Hi Friends,
Aaj hm es post me janege ki Agur Company se salary n mile to
kya kare ? , Noukri ke time malik Salary dene se mna karde to kya kare ? ya fir
or bhi bhut kuch Company se apna Salary n milne par kya kare ko lekar ye bhut
se problem aap ko apne company ke andur face karna padta hai. lekin aap ko ab
tension lene ki jarurat nhi hai mai aap ka pura help karunga jise aap ko apna
salary lene me problem n ho. To ab chalte hai hm apne topic ki or Company se Salary n mile to kya kaare.
Aap apne mhenat ka salary pane ke liye aap Company ki khilaf Case kar sakte
hai, Aap iske liye labour daftar helpline number par call karke salah bhi le
sakte hai. bhut se company ke malik salary ko lekar labour ko bhut paresan
karte hai. Aap uske liye bhut se kadam utha sakte hai jiske bare me mai aap ko
pura detail se btaunga.
Aap ke jo bhi paise hai agur vo ek fixed time tk paise n
mile to chahe vo salary ho ya aap ka PAF ek fixed time pe dena jaruri hai nhi
to aap company pe kanuni karvahi kar sakte hai.
Company me kaam karte rhene ke doran Salary n milne par kya kare ?
1. Sabse phele aap company ke malik ya fir payment dene wale
person ko dono ko ek mail ya post office through ek latter bhej do jisme aap
kisi badhiya logo ka ray le sakte hai.
2. fir bhi agur company payment nhi de rha to es problem se related kisi Advocate se baat kar ek legial notice bhejva sakte hai.
3. Agur abhi bhi vo aap ka payment nhi de rha to aap Police complain kar sakte hai ya fir aap case kar sakte hai.
4. Aap iske liye labour kamisnar ke office me sikayt kar sakte hai.
5. Agur fir bhi aap ko koi bhi Result samne nhi aa rha to aap Cote ja kar case kar sakte hai.
Company par case kaise kare ?
Company par case karne se phele aap dekh le ki aap ka koi
bhi galti n ho nhi to aap ko jhutha case karne par aap ko mafi or fine bharna
pade sakta hai.
1. Agur Person ka salary roka gya hai to vo khud Money ke liye clam kar sakta hai.
2. Agur Court ko lagta hai ki aap sahi hai Company ne aap ka salary roka hai to vo salary dene ke liye Company ko order de dega.
3. Agur kisi employe ka death ho jata hai, to company wala agur paise dene se mna kare to uska legal varish court me case kar sakta hai.
Ok Friends Umid karta hu aap ko Company se salary n mile to kya kare post pasand aaya hoga. Agur aap ko kisi bhi parkar ka problem ho ya aap ka koi Question hoto Please aap mujhe comment jarur kare mai aap ka jarur help karunga. Hmare Social Media Network ko like, Share or Join jarur kare.
Ye Bhi Padhe.
* खुद का पेट्रोल पंप कैसे खोले |
* Punjab Me Electricity Bill Kaise Pay Kare
Company se salary n mile to kya kare ?
Reviewed by Rishav Rai
on
July 06, 2018
Rating:
No comments: