Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare

Hi Friends

Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare - Aaj hm es post me jaanege Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare. Agur Friends hm Gas Connection ko lekar kuche Time phele ki baat kare to Gas Connection lene me bhut problem hota tha. Maine karib 2015 me Gas Connection ke liye gya tha to vha pe Gas Connection ke liye 300Rs Extra Pocket Charge maang rhe the jise mujhe bhut gusa aaya tha. Fir bhut hi Problem ke baad mera Gas Connection ke liye Ok kiya gya.

www.suryarishavrai.blogspot.com


Fir kuche time baad jab Subsidy laagu kiya gya uske 3Mounth baad mai ek Person ke sath Gas New Connection ke liye gya to koi Problem nhi hua hme. Bhut hi aasani se ho gya vo bhi bina koi Extra charges ke. Ab ye pta nhi kaise change hua Subsidy ke kaaran ya fir kyo. Lekin Ab Gas Connnection wale bhi Sudhar gye hai. Lekin Ab log Samye ke sath badal rhe hai or ye badlav ascha hai hmare liye.


Ab har ek kaam ke liye Online service provide kar diya gya hai. Ab aap Cylinder Booking, New Connection ya Gas Booking Amount Online bhar sakte hai. Aap ko ab khi pe bhi jaane ki jarurat nhi hai. Agur aap New Connection lena chahte hai to aap ghar baithe new Connection le sakte hai. Bharat Petroleum Corporation Limited Gas ke sath or bhi kai chije apne Name se Sell karti hai. Jaise LPG, Petrol, Diesel etc Product ko sell karta hai. Ye apne Sare Product Bharat ke Name se hi Provide karta hai.

Apply New Bharat Gas Connection Online

Aap Bharat Gas New Connection ke liye Online or Offline dono tarike se Apply kar sakte hai.

1. Aap Bharat Gas New Connection ke liye Registration Form Download kar sakte hai ya fir apne Najdiki Bharat Gas Distributor ke Office ja kar Form ko le sakte hai.

2. Aap apna details Sahi se form me bhar de. Ab aap apne Form ke sath Apna Document bhi Add kare or Office me ja kar Jma karde. Jab aap ka Registration Success ho jayega to aap ko Call aajayega. Ya fir aap ko Ek date diya jayega use date pe aap ja kar pta kar sakte hai.

Required Documents For New Bharat Gas Connection

Aap ko ye bhi pta hona chahiye ki aap ko apne New Gas Connection ke liye konsa Document chahiye hoga. Jab aap Form Jma karane jayenge to aap ke pass Proof Document hona bhut jaruri hai. Ta ki vo Verify kar sake ki jo aapne Form fill kiya hai vo sahi hai. Jisme aap ko Niche btaye gye Document mese koi bhi Three Document le kar jana hoga.


1. Proof Identity
2. Proof Address/Residence
3. Pasport size Photo

Aap ko in Tino Proof mese Aalag-Aalag Tin Proof lekar jana hoga.

1. Proof Identity Documents:- Proof Identity Document me mai aap ko kuche Proof Name btaunga jisme se aap koi ek Proof lekar jaye.

a) Aadhaar Card
b) Voter Identity Card
c) PAN Card
d) Driving Licence etc

2. Proof Address Documents:- Proof Address Documents me bhi Koi ek Proof lekar jana hoga.

a) Passport
b) Ration Card
c) Voter Card
d) Bank Account Proof
e) House Registry
f) Driving Licence
g) Electricity Bill


Aap ko Proof Identity or Address Proof dono Proof mese koi bhi ek-ek Proof lekar jana hoga. Aap 2Alag-Alag Proof lekar jaye New Bharat Gas Connection Lene ke liye.

Online New Bharat Gas Connection ke liye kaise Apply kare

Aap mere btaye jane wale Step ko thik se Follow kare mai pura koshis karunga ki aap ko Online New Bharat Gas Connection ke liye kaise Apply karte hai ke baare me thik se samjha saku.

Step1:- Sabse Phele aap Online New Bharat Gas Connection ke liye Apply karne ke liye uske website pe jaye jaane ke liye yha click kare.

Step2:- Ab aap Online New Bharat Gas Connection ke page par pahuche gye honge. Ab aap  ko vha par Down side pe State or City Select kar Show List pe click karde.

Step3:- Ab aap ke Samne Aap ke City me jo bhi Distributor honge unke name aa jayenge. Ab aap ko jo Place najdik lage use Select karle or Continue pe click kare.


Step4:- Ab aap ke samne ek new Tab Open hoga. Ab aap ko apna Personal Details se Related Sare Information Fill karna hoga.

1. Personal Details

2. Address LPG Connection/Contact Information - Aap ko yha pe apna Address Details bharna hai. Vo bhi bilkul Correct jo aap ke Proof me ho.

3. Other Relevant Details – Isme aap ko Identity Proof fill karna hoga.

4. Details Related to Cash Transfer – Aap ko isme Apna bank details fill karna hai. Agur aap Subsidy chahte hai, To ye Details Bilkul thik bhare nhi to aap ka Subsidy aap ke Perfect Account me nhi aa payega.

5. Document Submission – Isme aap ko Select karna hai ki aap Document kaise Sumit karana chahte hai. Online ya Distributor ke Office ja kar aap apne mutabik select kare.

Ab aap ko I have declare pe tick karna hai. or fir CAPTCHA Code fill kare OTP Generate kare fill kare or Submit ke button pe click karde.

Aap ko apna Document 500Kb under Upload karna hai. Aap Connection ke Paise Online Pay kar sakte hai. Full Process Complete hone ke baad jab aap ka Connection ho jayega to aap ko Mail or Phone pe Message Aa jayega.

Ise Parkar se aap Online Bharat Gas New Connection ke liye Apply kar sakte hai. Aap ko maine yha pe Online ka Pura details bta diya hai. Aap Online Application fill kar Apna Connection karva sakte hai.

Ok Friends Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare Post me bs Itna hi. Agur aap ko Post pasand aaya hoto Please ise Post ko Share or Comment jarur kare. Agur aap ka Kisi bhi Parkar ka Question ho ya aap ko koi Problem hoto Aap mujhe Comment jarur kare. Mai aap ka Pura help karunga or Hmare Social Media Network ko Like, Share or Join jarur kare.

Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare Online Bharat Gas New Connection ke liye kaise Apply kare Reviewed by Rishav Rai on January 31, 2018 Rating: 5

2 comments:

  1. Great Article About Diya Gas Thanks For Sharing. Keep share More.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for comment and keep visit this website

      Delete

Powered by Blogger.