me Aap koi bhi faltu Line n likhe jiska koi matlab n ho.

Ok Friends, Aaj ke es post me bs Itna hi Aagur Aap ko Post Pasand Aaya ho to Please Post ko Like,Share or Comment jarur kare.

Or Friends Please Aap mujhe Comment kar ke btaye ki Aap ko ye Post kaisa lga. Or ha Aagur Aap ke Pass koi Topic ho ya Aagur Aap kisi chij ke Baare me janna chahte hai to Aap mujhe jarur Comment kar ke btaye.

Blogger Fail kyo hote hai Blogging karne me. Blogger Fail kyo hote hai Blogging karne me. Reviewed by Rishav Rai on May 15, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.