Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye

Hi Friends
Aaj hm es post me jaanege Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye. Dosto hmare India me All most 200million se bhi jade person per mounth Whatsapp pe Active Rhete hai. Aese me whatsapp ka Security aur use hack hone se bachana bhut muskil hai. Whatsapp ko sab koi use karta hai. Hacker ho ya koi Aam insaan. Ise trhe me apne Mobile phone ya whatsapp ko hacker se bachana bhut muskil hai. Hacker se bachane ke liye aap ko kuche tips ko follow karna chaiye. Jo mai aaj is post me aap ko btaunga.

Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye


Agur hm baat kare Whatsapp company ka to vo kheti hai, ki hm apne Whatsapp user ka data secure rakhte hai. Par fir bhi kuche logo ka whatsapp hack hota hai, kai baar hmare galtiyo se hmara data leak hota hai. Whtsapp ko hack kiya ja sakta hai. Hacker ke liye kisi bhi chij ko hack karna muskil nhi hai. Lekin Whatsapp ne kuche features diya hua hai jise aap apna whatsapp ko hack hone se bacha sakte hai.

Whatsapp ko Hacker se kaise bachaye

Whatsapp ko India me Per mouth all most 200million se bhi jade person use karte hai. Agur aap Whatsaap chalate samye thik se n dhyan deto aap ke whatsaap ke jariye aap ke pure mobile ka data hack ho sakta hai. Hacker aap ke whatsapp ke jariye aap ke mobile phone ke andur tk ghus kar data chori kar sakte hai.

Dosto aap ek chij to thik se samajh jaiye ki Internet ke duniya me vo har ek chij hack kiya ja sakta hai jo Online hai, jo internet ke jariye chalta hai. Jaise Aap ka site, Whatsapp, app ya aap ka Account jo bhi online active hai. Hacker hmesa kuche na kuche hack karne ka koshis karte hai or vo kamyab bhi ho jate hai. Agur aap Hacker se bachana chahte hai to aap niche bataye jane wale tips ko jarur follow kare.

Whtsapp ko Hacker se bachane ke liye kuche tips

Aap mere btaye gye tips ko follow kar aap apne whatsapp ko secure rakh sakte hai.

1. Whatsapp App security Lock

Aap apne whatsapp app ko lock laga kar rakhe jaise Password, pin ya pattern is trhe ka lock se apne whatsapp app ko lock laga kar rakhe, ta ki dusra koi person aap ke data ko access na kar sake. Aap kabhi bhi apna personal phone ya koi bhi chij kisi ko na de or na hi koi secret share kare.

Aap jo bhi password lagaye ek strong password lagaye or us password ke bare me kisi ko n btaye. Agur aap ke mobile phone me finger Scan sensor hai to apne app or screen lock ke liye hmesa finger scan sensor ka hi use kare. Ise aap ka mobile phone koi open nhi kar payega aap ke permission ke bger.

2. Public Wifi Network use n kare

Dosto aap kabhi bhi Public Wifi ya fir kisi person ke diye gye Internet ka use n kare apne personal work ke liye. Agur aap public wifi ka use karte hai whatsapp use karne ke liye to aap ka mobile phone hack ho sakta hai. Aap kisi bhi anjaan wifi ko apne mobile phone ke sath n connect hone de.


Ek hacker aap ko free wifi ka suvidha dekar aap ke mobile phone ko hack kar sakta hai. Isliye aap hmesa apne mobile phone ka hotspot or wifi band karke rakhe agur aap khud ka bhi internet use karte hai, to aap ka agur internet ka kaam khatam ho gya ho to mobile data off karde. Fir jab jarurat hoto on karle nhi to Internet ke through bhi aap ka Mobile Phone hack ho sakta hai.

3. 2 Step Verification Enable kare

Dosto Agur aap ke pass bhi Smart Phone hai, aap bhi Whatsapp chalate hai to aap 2 Step Verification ko Enable karke rakhe. Ise fayda ye hoga agur koi aap ka Whatsapp Account ko login karne ka koshish karega to fir use account ko login karne ke liye Pin Code fill karna padega. Aap ye code kisi ke bhi sath share n kare.

Agur aap ne abhi tk 2 Step Verification ko Enable nhi kiya hai, to jaldi se enable karle ise aap ke Account ko login karne ke time code ka jarurat padega jo ki sirf aap jante hai. Ise tips se mai ye nhi kehe sakta ki aap ka Whatsapp ab bilkul secure hai. Kyo ki is duniya me hacker ke liye kuche bhi muskil nhi hai.

4. Update Apps use kare

Dosto kai log MB ya fir space bachane ke chakar me app ko update nhi karte hai. Fir unke phone me agur koi problem aa jaye or ye pta chale ki ye problem app ko update n karne ke karan hua hai to fir problem hota hai isliye Aap app ko hmesa update karte rhe.

Agur aap hmesa update karte rhenge to aap ke app me jo bugs hote hai vo bhi thik hote jate hai. Aap ka Mobile phone or Whatsapp data ka chori jaldi nhi hota hai. Iske sath aap ko New Features bhi mil jate hai.

5. Off File Auto Download

Dosto aap Whatsapp ke Auto Features ko off karke rakhe. Agur aap Id ko Logout kar firse Login karte hai, to aap ko firse apne Whatsapp app me Auto Features ko off karna padta hai. Ise chij ka dhyan rakhe.

Agur aap ka Auto Download Features on rhega to Hacker Unknown file bhej denge or aap whatsapp ko open karenge to vo file automatic download ho jayega or aap ka Whatsapp or Mobile Phone hack ho jayega. Ise liye aap hmesa apna Auto Download features ko dekhte rhe ki khi Mistake se on na ho gya ho ya hacker aap ke whatsapp ka Auto features khud se on kardiya ho.

6. Don’t Chat Unknown Person

Dosto Kai baar hme whatsapp pe kuche person message karte hai or hm unse chat karne lge jate hai fir vo friend bante hai or fir kuche download karne ko khete hai jaise koi software, Image, video ya koi file or hm Download bhi kar lete hai.

Dosto hme file download nhi karna chahiye agur vo paise ka lalach bhi de rha hoto bhi apps ya image download na kare agur aap us Phone me Personal chij use karte hai, to aap saaf tor se mna karde ki aap download nhi karenge. Jo Person download kara rha hai vo ek hacker bhi ho sakta hai. Vo aap ko file Download kara kar aap ke Mobile Phone ko Hack kar sakta hai. Aap jis person ko nhi jaante use baat n kare aap use Blocked karde jise aap or aap ka Mobile Phone ka data safe rahega.

7. Don’t Download Unknown File

Dosto Aap ko Unknown file ko download karne ka jarurat nhi hai. Hacker aap ke Phone me File ke sath Malware daal dete hai. Jab koi Person is file ko download karta hai, To uske Mobille Phone me file ke sath aaya hua Malware aap ke phone ke data ko share kar sakta hai.


Aap ke Mobile phone ko bhi Control kar sakta hai. Hacker aap ke Mobile Phone ko hack karne ke liye kuche bhi kar sakta hai. Is liye aap harek anjan vyakti se dur rhe. Agur koi friends aap se kuche puche rha hai, to aap phele use call kar pta karle ki vo aap ka friend hai ya uske whatsapp se koi hacker chat kar aap se kuche data maang rha hai. Jab Verify ho jaye to hi data ko share kare.

8. Check Privacy Setting

Dosto aap hmesa apne app ke security pe dhyan rakhe. Aap agur koi app install kar rhe hai, to aap uska Terms & Condition or Privacy Policy padh le uske baad se hi install kare. Aap apne Whatsapp ka bhi Privacy Setting ko apne anusar hi rakhe.


Aap software ko install karne ke baad software ka access dekh le ki aap se vo konsa access mang rha hai chalne ke liye. Agur aap ko lagta  hai, ki vo aap se galat access mang rha hai  to aap use deny kardo. Aap kabhi bhi apne personal chijo ka access use n de. Agur aap ko jada problem hota hai, to aap use uninstall karde.

9. Third Party App

Dosto jaisa ki aap jante hi honge ki kuche app ke duplicate bhi hai. Jaise Whatsapp ka jo official app hai vo thora secure or limited service hi provide karta hai. Vahi kuche istrhe ke app hai jo Original Whatsapp se bhi jade features provide karte hai. Is trhe ke apps ko Third party app khete hai.

Aap kabhi bhi extra features ke kaaran Third Party app use n kare nhi to iska Hacker galat fayda utha kar aap ke mobile phone ko hack kar sakte hai. Agur aap koi app use kar rhe hai, to aap uska access check kare, Or agur internet ka usage jada ho rha hai to check kare khi aap ke phone me Malware to nhi apna Install Kiye gye sare app check kare or dekhe ki konse app me jada Mobile data use ho rha hai. Agur aap ko lagta hai ki vo faltu ka data consume kar rha hai, to use Uninstall karde.

10. Lagav se bache

Dosto kuche log bhole hote hai or internet ki duniya me bhole log aksar dhokha khate hai. Kuche Hacker ladhki ban kar kuche logo ko target karte hai. Jo log ladhkiyo ke piche bhagte hai ya vo bhole hai. Vaise logo ko ye hacker target karte hai or unhe software ke jariye bhrosa dila dete hai ki vo ek ladhki hai.

Log itne bewakuf hote hai ki vo ladhki maan lete hai or fir vo unse kuche istrhe ka baat karte hai ki vo log hacker ke baato me aa jate hai. Apna kuche jaruri information un hacker ko dete hai. Hacker uska fayda utha kar unka data chori kar unhe paresan kar dete hai. Isliye dosto kabhi bhi kisi ke baat me n aaye. Hmesa harek kaam dimag khol kar kare.

Is Post me maine jo bhi chije likhe hai kisi person ko paresan karne ke liye hai. Isme agur kisi ka naam use kiya gya hai, to vo sirf Example ke liye  liya gya hai. Yha pe mere maksad kisi ko badnam karne ka nhi tha. Agur  koi galti hui ho Example dene me to aap mujhe maaf kare.

Ok Friends Umid karta hu aap ko Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye post pasand aaya hoga. Agur Friends aap ko kisi bhi Parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto aap is post pe comment jarur kare ya fir aap Contact Form bhi fill kar sakte hai mai aap ka pura help karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Ye bhi Padhe.
* ATM Card Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye
* Gmail Me Spam Message ka Kaise Pta lagaye 

Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye Reviewed by Rishav Rai on October 05, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.