Hi Friends,
Aaj hm es post me janege Cheque Kya hai ? Cheque Bounce kyo
hota hai ? Cheque Bounce hone par kya kare ? Cheque Bounce hone se kaise bache
? Cheque Bounce hone par kya hota hai ? ise Related or bhi Question ke Jawab es
Post me janne ke liye aap es post ko suru se lekar last tk jarur padhe.
Dosto Cheque se Payment lena or dena bhut hi secure system
hai. Paise ka len-den karne ke liye Cheque se payment karne se aap ke paiso ka
chori hona namumkin hai. Kyo ki Cheque dete time aap jo bhi Option me details
fill karte hai. Uske jariye aap ka paisa chori nhi ho sakta hai. Sirf cheque hi
nhi Online Money transfer bhi bilkul safe hai. Agur aap ka System or Details secure
hai to. Ab hm chalte hai apne main topic ki or sabse phele hm janege Cheque kya
hai ?
Cheque Kya hai ?
Cheque ek Payment dene ka secure sadhan hai. Jaisa ki aap ko
pta hi hoga ki Cheque ek Security ka tarika hai paise ko lekar. Cheque ko
English me Negotiable bhi kaha jata hai. Cheque se aap high amount ka bhi
payment kar sakte hai vo bhi bina kisi cash se. Aap ke account me paise hai aap
ko jis person ko paise dene hai. aap uske name se ek cheque dede. Vo paise
cheque ke davara le sakta hai ya bank me transfer karva sakta hai. Aap ko
Cheque dete time kisi ko bhi khali ya
fir bina date ke nhi dena chahiye nhi to aap ko problem ho sakta hai. Mujhe
thik se pta to nhi par kaha jata hai Cheque ke date se 3 Mounth ka time hota
hai Cheque ko withdraw karane ka. Bhut se logo ka Cheque bhi Bounce ho jata
hai, To ab hm jante hai ki Cheque Bounce kyo hota hai.
Cheque Bounce kyo hota hai ?
Dosto hmesa cheque ko lekar bhut se Problem face karna padta
hai logo ko. Ab to bhut se log cheque ko lekar itna paresan ho
chuke hai ki unhe Cheque do to vo lene se mna kar dete hai. Kyo ki aaj kal itna
jada logo ka Cheque bounce hota hai, ki vo paresan ho chuke hai. Ab koi bhi
Cheque lene ke liye ha nhi bharta hai, to aaj mai aap ko Btaunga ki Cheque
Bounce kyo hota hai.
Dosto Cheque Bounce hone ke bhut se karan ho sakte hai. Jo Person Cheque de rha hai uske bank account me balance n hona. Jis Bank ka vo cheque de rha ho us bank me Account n hona. Cheque me Double Writing hona. Cheque pe kisi bhi parkar ka faltu Cross hona. Cheque ka Condition thik n hona. Cheque pe diye gye date ke anusar jada smye ho jana. Cheque dendar ka Signature n milna or Jis Person ko Cheque de rhe hai Uska name Cheque me thik se n likha hona etc. Or bhi kai karan ho sakte hai. Aap ke Cheque ko Bounce hone ke isliye aap kabhi kisi se Cheque le rhe ho ya Cheque de rhe ho aap sab kuche thik se dekhle ki lene wale ka name thik ho jo Ruppess likhe hue hai uska value thik ho.
Cheque Bounce hone par kya kare ?
Cheque Bounce hone par aap Cheque dene wale pe Case kar
sakte hai. Negotiable Act 1881, Cheque Bounce Section 138 ke Anusar Cheque
bounce hone par aap ko Cheque dene wale ko Cheque Return Memo bhejna hai. Agur 30
dino ke andar me agur koi response nhi milta hai Cheque dene wale ke tref se to
Cheque lene wala Magistrate Court me Cheque dene wale ke khilaf mukadma kar
sakta hai. Ya fir aap iske liye ek badhiya vakil kare. Agur ye case thik rha to
Cheque dene wale ko 2guna paisa dena pade sakta hai. Cheque galat dene ke aarop
me ye fine hoga.
Cheque lene wale ke pass proff hona bhut jaruri hai ki unhe Person ne Jo cheque diya tha vo bounce hua hai or inhe paise dene ka time bhi diya gya tha Notice ke jariye lekin fir bhi inhone paise nhi diya or na hi Sahi Cheque diya to fir Court Galat Cheque dene ke karan use us paise ka double fine dene ka faisla suna sakti hai. Ya Court ko jo sahi lagega ki Cheque lene wale ko kuche or Profit milna chahiye to vo Court ke upar nirbhar hai ki vo kis rup se Cheque lene wale ko profit de sakta hai.
Cheque Bounce hone par kya saja hota hai ?
Cheque Bounce hone par kai saja hai Agur aap ka case court
tk chale jaye to Bounce Cheque dene wale ko us Amount ka double dena padta hai.
Ya fir use Jail bhi ho sakta hai. Agur Boune Cheque dene wala agur paise dene
se mna karde to Court uska property bech kar aap ka paise dene ka Order jari
kar dega. Ek baar case court tk chale gya to fir to aap ke paise 100% sure hai ki
aap ko paise jarur milenge Agur aap sahi hai to.
Ok Friends Umid karta hu Aap ko Cheque Bounce hone par kya kare post pasand aaya hoga agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi question hoto please Aap comment jarur kare mai aap ka pura help karunga. Hmare Social Media Network ko like, share or Join jarur kare.
Ye bhi Padhe.
* ATM Card ko Block or Unblock kaise kare
* Computer ke liye Antivirus kyu Important hai
* Free Wifi Network Use Karne se phle jaane 6 Bade Nuksan
Ye bhi Padhe.
* ATM Card ko Block or Unblock kaise kare
* Computer ke liye Antivirus kyu Important hai
* Free Wifi Network Use Karne se phle jaane 6 Bade Nuksan
Cheque Bounce hone par kya kare
Reviewed by Rishav Rai
on
July 09, 2018
Rating:
No comments: