Hi Friends
Aaj hm es Post me jaanege Email Send kar Blog me Post kaise
Publish kare. Aap ek Blogger hoto aap ko ye Post bhut hi Dhyan se Padhna
chahiye. Kyo ki kai baar Hme koi Problem aa jata hai. Jise hm Apne Blog ko Open
nhi kar sakte hai. Fir us Time hmara sara kaam kharab ho jata hai. Fir hm apne
Blog par Post nhi likh pate hai or na hi Published kar pate hai.
Email Send kar ke Post Published karne ki Jarurat kyo hai.
Aap samajh hi gye honge aagur nhi to ise ke baare me hm Niche baat karenge.
Email send kar ke Post Piublished karne ke liye aap ko kuche Step follow karna
hoga. Aap ko Apne Setting ise System ko set karna hoga. Ta ki Aap ko kabhi
Email Send kar Post Published karne me Problem n aaye.
Email Send kar Blog me Post kaise Publish kare
Aap ko Email Send kar ke Blog me Post Publish karne ke liye
aap ko Apne Blog me kuche Setting karna padega. Aap Mere btaye gye Step ko Thik
se Follow kare. Jise aap ko kisi bhi Parkar ka Problem n ho.
Step1:- Sabse phele aap Blogger ke Website pe jaye or Login
karle.
Step2:- Ab Login karne ke baad Aap ko Apne Blog ke Setting pe
Click karna hoga.
Step3:- Ab aap ko Setting ke Andur Email ka Option de rha
hoga aap Email pe Click karde.
Step4:- Ab aap ko Email me Posting using Email ka Option
Show ho rha hoga. Aap ko use ke Saamne Aap ka (emailId.secretwords@blogger.com
) Show ho rha hoga. Aap ko secretwords ke jghe pe koi bhi ek secret word choose
karna hoga. Or aap ye line ko yaad rakhe kisi ke sath Share n kare.
Step5:- Ab aap Publish Email Immediately Option ko Choose
kare or Save Changes pe Click karde.
Ab aap Apne Blog pe Email ke jariye Post Published karne ko
tyar hai. Ab aap es Email ke jariye Post ko Published kar sakte hai. Mai aap
Suggest karunga Agur Aap Post ko Mobile Phone me likh rhe hai, To aap Best Type
Appliction ka use kare. Jisme aap Heading or SubHeading bna sake. Aap Microsoft
Word or Google docs ka bhi use kar sakte hai. Ye best Application hai Typeing
ke liye or Ye bilkul free hai.
Post Publish ke liye Email Kaise bheje
Step1:- Sabse Phele aap apne Post ko Microsoft Word me likh
le.
Step2:- Aap ise Phele Save karle or Post ko Pura Copy karle.
Step3:- Ab aap Apna Email Open karle or Compose pe Click kare.
Step4:- Ab aap jab Email Bhejenge to aap ko Email ke Option
pe Vo Email Likhna hai. Jo hmne Blog ke Setting me save kiya tha Step4 me. Aap
ko vo Pura email Likhna hai (emailId.secretwords@blogger.com )
Step5:- Ab aap ko Subject pe vo Line likhna hai. Jo aap Post
ka title dena chahte hai.
Step6:- Ab aap apna Post Paste kar de jo Aap Post apne Blog
me Publish karna cahte hai.
Step7:- Ab aap use Send pe Click kar saend karde.
Important Note:- Aap jaise hi Send pe click karenge aap ka
Post turant Publish ho jayega. Agur aap use Draft ke liye use karna chahte hai, To aap Setting me Publish Post
immediately ke jghe pe Save Email as Draft post ko Select karle.
Agur aap Post me Thumbnail use karna chahte hai, To Aap ko
Email Send karne se phele aap ko Image Attached karna hoga or aap ek hi Image
bhej sakte hai. Ye Image aap ke Post ke Front me Show hoga.
Ye tha Friends aaj Ka hmara New Post jisme hmne jaana ki
Kaise hm apne Email id Se Email bhej kar Post Publish kare ya fir Post ko Draft
me Save kare. Aap ise Trick ka Kai Chijo me Use kar sakte hai. Agur aap ko kisi
bhi Parkar ka Idea aaye to aap Iske Jariye Post ko Draft me Save kar sakte hai.
Ok Friends Email Send kar Blog me Post kaise Publish kare
Post me bs Itna hi. Agur aap ko Ye Post pasand Aaya hoto Please Aap es Post ko
Shre or Comment jarur kare. Aagur Aap ko kisi bhi Parkar ka Problem ho ya Aap
ka Koi Question hoto Please Aap Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help
karunga. Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join Jarur kare.
Ye Bhi Padhe:-
* Umang App kya hai or ise ke kya fayde hai
* PNB Bank Account ka Balance Missed Call kar kaise Check kare
* Word ke Top 10Currencies konse hai
* Post ko Automatic Buffer se Social Site pe kaise Share kare
* PNB Bank Account ka Balance Missed Call kar kaise Check kare
* Word ke Top 10Currencies konse hai
* Post ko Automatic Buffer se Social Site pe kaise Share kare
Email Send kar Blog me Post kaise Publish kare
Reviewed by Rishav Rai
on
January 11, 2018
Rating:
No comments: