Paypal Account kaise banaye or Verify Kaise karaye

Hi Friends,

Aaj hm ise post me janege Paypal Account kaise banaye or Verify kaise karaye. Paypal ke fayde kya hai. Dosto bhut se log Paypal Account kaise banaye or Verify kaise karaye or iske kya fayde hai. Iske bare me janana chahte honge. Aaj mai aap ko ise post me Paypal Account se Related kuche Important knowledge dunga. Aap ise post ko suru se lekar last tk jarur padhe.

PayPal Account Kaise Banaye or verify kaise karaye

Paypal Account se aap International Payment bhi kar sakte hai. Aap kisi bhi country me ho aap payment send or received kar sakte hai. Paypal ek sabse best or wordwide payment send or received karne wali company hai. Iska sabse bada fayda to aap ko yahi hai. Iska Service bhi sabse best hai. Agur aap blogger, Youtube ya word me kisi bhi country ke person ko payment send ya received karte honge to aap ko iske bare me pata hi hoga. Agur nhi pata to ab aap ko pata chale gya hoga.

Agur aap ko simple word me batau to Paypal ek company hai. jiska website ya app use karke hm kisi bhi country ke person ko ya kisi bhi company ko paise send ya received kar sakte hai. Agur aap ko kisi bhi person ko paise send ya received karna hai to aap iska use kar sakte hai. Paypal ek bhut hi bharosemand or purani company hai. Jise bhut se user use karte hai. Payment transfer or received karne ke liye. Ab hm chalte hai Apne main topic ki or. Paypal Account kaise banaye or Verify kaise karaye.

Paypal Account kaise banaye or Verify kaise karaye.

Paypal Account banane ke liye jaruri chije konse hai.

1. Aap ke pass ek Gmail Id hona chahiye.

2. Ek Mobile Number.

3. PanCard hona jaruri hai.

4. aap ke pass ek bank account hona chahiye.

5. Ek Credit Card ya Debit Card.

Aap ke pass ye document hona jaruri hai. Agur aap ke pass ye jaruri document hai to aap Paypal account ke liye apply kar sakte hai. Agur aap ke pass ismese koi bhi document nhi hai. To aap phele vo document banvaye. Uske baad aap ise post ke help se Paypal Account ke liye Apply kar sakte hai.

Paypal Account Kaise Banaye

Mai aap ko ise post me website through account create karne ka system bataunga. Aap Website through Paypal account create kar sakte hai.

Step1:- Sabse phele aap ko paypal ki website pe jana hai. Paypal website pe jane ke liye aap yha click kare.

Step2:- Ab aap ke samne Signup ka option dikh rha hoga. Aap uspe click kare ab aap ke samne ek new page open hoga. Uspe aap se kuche details mange jayenge.

1. Sabse phele aap apne country ka naam likhe ya down side me aap ko choose karne ka option  milega.

2. Ab aap ko apna Gmail Id likhna hai.

3. Ab aap ko apne account ke liye strong password choose karna hai. or confirm password bhi fill karke next ke button pe click kare.

Step3:- Ab aap ke samne ek or page open hoga. Ab aap se puche jane wali sabhi jankari ko thik se bharde. Aap apna jo bhi jankari fill kare vo aap ke Aadhaar card or Pan Card se match hona chahiye. Kyo ki agur aap ko kabhi verify karna ho kisi problem ke karan to aap ko problem n ho. Sabhi jankari thik se fill karke details ko ek baar  verify karke. I Agree pe click kare agur aap policy ya Terms & Conditions padhna chahte hai to padhe le or Create Account ke Button pe click kare.

Step4:- Ab aap jaise hi Create a Account pe click karenge. Ab aap ke samne next time Account or ATM Card verify karne ko khega. Agur aap abhi karna chahte hai. To karle nhi to aap I’ll Link my card later pe click kare.

Step5:- Ab aap ko next page pe Account has been create ka Message Show ho jayega. Ab aap jab bhi aage ka Process Account or ATM card add process karna chahe kar sakte hai.

Step6:- Ab aap ATM card or Bank Account link karna chahte hai to aap ko down side me Go To Your Account pe click kare.

Step7:- Ab aap ke samane paypal ka dashboard open ho gya hoga. Ab aap ko vha par add karne ke liye kai chije show kar rha hoga. Ab aap job hi add karna chahte hai vo add karte jaye.

Step8:- Ab aap ko kai chije add karne ka option de rha hai jaise

1. Debit Card

2. Mobile Number Verify

3. Gmail Id Verify kare

4. Bank Account Lunk kare.

Paypal Account me Mobile Number Kaise Add Kare ya Verify kare.


Aap ke samne Confirm Mobile Number ka option show ho rha hoga. Aap uspe click kare ab aap ke samne ek page open hoga. Aap apna mobile number fill kare. Or Confirm ke button pe click kare. Ab aap ke phone pe 6 Digit ka OTP aaya hoga. Use Otp  ko  thik se dekhe or use Paypal page par type karke Confirm kare.

Paypal Account me gmail Id Kaise Add kare.

Ab aap ko Gmail Confirm karne ke liye bhi notification provide kar rha hoga. Aap Gmail Account Verify pe click karke. Gmail Account Verify kare ke liye apna gmail id check  or fill karke Click kare. Ab aap ke Gmail Id par OTP gya hoga.  Aap use otp ko fill karke confirm pe click karde. Ab aap ka gmail id verify ho jayega.

Paypal Account me Bank Account Kaise Link kare.

Aap ko Apna Personal Bank Account link karna jaruri hai. Agur aap kisi se paise Recieved karna chahte hai to. Agur koi aap ko Paise bhejega to vo aap ke personal bank account me hi bhejega. Jo aap Paypal Account me Bank Account add karenge. Isme aap ko Phele Paypal Account me paise aate hai. Fir aap Paypal Account se apne Personal Bank Account me transfer kar sakte hai. Ya fir aap Auto Pay ka option use kar sakte hai. Jise aap ke bank account me 24 hours ke adur apne aap send ho jayega.

Bank Account Add karne ke liye aap ko vahi pe Bank Account bhi add karne ka option de rha hoga. Aap uspe click kare fir aap se vo aap ke bank account ka details mangega. Aap apna Bank Account Number, Bank Name or IFSC Code fill karke Confirm pe click kare.
Ek baar firse aap verify karke confirm pe click kare.

Ab aap ke bank account me paypal kuche Rupees  dale ga Aap ka account cofirm karne ke liye fir aap use confirm kare. Jab aap ke account me vo paise aa jaye. Aap use Paypal me confirm kare or dhyan rhe aap ka apna Pan Card bhi Add karna hoga.

Paypal Account me Pan Card kaise Add kare.

Agur aap Pan Card add karna chahte hai to. Aap ko apne Paypal Account me Settings ke option me jana hoga. Aap ko Personal Identity  options me Pan Card Details fill karna hai or Submit pe click karde. Ab aap ka Pan Card bhi link ho jayega.  Ab aap ka Bank Account bhi Finally Approve hone ke liye  ready ho gya hai.

Jab aap Dashboard pe jayenge to sabhi pending option show honge or sabhi Approved Option pe Green sign show hoga.

Aap jo bhi kaam ke liye Paypal Account Create kar rhe hai phele aap check karle ki uske liye paypal account thik hai ki nhi.

Ok Friends aaj ke Paypal Account kaise banaye or Verify Kaise karaye post me bs itna hi. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem hoto. Aap ise post pe comment kare. Agur aap ka koi question hoto aap uske liye bhi comment kar sakte hai.

Or friends aap se ek or chij ka gujarish hai. Aap apne gharo me rhe. Agur aap ko bhut emergency hai. to bahare  nikle jise agur koi aapse question puche to aap uska jawab se sake. Aap bahre nikalne se phele  100 baar soche bahre nikalna kya bhut jaruri hai. Agur ha to nikle nhi to apne gharo me rhe. Kyo ki Korona Virus agur attack kiya to sirf aap ka jaan hi khatre me nhi hoga. Aap jise sabse jyada chahte hai. Uska bhi jaan khatre me aayega.

Aap bahre nikalne se phele apne chahne walo ko dekhe agur aap ko kuche hua to unka kya haal hoga. Kirpya karke ghrme rhe. LockDown agur laga hai to vo aap ke or hmare fayde ke liye hua hai. Government or baki log ise kisi bhi aam insane ko problem n ho iska dhyan rakh rhi hai. Aap bhi apna or apno ka khyal rakhe. Bhut jald ek or post aa rha hai korona virus se related aap use bhi jarur padhe. Agur aap ko mere ine line se koi problem hota hai to mujhe maaf kare. Or agur ise related koi complain hoto please vo bhi phele comment jarur kare.
Paypal Account kaise banaye or Verify Kaise karaye Paypal Account kaise banaye or Verify Kaise karaye Reviewed by Rishav Rai on March 27, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.