Hi Friends,
Aaj mai Aap ko es Post me 5Reasons Naukri se Behtar Kyo hai Blogging Ke Baare me btaunga. Ko ki Mujhe Blog Chalate hue 3Years ho gye hai. Or mine Kai Success Blogger ko Dekha hai. Jo Apna Career Bna Chuke hai Blog me.
Mai Aap logo ko ye nhi Kheta ki Aap bhi Career Banao isme lekin ha ye Jarur khunga ki Aap ek Baar Part Time Job Kar ke Dekho Blog me. Paise hi Paise hai Blog me.
Aane Wale Smaye me Blogging Platform me Bhut Paise honge. Yha Pe Aap Apna Knowledge ke Anusar kma Sakte hai. Koi bhi Aap ko Nhi Rok Sakta.
Job Se Behtar kyo Hai Blogging.
1. Knowledge:- Aagur Aap Apne knowledge ke mutabik Aap Blog Bnate hai. Or Apna Knowledge Share Karte hai. Blog ke Help se to Aap ko kai Fayde hote hai. Jisme se Ek Fayda hai. Knowledge Aagur Aap Starting me Blogging kar rhe hai. To Aap ko Thra sa Problem Aayega Starting me Aap fir Use Solve karenge or Aap Aagur Solve Kar dete hai. To Samajh lo Ki Aap ko Ek or Chij Sikhne ko mila Apne Life me.
2. Paise Hi Paise:- Dosto Aagur Aap kisi Company me kaam karte hai. To Aap ko Bs Ek Hi Fyda hota hai vo bhi hm use fayda nhi khe sakte kyo ki hm Company 8 to 12 Hour Work karte hai. Uske Baad Work ka tension, Malik se daat or bhi kai Problem hoti hai. Or Paise kuche bhi nhi milte Par Blogging me isa nhi hai. Jitna Chahe Mehnat or Knowledge ke mutabik aap Paise kma sakte hai. Koi Limit nhi hoti kyo ki Blogging or Youtube isa Platform hai. Ki Aap ko bs Ek baar Kaam katna hai or Paise Marne tk Aana hai. Es liye Aap phele Blogging ko Part time rakh kar Job karte rhe. Or fir Jab Aap ki Income Blogging ki Aap ke Salary Se jada ho jaye to Aap Job Chor de Or Full time Blogging kare or Uske Sath Youtube bhi aap ki Income fir badhte Chale jayegi.
3. Apne Mutabik kaam kare:- Aap Jab Chahe tab Work kar sakte hai. Apne mutabik koi bhi kaam ka dabav dene wala nhi Aap pe. Aap kahi Khumne ja rhe ho Aap ke Mind me Koi behtar Topic Aaya. Aap Uske baare me Likh de Aap ka Time bhi Pass ho jayega Or Aap ka Post bhi Ready ho jayega. Mujhe kafi bhi ise Problem nhi hua kyo ki mai Apne Parivar ke Pass rhe kar mai Asche Paise Kma Sakta hu Per day 2Hour Work kar ke. Or es ke liye Nahi Aap ko Paise kharch Karne hai. Nahi Aap ko esme Jada tension lena hai. Es liye Ye Company me Work karne se behtar hai Blogging.
4. Blogging Bour Nhi:- Mujhe Aaj tk Kabhi bhi es Parkar nhi lga ki Mai Bour Ho rha hu. Ya Blogging karne se Mai Bour hota hu na mujhe kabhi bhi nhi lga kyo ki Mai Jab bhi Blog Open Karta hu Mujhe Lgta hai. Mujhe Apne Aap ko or behtar Banana chahiye. Blogging Ek Perfect life hai jha pe Aap apne Knowledge ko oron ke Sath share karte ho or Paise bhi kamate ho. Jo log Blogging ko Bour khete hai Iska matlab ye hai. Ki Abhi Unhe Blogging ke baare me Kuch nhi Pta Es liya Aap Blogging ko Bour nhi khe Sakte kyo ki Blogging hme Aajadi deti hai.
5. Time Saving:- Aap Aagur blogging Karte ho to Aap Apna Bhut jada Time Save kar sakte ho. Kyo ki Blogging me Aap bhut km time me Aap apna work khatam kar sakte ho. Or Blogging ke Sath or bhi Work kar sakte ho Jise Aap ke Or Paise ban jayenge or Apne Parivar ke Sath Time Spend Kar sakte ho. Apne Mutabik Time ko aap istemal kar Sakte ho ki Aap ko kis time me kya karna hai.
Dosto Aap Samajh hi gye honge ki Blogging karne Ke kitne fayde Hai. Or Dosto blogging kar se kai log Online Paise kma rhe hai. Or bahut badhiya jitna hm Soach bhi nhi Sakte.
Aap ye mat samajhna Dosto ki mai Aap logo ko behka rha hu. Ye baat Sach hai kai ise Youtuber or Blogger hai jo kma rhe hai. Youtuber me mai name Lunga Gourav Brother ka jo Technical Guruji ke Owner hai. or bhi kai inke Jise Youtuber hai jo Paise kma rhe hai. Blogging me Hmare Rohit Mewada brother jo HindimeHelp ke owner hai. Or bhi unke jise kai hai jo Paise badhiya kma rhe hai Blogging me.
Aagur Aap bhi Per day 1Hour bhi Blogging ko dete hai. Pure 2Month thik se to Aap khud hi samajh Jayenge ki Mai Sacha Bol rha hu ya jhut. Mujhe Umid hai ki Aap ye Post Padhne ke Baad Blogging ke Baare me jarur Sochenge.
Ok Friends, Aaj ke es Post me bs itna hi. Mine Itne me hi Aap ko bta diya hai ki Aap ko Blogging karne se Kitne fayde hai.
Aap ko Aagur Post Pasand Aaye to Please like,Share or Comment jarur kare. Ta ki Mujhe Pta Chale sake ki ye Post kitne bolgo ne Padha or Kitno ko Ascha lga.
5Reasons Naukri Se Bhetar Kyo hai Blogging.
Reviewed by Rishav Rai
on
May 14, 2017
Rating:
No comments: